Payaar ka arth sirf dard hi samjh ayya

by Pooja on April 29, 2006, 05:57:58 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 11749 times)
Pooja
Guest
«Reply #105 on: January 15, 2008, 10:01:54 PM »
Reply with quote
shukaria ISHPREET JI!!!  YAHIN HU BAS AJKAL KALAM SATH NAHI DE RAHI HAI sad5
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Raincoat>>> Kisi ko end samjh ayya by Pooja in Movies, TV and Entertainment « 1 2  All »
Jeevan ka Arth by Pooja in Miscellaneous Shayri
Sirf Dard..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dard thaa sirf lamhey bhar: chalo, ganeemat hai!! by abdbundeli in Ghazals
Zindagi ab sirf dard he....... by Dil Shah in Shayri for Dard -e- Judai
Pooja
Guest
«Reply #106 on: February 15, 2008, 06:24:56 PM »
Reply with quote

Toot kar bhi kyun jazbaato ka rishta bandha rahta hai
Wo mera nahi, phir bhi dil, use mera kyun kahta rahta hai

Jhooth bol kar khud hi khud se, uljhi baithi hu
Mujh se mera hi man, kyun behkta rahta hai

Sakoon nahi hai kisi bhi pal, kahi bhi
Phir kyun dhoko per yah dil zinda rahta hai

Pyar ka arth dhoka hi ha jab is dunia main
To kyun Pooja ka yah dil rota rahta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #107 on: February 19, 2008, 06:44:19 PM »
Reply with quote
chah kar bhi lubo se kyun ikraar nahi hota hai
ruk jaaye waqat yahi, bas yahi intzaar hota hai
bahoot malaal hai teri bewafai per mujhe
magar yah bhi hai such, rota dekh tujhe dil taar taar hota hai

toote dil ko kuch to judne ka waqat de
aise hi palo mai dil ko kaha karaar hota hai
na ched mere zakhmo ko phir se tu is tarah
riste zakhmo ko to sirf ek aor Gum ka intzaar hota hai!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #108 on: February 19, 2008, 06:53:27 PM »
Reply with quote
jo dil chaahe woh nahi hota hai
pyaar mil bhi jaaye to kya hua
soch dono ki alag rehti hai,
dono ka ek sa vichaar nahi hota hai...

aansu nilke bhi aankh se to tanhai mein nikle
apne aansuo se kisi aur ko rulaa jaaye
aisi bhool na karna,kisi aur ko rulaa jaana bhi
pyaar nahi hota...

intezaar usse kehte hai jab dil tadap kar bhi ek awaaz na kare
kisi ko bewafa keh dena koi intezaar to nahi hota...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #109 on: February 19, 2008, 07:04:34 PM »
Reply with quote
bewafa kah kar bhi use dil ko skoon diya nahi jaata
zakham aise mile, kisi shabd se zakhmo ka arth poora kiya nahi jaata
wo hi jab akar thamna chahe in hatho ko dobara
hum se chah kar bhi, sath nibhaya nahi jaata
Logged
Pooja
Guest
«Reply #110 on: March 13, 2008, 03:56:41 PM »
Reply with quote
Bolta Jo Dard To Bhar Jati Kitabein,
Kitna Kuch Saha Voh Bhi Yaad Nahi !!!!

do lines mai sab kuch kah diya apne to!!! bahoot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #111 on: March 20, 2008, 03:43:08 PM »
Reply with quote
Bistar ki silwato per ab roya nahi jaata
Apna hi takiya her raat bhigoya nahi jaata
Ek khalipan sa hota hai mehsoos zisam ko
Tanhaai ka yah alam samjhaya nahi jaata

Ansso rone per ek chuwan mangte hai
Bhichate hue yah hath, koi hath mangte hai
Tika kar yah sir ro saku jahan mai dil bhar kar
Armaan ab ek aisa seena mangte hai!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: March 20, 2008, 04:05:14 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Pooja Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #113 on: March 20, 2008, 05:09:48 PM »
Reply with quote
shukaria Talat!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #114 on: March 20, 2008, 06:30:04 PM »
Reply with quote
Jeene ka arth ab muje samjh mai anne laga
bichard kar door jab mujse Tu jaane laga

Her beeta pal, mujhko ajj yaad anne laga
Jab Tu yah ghar chord kar jaane laga

Laut anne ko shayad bacha hi nahi ab kuch bhi
Phir ne jaane, ashaq kyun ankhon mai anne laga

Socha na tha kabhi is kadar bad jayegi dooria
Phir doorio main bhi kyun pass hone ka ahsaas ane laga

Jeene ka arth ab muje samjh mai anne laga
bichard kar door jab mujse Tu jaane laga………………
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #115 on: March 21, 2008, 10:36:21 AM »
Reply with quote
Nice One Pooja Sis,.
Logged
sarthika
Guest
«Reply #116 on: March 28, 2008, 02:28:37 AM »
Reply with quote
Jeene ka arth samjh aane laga
bichard kar jab tu door jaane laga

khud hi khol diye ab to maine bandhan tere sare
kayun phir laut kar tu ab wapis anne laga

chal di hu main, ab khud hi ki talaash main
shayad teri samjh mai bhi ab yah anne laga

bhatak jaau shayad ab bhi main teri bato se
yahi soch kar, tu kayun muje bahkaane laga

Insaan thi kabhi, pathar jise tune bana daala
ajj issi pathar se ab tu apni soch takraane laga

Jeene ka arth ab muje samjh mai anne laga
bichard kar door jab mujse Tu jaane laga..............

jeene ka arth badlta jayega
waqat ke sath sath, arth badlta jayega

khol kar bandhan kisi ke, apne kholne bhool gai
na khole jo yah, tera waqat yahi ruka rah jayega

talaash hai kis ki, pahle yah to talaash kar lo tum
warna haer talaash mai ek adhurapan rah jayega

bhatak rahi ho aor bhatkati hi rahogi sada isi tarah
zindagi ka doosra naam, ek kash-m-kash rah jayega

sochein umarbhar tujhse takrane ayegi
pathar hi rahna, insaan ka yaha kuch nahi rah jayega

jeene ka arth badlta jayega
waqat ke sath sath, arth badlta jayega
Logged
Roja
Guest
«Reply #117 on: March 28, 2008, 02:49:01 AM »
Reply with quote
Quote
jeene ka arth badlta jayega
waqat ke sath sath, arth badlta jayega


Sahi hai... bahut accha likha hai aapne Sarthika... Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #118 on: March 28, 2008, 02:52:57 AM »
Reply with quote
Quote
Jeene ka arth ab muje samjh mai anne laga
bichard kar door jab mujse Tu jaane laga

Her beeta pal, mujhko ajj yaad anne laga
Jab Tu yah ghar chord kar jaane laga

Laut anne ko shayad bacha hi nahi ab kuch bhi
Phir ne jaane, ashaq kyun ankhon mai anne laga

Socha na tha kabhi is kadar bad jayegi dooria
Phir doorio main bhi kyun pass hone ka ahsaas ane laga

Jeene ka arth ab muje samjh mai anne laga
bichard kar door jab mujse Tu jaane laga………………

Itne khoobsoorat alphasoN maiN deepika, khwaiish our pooja ne apne ahsaasoN ko piroya hai...ki dil se lafzoN ka bhandaar phoot sa padta hai.....pooja ji aapki ye tehreer bahoot hi Gehra arth liye hai....our us par saarthika ka jawaab..mash'allah....vicharoN ko vichar se hi batana kala ka samman hota hai...bahoot khoob....

Ik Ik harf chun chun ke teri Ghazal ka
Mere dil ke zakhmoN ko  samjhaane laga

Mehfil sazi hai dukhoN ki dil ke aangan maiN
Ik ik Ashq aaker mujhe yuiN hi samjhane laga

ye dooriyoN hi bana mere zakhmoNka  ka sabab
KyuiN hota hai dard mujhe ab samajh aane laga 


Harash
Logged
sarthika
Guest
«Reply #119 on: March 28, 2008, 03:05:39 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Harsh!!

ek ek zakham ban jaata hai khud ki deewar
in deewaro se sirf dard hi to hai anne laga

Mehfil ho koi bhi, manjil na bhulo kabhi
zajbaato ka ahsaas, phir kyun manjil bhulane laga

dooria banane se dooriyan badati hi jaati hai
phir kyun in doorio main, koi zajbaat dikhane laga

dard diya jisne ek baar, wo baar baar dard hi dega
kyun apne pyar ke moh main, yah baat bhool jaane laga

ek ek zakham ban jaata hai khud ki deewar
in deewaro se sirf dard hi to hai anne laga
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:27:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer