reyan KHAN
Guest
|
|
|
Waqt kam hai jaan lo, Tum waqt ki raftaar ko. waqt ki raftaar main, Bhule ho kese tum qafan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Sunkar khabar marne ki unke, Muh se na nikle innallillah. Aah kehkar phir sab khatam, Kesa hai ye tera chalan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Rote bilakhte sab hain per, Samajhte nahi anjaam ko. Teri kabhi na aayegi, Kyon hai tujhko ye weham. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Samne mayyat rakhi hai, Uthte nahi dua ko haath. Sar jhuka ke chal diye, Hota hai kyon ye sab sehen. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Namaje janaja ho gai, Aankhon ke teri saamne. Teri bhi ek din ho jayegi, kehta hai kya tera zahen. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
kandhon se apne lekar gaya, Haathon se apne mitti di. Karke sab kuch khud hi tu, Sehta hai kese ye chubhan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Abhi subha thi abhi shaam, Nahi kiya tune koi kaam. Ho jaayegi ensi zindgi se, Ek din tujhko jalan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Kar le dange kar le fasaad, Thak jaayega tu ek din. Mit jaayegi us din teri, Duniya ki saari ye thakan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Zindgi bhi dhal jaayegi, Mit jaayengi sab duriyan. Koi to waqt hoga jab, Mot se hoga milan. Na hum rahenge,na tum rahoge, Pehen lenge ek din qafan.
Saari daga Saari wafa, Mit jaayegi ek waqt main. Waqt jab ruk jaayega, Ho jaayega sabkuch khatam. Na hum rahenge,na tum rahoge, Ho jaayenge ek din DAFAN.
|