paas aatee zindagi bas door jaane ke liye

by zarra on November 05, 2010, 08:10:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1498 times)
zarra
Guest
Reply with quote
paas aatee zindagi bas door jaane ke liye
kucchh isey dena nahin sab aazmaane ke liye

kucchh isey kehna nahin bas bolti hi ja rahi
baat kartee baat ko aagey baddhhaane ke liye

ghoont pehla aatish-e-dil ko bujhaane ko piya
aakhiri thaa shamma-e-zehan jalaane ke liye

bas jagaana mat mujhe ke thak ke main hoon so gaya
jaag kar din raat soton ko jagaane ke liye

jab huween dushvariyaan aasan uthkar chal diye
ik nayee deewangee ko sar chaddhhane ke liye

meri nadaani pe mere ilm pe hairaan na ho
dono dikhlaaye namoonaa bhar zamaane ke liye
Logged
vb
Guest
«Reply #1 on: November 06, 2010, 09:18:24 AM »
Reply with quote
Buhat khoob zarra jee!

go hamaari naa-qas aqal k muqaabil is ghazal main lafzon ka her-pher kuch zyaada hay...  lakin hum ilm-e-arooz say bilkul naa-waqif honay k baa-wajood, is ghazal main, aap ki beher par dastaras ko qaabil-e-daad samajhtay hain... zameen bhe mushkil hay.. khoob nibhaaya aap ne....

 
Logged
zarra
Guest
«Reply #2 on: November 06, 2010, 09:59:30 AM »
Reply with quote
tahey dil se shukriya, vb ji. aap jaise qadradaanon aur fan ke ashikon ki vajah se hi likhte rehte hain.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: November 06, 2010, 02:10:34 PM »
Reply with quote
Zarra Sahab Aadaab!


Ta'keer se reply dene ke liye mazarrat chahte hai..
Aapki kalaam behd khoob lagi hume.... Is mushkil kavish ko
aapne bayaaN bhi achcha kiya hai......

daad kabool kijiye khuda hafez.....


paas aatee zindagi bas door jaane ke liye
kucchh isey dena nahin sab aazmaane ke liye

kucchh isey kehna nahin bas bolti hi ja rahi
baat kartee baat ko aagey baddhhaane ke liye

ghoont pehla aatish-e-dil ko bujhaane ko piya
aakhiri thaa shamma-e-zehan jalaane ke liye

bas jagaana mat mujhe ke thak ke main hoon so gaya
jaag kar din raat soton ko jagaane ke liye

jab huween dushvariyaan aasan uthkar chal diye
ik nayee deewangee ko sar chaddhhane ke liye

meri nadaani pe mere ilm pe hairaan na ho
dono dikhlaaye namoonaa bhar zamaane ke liye

Logged
zarra
Guest
«Reply #4 on: November 06, 2010, 02:18:35 PM »
Reply with quote
bahaut shukriya parwaaz sahab. aapki zarranawazi hai.
Logged
zarra
Guest
«Reply #5 on: November 08, 2010, 08:58:58 AM »
Reply with quote
ek taazaa sher kaha hai is ghazal mein ....

husn ko maanaa ataa haq hai sataane ka magar
todana dil laazmee hai kya sataane ke liye
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: November 08, 2010, 09:54:23 AM »
Reply with quote
bahoooooooooooot khoooob  likha ...daad kabool karen
Logged
zarra
Guest
«Reply #7 on: November 08, 2010, 10:34:56 AM »
Reply with quote
shukriya bekarar ji
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: November 09, 2010, 08:47:02 AM »
Reply with quote
zarra ji naam zarra or asmaan jaisi baate ..kya bat he bhaii..bahut khoob..

dher sari daad~
Logged
zarra
Guest
«Reply #9 on: November 09, 2010, 04:45:32 PM »
Reply with quote
abhi bhai. bahaut bahaut shukriya, tahe dil se .. daad ka aur woh bhi itne apnepan se.

sahab, hamein aasmaan pe mat baithaiye ... ek to is ke qabil nahin aur doosre wahan se gire to ek zarra bhi nahin bachega Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:26:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer