Re't sii yeh Zindagi (Shikha)

by Shikha12 on July 02, 2006, 09:44:31 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5130 times)
Shikha12
Guest
Reply with quote


Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umr saari guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: July 02, 2006, 01:04:46 PM »
Reply with quote

Saath hai, Saathi bhi hai, phir bhi adhurapan sa hai,
Ek tanha sa safar mujhko lagti hai yeh zindagi..

[/b]
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #2 on: July 02, 2006, 01:57:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"


Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umr saari guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...
[/b]


bohot khub shikha ji!!!!!!!!!!!!!!aap kii likhayii bhii aap kii jagah jaisii uchii hein :D

Chalte chalte gum o ko paane ka naam jindagii hein
Phir us gum ko bhula kar hastein jane ka naam jindagii hein
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 03, 2006, 01:23:52 AM »
Reply with quote
nice shikha and shahid...............

waqt  ka pahiya yun hi chalta rehta hai
jindagi ka rang-rup badalta rehta  hai
sukh-dukh  yahana chalate hain saath- saath
aur waqt jindagi ko bas yun hi takata rehta hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: July 03, 2006, 05:11:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "Shikha12"


Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umr saari guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...
[/b]


bohot khub shikha ji!!!!!!!!!!!!!!aap kii likhayii bhii aap kii jagah jaisii uchii hein :D

Chalte chalte gum o ko paane ka naam jindagii hein
Phir us gum ko bhula kar hastein jane ka naam jindagii hein


Shukriya Shahid ji.... itni tareef ki aadat to kabhi bhi naa thi humey...

Aapki shayari pasand aayi....Bahut achha likha hai


Gum miley chahey khushi...
Ab to kuch parwah nahin...
Zindagi sey humey apni..
Ab koi shikwa bhi nahin...
Aadat ho chali hai humey
Har haal mey jee leney ki
Lekin yeh bhi sach hai ki
Jeenye ki koi wajah nahin.....

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: July 03, 2006, 07:28:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
nice shikha and shahid...............

waqt  ka pahiya yun hi chalta rehta hai
jindagi ka rang-rup badalta rehta  hai
sukh-dukh  yahana chalate hain saath- saath
aur waqt jindagi ko bas yun hi tagata rehta hai


Very nice Ranju di.....

Rokney ki koshish ki, par yeh meri sunta nahin,
Samay ka yeh pahiya dekho kabhi thamta hi nahin...

Ankhon ney dekhi hai is zamaney mey khushian kai,
Is dil ka kya karey hum, jo kabhie khush rehta nahin....

Kehtey hai ki merey dil mey hi bastey hai woh kahin,
Jhaankh kar dekha dil mey to koi bhi dikhta nahin...

Zindagi ki tanha raahey hum ko lagti hai udas udas,
Manzil par jo pahuncha dey, yeh to woh rasta nahin...

[/b]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 03, 2006, 07:46:49 AM »
Reply with quote
Wah Shikha kya baat hai.....bahut accha likha hai......

Re't see yeh Zindagani......
Kehti hai meri kuch kahani......

Jab paya Khushi ko mutthi me......
Tob beh gayi banke Namkeen paani......

Jab hui Sarsrahat tere Kadmo ki.....
Toh paya Dastak Dil pe karr baithe ek aur Nadaani......

Kya hua jo tu haasli nahi.....
Adhoori hee sahi par bas yahi hai meri Kahani.....!!!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #7 on: July 03, 2006, 12:53:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "Shikha12"


Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umr saari guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...
[/b]


bohot khub shikha ji!!!!!!!!!!!!!!aap kii likhayii bhii aap kii jagah jaisii uchii hein :D

Chalte chalte gum o ko paane ka naam jindagii hein
Phir us gum ko bhula kar hastein jane ka naam jindagii hein


Shukriya Shahid ji.... itni tareef ki aadat to kabhi bhi naa thi humey...

Aapki shayari pasand aayi....Bahut achha likha hai


Gum miley chahey khushi...
Ab to kuch parwah nahin...
Zindagi sey humey apni..
Ab koi shikwa bhi nahin...
Aadat ho chali hai humey
Har haal mey jee leney ki
Lekin yeh bhi sach hai ki
Jeenye ki koi wajah nahin.....

[/b]

bohot khub shikha ji!....aisa likhtiin hein aur phir bhisochtiin hein ke etni tarif ke haqdar nahii!.......................

Jindagii bina wajah ke jiya nahi jata
Aur gum o ka aapni adat bana liya nahi jata
Kisiko aapna kar to dekho,
Chehre par uski khusii la kar dekho
Khud bhi hason gii aur jindagii bhi kahegii k yahii sahii hein
Phir na hogii koi sikwa aur na kahogii k jine ki koi wajah nahii hein
.... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 03, 2006, 05:01:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "ranjana"
nice shikha and shahid...............

waqt  ka pahiya yun hi chalta rehta hai
jindagi ka rang-rup badalta rehta  hai
sukh-dukh  yahana chalate hain saath- saath
aur waqt jindagi ko bas yun hi tagata rehta hai


Very nice Ranju di.....

Rokney ki koshish ki, par yeh meri sunta nahin,
Samay ka yeh pahiya dekho kabhi thamta hi nahin...

Ankhon ney dekhi hai is zamaney mey khushian kai,
Is dil ka kya karey hum, jo kabhie khush rehta nahin....

Kehtey hai ki merey dil mey hi bastey hai woh kahin,
Jhaankh kar dekha dil mey to koi bhi dikhta nahin...

Zindagi ki tanha raahey hum ko lagti hai udas udas,
Manzil par jo pahuncha dey, yeh to woh rasta nahin...

[/b]


bahut khub shikha...........

saamne mere sagar hai aur main payaas bujha sakti nahi
kaise unke waqt ko apna banau kuch bata sakati nahi

hum bahut dur tak talash katre rahe unko raha mein
mud kar dekha toh saath mere  mera saaya bhi nahi

gumo ka silsila na ho agar jindagi mein toh jindagi nahi
agar na ho kaale andhere saaye toh roshni bhi kahi nahi
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: July 04, 2006, 01:06:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Wah Shikha kya baat hai.....bahut accha likha hai......

Re't see yeh Zindagani......
Kehti hai meri kuch kahani......

Jab paya Khushi ko mutthi me......
Tob beh gayi banke Namkeen paani......

Jab hui Sarsrahat tere Kadmo ki.....
Toh paya Dastak Dil pe karr baithe ek aur Nadaani......

Kya hua jo tu haasli nahi.....
Adhoori hee sahi par bas yahi hai meri Kahani.....!!!!!!!


Bahut khoob Gaurav....


Zindagi tujhko bhala kya apna banaye hum,
Maut sey khud baithey hai dil lagaye hum...

Kadmo ki aahat ho to lagta hai woh aaye,
rakhtey hai khud apna kafan sajaye hum...

Koi aayega aur phir kahega bewafa humey,
baithey hai dekho apna sir jhukaye hum...

Likh dey koi kahaani meri chahey adhoori sahi,
Phirtey hai haath mey kora kagaz uthaye hum....

Har shaksh key do chehret nazar aatey hai humey,
Ab kis ko dey dua aur kisey badduaye hum....

[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: July 04, 2006, 01:20:19 PM »
Reply with quote
Shikha, Ranju, Gaurav, Shahid

Bahut khoob !

Sab ne bahut achcha likha hai !
Zindagi ki kadwi sachai saakshat nazar aati hai !

Rajbir
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: July 04, 2006, 01:26:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "redwhitegang"


bohot khub shikha ji!!!!!!!!!!!!!!aap kii likhayii bhii aap kii jagah jaisii uchii hein :D

Chalte chalte gum o ko paane ka naam jindagii hein
Phir us gum ko bhula kar hastein jane ka naam jindagii hein


Shukriya Shahid ji.... itni tareef ki aadat to kabhi bhi naa thi humey...

Aapki shayari pasand aayi....Bahut achha likha hai


Gum miley chahey khushi...
Ab to kuch parwah nahin...
Zindagi sey humey apni..
Ab koi shikwa bhi nahin...
Aadat ho chali hai humey
Har haal mey jee leney ki
Lekin yeh bhi sach hai ki
Jeenye ki koi wajah nahin.....

[/b]

bohot khub shikha ji!....aisa likhtiin hein aur phir bhisochtiin hein ke etni tarif ke haqdar nahii!.......................

Jindagii bina wajah ke jiya nahi jata
Aur gum o ka aapni adat bana liya nahi jata
Kisiko aapna kar to dekho,
Chehre par uski khusii la kar dekho
Khud bhi hason gii aur jindagii bhi kahegii k yahii sahii hein
Phir na hogii koi sikwa aur na kahogii k jine ki koi wajah nahii hein
.... :D


Marvellous RWG......


Khushi sab key chehrey par dekhi to hai
Phir bhi apna yeh dil udaas lagta hai....

Apnaya hai sabko aur khud ko kho diya hai,
Ab kuch aur khoney sey darr lagta hai...

Dil ki baat hum kisi sey keh nahin saktey,
Zindagi apni mushkilon ka safar lagta hai....

Raastey mey bahut log miley humko bhi magar,
Sabki baaton mey chuppa ek khanjar lagta hai...

Phool khiltey hai yahan par murjhaney key liye,
Dil ka har ek tukda hum ko banjar lagta hai...

Raat din lagey rehtey hai Meley duniya mey phir bhi,
meri nazar ko suna suna yeh shahar lagta hai....

[/b]
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2006, 01:31:11 PM »
Reply with quote
Shikha, Ranjana, Gaurav & Shahid..Bohot hi achcha likha hai aap logon ne !!! Keep it up !!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: July 04, 2006, 02:01:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "Shikha12"
Very nice Ranju di.....

Rokney ki koshish ki, par yeh meri sunta nahin,
Samay ka yeh pahiya dekho kabhi thamta hi nahin...

Ankhon ney dekhi hai is zamaney mey khushian kai,
Is dil ka kya karey hum, jo kabhie khush rehta nahin....

Kehtey hai ki merey dil mey hi bastey hai woh kahin,
Jhaankh kar dekha dil mey to koi bhi dikhta nahin...

Zindagi ki tanha raahey hum ko lagti hai udas udas,
Manzil par jo pahuncha dey, yeh to woh rasta nahin...

[/b]


bahut khub shikha...........

saamne mere sagar hai aur main payaas bujha sakti nahi
kaise unke waqt ko apna banau kuch bata sakati nahi

hum bahut dur tak talash katre rahe unko raha mein
mud kar dekha toh saath mere  mera saaya bhi nahi

gumo ka silsila na ho agar jindagi mein toh jindagi nahi
agar na ho kaale andhere saaye toh roshni bhi kahi nahi



Kya baat hai Ranju Di.... Bahut achha likha hai...


Zindagi aasaan nahin par jeena to padta hai..
Har mushkil ko has kar paar karna to padta hai...

Ab bhi yaad kartey hai bachpan key woh khel hum,
Bachpan ko Jawani mey tabdil karna kyon padta hai....

Haath sey chhut'ti hai gili ret'h si yeh zindagi magar,
Isi ret'h sey mehal khushi ka banana to padta hai...

Yeh Dil to ab toot sakta nahin humara yaaron kyonki,
Dil todney key liye ek baar dil lagana bhi padta hai...

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2006, 02:02:29 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Gaurav, RWG, Ranjana, Rajbir and Talat[/b]
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:44:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.226 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer