Re't sii yeh Zindagi (Shikha)

by Shikha12 on July 02, 2006, 09:44:31 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5084 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: July 05, 2006, 02:12:42 AM »
Reply with quote
Shukriya Talat ,Rajbir,Shikha ..........

Jindagi toh mil jaati hain sabko chahai ya unchahai
beecha mein mil jaate hain na jaane kitne anjaan raahi

beetate hain kuch pal woh apni  jindagi ke saath saath
kuch meethe- kadawe palo ki sogaate de jaate hain

yeh jindagi ka khel bas waqt ke saath yuh hi chalta jaata hai
bachapan ,jaawani mein ,jaawani ko budaape mein tabdil kar jaata hai  

sab apne sukh dukh samate is jindagi ko bas jeete jaate hain
beh jaate hain yeh reit se gille yeh  pal fir kab haath aate hain
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #16 on: July 05, 2006, 05:27:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "redwhitegang"

bohot khub shikha ji!!!!!!!!!!!!!!aap kii likhayii bhii aap kii jagah jaisii uchii hein :D

Chalte chalte gum o ko paane ka naam jindagii hein
Phir us gum ko bhula kar hastein jane ka naam jindagii hein

Shukriya Shahid ji.... itni tareef ki aadat to kabhi bhi naa thi humey...

Aapki shayari pasand aayi....Bahut achha likha hai

Gum miley chahey khushi...
Ab to kuch parwah nahin...
Zindagi sey humey apni..
Ab koi shikwa bhi nahin...
Aadat ho chali hai humey
Har haal mey jee leney ki
Lekin yeh bhi sach hai ki
Jeenye ki koi wajah nahin.....

[/b]

bohot khub shikha ji!....aisa likhtiin hein aur phir bhisochtiin hein ke etni tarif ke haqdar nahii!.......................

Jindagii bina wajah ke jiya nahi jata
Aur gum o ka aapni adat bana liya nahi jata
Kisiko aapna kar to dekho,
Chehre par uski khusii la kar dekho
Khud bhi hason gii aur jindagii bhi kahegii k yahii sahii hein
Phir na hogii koi sikwa aur na kahogii k jine ki koi wajah nahii hein
.... :D

Marvellous RWG......

Khushi sab key chehrey par dekhi to hai
Phir bhi apna yeh dil udaas lagta hai....

Apnaya hai sabko aur khud ko kho diya hai,
Ab kuch aur khoney sey darr lagta hai...

Dil ki baat hum kisi sey keh nahin saktey,
Zindagi apni mushkilon ka safar lagta hai....

Raastey mey bahut log miley humko bhi magar,
Sabki baaton mey chuppa ek khanjar lagta hai...

Phool khiltey hai yahan par murjhaney key liye,
Dil ka har ek tukda hum ko banjar lagta hai...

Raat din lagey rehtey hai Meley duniya mey phir bhi,
meri nazar ko suna suna yeh shahar lagta hai....

[/b]

bohot khub shikha ji!...really u did good work :D

Khud ko kho kar dusro ko aapna ne wali
Khuda ki nek bandii lagti ho tum
Chupii huwii khanzar ki parwa na karo
Khuda nahi dhane deta aapne bando par ye sitam
Mana phool khilte hein murjhaaney ke liye
Insaan bhi duniya mein aate hein mit jaane ke liye
Khuda ki banayii huwi zinadagii ka yahii kaida hein
Par isse darkar jina chod de iska kya faida hein
Nazar uthakar khojo to sahii,milega tumko bhi tumhara sanam
Har khusii dega tum hein ,chinlega tum se tumhari sarii gam...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #17 on: July 05, 2006, 09:36:25 AM »
Reply with quote
Very nice replies....Ranju di and Shahid ji....[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: July 06, 2006, 04:26:31 AM »
Reply with quote

More key pankh key jaisi hai rangili sii
Phir bhi yeh zindagi to hai zeherili sii...
Jaaney kaisey jee letey hai log isey,
Hum ko to lagti hai sez yeh katili sii….

Moti ki tarah zazbaat dil mey rehtey hai,
Lekin hum kisi sey kuch nahin kehtey hai..
Koi kehkashan nahin milta is dagar mey,
Dekh li hum ney raah yeh patharili sii….

Ek leher ki tarah muhabbat chali aati hai,
Humko khud sey hi gumraah kar jaati hai…
Kinarey sey takrati hui phir laut jaati hai,
Saath ley jaati hai zindagi-e-re't geeli sii…
[/b]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #19 on: July 06, 2006, 04:38:43 AM »

Kamjor ho tum......
Tum inn Sawalon ke Jawab nahi jaan paoge......

Kuch Pal hote hai Safar me aise bhi......
Jinhe tum bina sahe Re't ki tarah bikhar jaoge......

Bina kisi ko kuch bataye.....
Bhala kya Dard kam hoga......

Kar khud ki Khushion se hee Samjhota......
Tera Dil kya ab bhi hasta hoga.....

Yeh Zindagi hai Sanam aise nahi jee jaati......
Socha jo hota kabhi apne liye bhi tumne toh aaj WaQt Re't bhi Gulaab ugaati.......!!!!!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #20 on: July 06, 2006, 02:36:18 PM »
Reply with quote
shukriya shikha ji! :D
Aur kya baat hein gaurav! excellent!!!!!!!!!!!!!!! :D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #21 on: July 08, 2006, 06:56:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "Shikha12"

More key pankh key jaisi hai rangili sii
Phir bhi yeh zindagi to hai zeherili sii...
Jaaney kaisey jee letey hai log isey,
Hum ko to lagti hai sez yeh katili sii….

Moti ki tarah zazbaat dil mey rehtey hai,
Lekin hum kisi sey kuch nahin kehtey hai..
Koi kehkashan nahin milta is dagar mey,
Dekh li hum ney raah yeh patharili sii….

Ek leher ki tarah muhabbat chali aati hai,
Humko khud sey hi gumraah kar jaati hai…
Kinarey sey takrati hui phir laut jaati hai,
Saath ley jaati hai zindagi-e-re't geeli sii…
[/b]

Kamjor ho tum......
Tum inn Sawalon ke Jawab nahi jaan paoge......

Kuch Pal hote hai Safar me aise bhi......
Jinhe tum bina sahe Re't ki tarah bikhar jaoge......

Bina kisi ko kuch bataye.....
Bhala kya Dard kam hoga......

Kar khud ki Khushion se hee Samjhota......
Tera Dil kya ab bhi hasta hoga.....

Yeh Zindagi hai Sanam aise nahi jee jaati......
Socha jo hota kabhi apne liye bhi tumne toh aaj WaQt Re't bhi Gulaab ugaati.......!!!!!!!!!

Nice Gaurav......

Yeh Safar zindagi ka ek lamba safar hai,
Mushkilon sey bhari iski har ek dagar hai....

Koi puchhta hai humsey jab haal dil ka,
Kehtey hai tanhaii ka kuch is par asar hai....

Hanstey hai hum ab bhi apney dukhon mey,
Jo rula dey humey us Dard ki abhi kasar hai...

Kho jaatey hai soch kar khud key barey mey,
Kahan hum khadey hai yeh kaisi rehguzar hai....

Kamjor nahin hum yeh to hum jaantey hai,
Tum kuch bhi kaho yeh tumhari nazar hai....

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #22 on: July 19, 2006, 05:54:08 PM »
Reply with quote

Zindagi tera haasil kya paaya mainey,
Apney saaye sey bhi chehra chupaaya mainey....

Do ghadi baat karney ko unsey jo talab ki dil ney,
Ta-umr khud ko Talabgaar banaya mainey....

Ladkhadaney lagti hai jubaa unsey kuch kehtey kehtey,
Nasha-e-gum mey khud ko itna dubaaya mainey....

Nazar pher letey hai nazron mey basney waley,
Aisey unki nazaron mey khud ko giraaya mainey....

Khalipan hai ek soonapan hai zindagi mey meri,
Tanhaaii ko ek baar jo galey sey lagaaya mainey.....

Ab to kuch dikhta nahin kaali andheri raat key siwah,
Jaltey deepak ko dhalti shaam mey bujhaaya mainey....

Thaama nahin haath mera, roka naa kisi ney bhi,
Zeher peeney ko jab apney labon sey lagaaya mainey...

Bheeg gayi palken sabki, ro diye dil jahaan walon key,
Kuch is kadar apna haal-e-dil unko sunaaya mainey.....

[/b][/i]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #23 on: July 20, 2006, 07:58:15 AM »

 =D>  =D>  =D>

Jab se Suni teri meethi see awaaz......
Khud ko teri Kashti ka Naavik banaya maine......

Ziindagi ke the kya matlab yeh rabb jaane......
Bas ek teri aas main Dil iss dunia me lagaya maine......

Kar Roshan harr Mehfil teri baaton se.....
Tere Aks ko aksar choona chaha hai maine......

Jab jab karti ho tum aisi baatein......
Khud ko bhi bekaar paya hai maine......!!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #24 on: July 20, 2006, 01:34:51 PM »
Reply with quote
Thanks Gaurav.... and nice one too....[/b]
Logged
mokshaa
Guest
«Reply #25 on: July 22, 2006, 08:49:30 AM »
Reply with quote
Well done all bahut khub likha sabnay.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #26 on: July 22, 2006, 04:56:56 PM »
Reply with quote
wah kay abaat hai kamal ka likha hai Badnaam shayar ji and Shikha..... bahoot khoob....

badnaam shayar ji apki do line bahoot achi lagi...

Kuch pal hote hai safar mai aise bhi
Jinhe tum bina sahe re't ki tarah bikhar jaogy

bahoot khoob..

mai sahti gai, zindagi chalati rahi
re't ki tarah, yahan wahan bikharti rahi

ajj apni hi re't se mai preshan hu
dhoop mai garm, raat mai sard hawa hu

pao (feet) jalaty hai khud ki hi ret per
sard ho jaati hu, khayalo ke kheil per

hey yah aise re't jise koi rok nahi pata hai
mout ke sath yahin kabar banane ke kaam atta hai
Logged
aaramish
Guest
«Reply #27 on: August 25, 2006, 11:11:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"

Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umr saari guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...
[/b]

Thx for sharing Shikha
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #28 on: August 29, 2006, 02:59:58 AM »
Reply with quote

Thanks a lot Mokshaa, Pankhuri and Aaramish..
[/b]
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #29 on: August 30, 2006, 07:53:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"

Zindagi tera haasil kya paaya mainey,
Apney saaye sey bhi chehra chupaaya mainey....

Do ghadi baat karney ko unsey jo talab ki dil ney,
Ta-umr khud ko Talabgaar banaya mainey....

Ladkhadaney lagti hai jubaa unsey kuch kehtey kehtey,
Nasha-e-gum mey khud ko itna dubaaya mainey....

Nazar pher letey hai nazron mey basney waley,
Aisey unki nazaron mey khud ko giraaya mainey....

Khalipan hai ek soonapan hai zindagi mey meri,
Tanhaaii ko ek baar jo galey sey lagaaya mainey.....

Ab to kuch dikhta nahin kaali andheri raat key siwah,
Jaltey deepak ko dhalti shaam mey bujhaaya mainey....

Thaama nahin haath mera, roka naa kisi ney bhi,
Zeher peeney ko jab apney labon sey lagaaya mainey...

Bheeg gayi palken sabki, ro diye dil jahaan walon key,
Kuch is kadar apna haal-e-dil unko sunaaya mainey.....

[/b][/i]

bohot achcha shikha ji!..kafi dino baad padfa ye,achcha laga :D

Sunkar tumhara ye afsana,ashkho ko rokh na paya maine
Sochta hun ke unke liye kyun aapna daaman bhigaya tumne
Jo na samajh paya tumhare dard ko aab tak..........
Kyun uske liye zeher khane ko haant uthaya tumne
Aab bohot ho chuki,kisi ke yaad mai khud ko rulatii ho
Sab jhoote riste naate hai,kuch din mai sab bhul jate hai
Tumhari aaskho ko pani banakar,aapni rah ko saaf kar jate hain..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:34:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer