"PARWANE AAYE"

by k.shael on May 16, 2008, 11:44:14 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1150 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
USS SHAMA KE DAR PE BAHUT PARWANE AAYE,
KUCH USE HASANE TO KUCH USE PAANE AAYE,

KOI AAYA APNE DARD KA SAILAAB LE KAR,
TO KUCH AAYE APNE SAATH HUI BEWAFAI
KA HISSAB LEKAR....

KEHTE RAHE SHAMA SE KAR DE AAJ HAMARI
TAQLEEFO KO DOOR TU,
KI APNE GAM HAM TERE PASS LEKAR AAYE,

DEKH KE AANKHOON MEIN SHAMA KE AANSOO,
KUCH GABRAYE TO KUCH SAMBHAL NAHI PAYE,

POOCHNE LAGE WAJAH IN AASOON KI TO
HASS KE SHAMA NE AANSOO CHUPAYE,

KAR KE RAAT MEIN GAMO KO DOOR APNE SAB
SUBAH KO APNE HOSH MEIN AAYE....

AAGLI RAAT PHIR MEHFIL SAJI, PHIR DARD
BAYAN HUE,
PHIR CHALKE SHAMA KI AANKH SE AANSOOO
PHIR PARWANE PARESHAAN HUE....

AAJ TO BATANA PADEGA IN AANSOO KA RAJ,
SAB YE SAWAL LEKAR TYAAR HUE,
KAR KE AANCHAL MEIN CHEHRA APNA GILLA,
KAHA SHAMA NE HAM BHI KISI KE BEWAFAI
SE BARBAAD HUE,

HAM BHI THE KISI KE DIWANE TABHI TO AAP
ISS MEHFIL KE RAAJDAAR HUE,
WO KHUD TO CHALA GAYA CHOD KE,HAME CHOD
GAYA DARD-E-GALI MEIN HAR ROZ BIKNE KE LIYE,

SUN KE SHAMA KE AANSOO KI KAHANI SABHI
PARWANE SHARAMSAAR HUE,
KEHNE LAGE HAM JAISE SHARABIYOON KI,
WAJAH SE NA JANE KITNE AANCHAL DAGDAAR HUE

SUN KE BAAT UN PARWANO KI SHAMA JOR SE
MUSKURAI,
KEHNE LAGI GALTI AAP KI BHI NAHI YE TO
HAM HI NASAMAJH THE JO BEDARDO PE MEHARBAAN
HUE,

USS SHAMA KE DAR PE BAHUT PARWANE AAYE,
SHYAD USE DENE KUCH SAKOON AUR KHUD KO
RULANE AAYE....

USS SHAMA KE DAR PE BAHUT PARWANE AAYE,

BY. K.SHAEL

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"SAANSE BHOOL AAYE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
~~"DARD LABO PE AAYE"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
"meri zindagi mein aaye" by aaina in Ghazals « 1 2  All »
Parwane Aur Meri Baat......................"Touhid" by Mohammad Touhid in Shayari ki Batein- Sawaal Jawaab
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2008, 12:00:01 PM »
Reply with quote
k.shael

Kya kahoon !

Bass tum bahut he achcha likhti ho !

Wah ! kya feelings bayaan ki hai

USS SHAMA KE DAR PE BAHUT PARWANE AAYE Applause

Shabash Applause

Keep going !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2008, 04:47:24 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob k.shael , itani gahari baat apne kaise simple shabdo se bayan kar di.. bahoot khoob!!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: May 17, 2008, 06:55:14 AM »
Reply with quote
THANX SOOOOO MUCH,
RAJBIR & POOJA JI....
BY. K.SHAEL


AAP JAISE DOST JAB SAATH
NIBHAYENGE,
TO AAS HAI EK DIN HAM APNI
MANZIL PAA HI JAYENGE....
AABHI TO DARD AAP KE SAATH
BAAT RAHE HAI,
AAS HAI JALD HI KHUSHI BHI
AAP KE SAATH BAAT PAYENGE....
THANX....

Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: May 17, 2008, 07:24:10 AM »
Reply with quote
THANX SOOOOOOO MUCH,
KAUSHIK JI,
YE TO AAP SAB DOSTO KI
INAYAT HAI JO AAP HAMARE
KALAM KO SARAH RAHE HAI,
SHUKRIYA....FRIENDS
BY. K.SHAEL
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: May 18, 2008, 05:00:07 AM »
Reply with quote
Quote
KEHTE RAHE SHAMA SE KAR DE AAJ HAMARI
TAQLEEFO KO DOOR TU,
KI APNE GAM HAM TERE PASS LEKAR AAYE,
DEKH KE AANKHOON MEIN SHAMA KE AANSOO,
KUCH GABRAYE TO KUCH SAMBHAL NAHI PAYE,
POOCHNE LAGE WAJAH IN AASOON KI TO....
HASS KE SHAMA NE AANSOO CHUPAYE,
KAR KE RAAT MEIN GAMO KO DOOR APNE SAB
SUBAH KO APNE HOSH MEIN AAYE....
AAGLI RAAT PHIR MEHFIL SAJI, PHIR DARD
BAYAN HUE,
PHIR CHALKE SHAMA KI AANKH SE AANSOOO
PHIR PARWANE PARESHAAN HUE....
AAJ TO BATANA PADEGA IN AANSOO KA RAJ,
SAB YE SAWAL LEKAR TYAAR HUE....
KAR KE AANCHAL MEIN CHEHRA APNA GILLA,
KAHA SHAMA NE HAM BHI KISI KE BEWAFAI
SE BARBAAD HUE,
HAM BHI THE KISI KE DIWANE TABHI TO AAP
ISS MEHFIL KE RAAJDAAR HUE....
WO KHUD TO CHALA GAYA CHOD KE,
HAME CHOD GAYA DARD-E-GALI MEIN HAR ROZ
BIKNE KE LIYE....

Wah wah Shael sis.. bahut bahut accha likha hai aapne. Her ek line dil ko chu gaya hai. Keep up dear.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2008, 09:20:55 AM »
Reply with quote
THANX SOOOO MUCH,
ROZA SIS....
MEIN KHUDA SE DUA KAROONGI KI
HAMESHA MEIN AISE HI AAP SAB KA
PYAR AUR SARAHNA PATI RAHOO....
THANX AGAIN,
BY. K.SHAEL
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:13:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer