Ek anjaaN Raahi Nikal parah ghar se aik satyaa jaanNe ko...
Bahut heraaN thaK gayaa thha, Niklaa thha thakan mitaaNe ko!
Sachh to yeh hai, koi nahiN jaaNtaa uss Satyaa ko...
Gar jaaNtaa bhi hai to kyaa Huwaa, nahiN pehchaaNtaa uss Rehasyaa ko!
Tang aagayaa thha Jhooth Kapat dekh dekh kar Raahi...
Sab logoN ministroN ki, daulat ki Lapat Jhapat ko dekh kar Raahi!
Sochh meiN thha Bhagvan hai bhi to kahaN hai...
Kyun nahiN samjhaataa,kyuN wo itNa befikar ho gayaa hai!
Kyaa insaaN uss.pe koi galat umeeD lagaaye Baithaa hai...
Khuda to kuchh Aur hi hai, Raahi galat pehchaaN baithaa hai!
Issi shashopanj meiN, maayoos ghooM rahaa thha Raahi...
Ek shaam jaa pahuNchaa ek bareh se Darwaaze pe thha Raahi!
Wahan likhaa thha Raahi ne dekaa, bareh lafzoon mein 'Welcome'...
Har kisi ko wo jagah, nimantraN detii thhe kehtii thhe 'Swaagtam'
Paerh hi paerh Nazar aate thhey chal Niklaa thha jis path pe Raahi...
Ek ghaNaa chaataa sa sajaa thha, jaataa thha jis khulii sarak pe Raahi!
Andheraa aur Rahii saathi baN, bharte hi jaa Rahe thhey...
Kaafii chalNe baad ek khule maidaN meiN, pahuNch gaye thhey!
Ek taraf bahut barah ShaamyaaNaa Tanah dekhte thhey...
Doosrii taraf ek Khoobsurat Imaarat, roshaN dekhte thhey!
Andheraa picheh chor wo Raahi, Imaarat meiN jaa pahuNcaa...
Bahut asaaNi se hi daftar meiN ek Naari ke rubru jaa pahuNchaa!
Naari Saadah aur sundar thhe jisNe haath jhorh Sawaagat kiya thha...
Bahut Thakaa dekh Baithaa kar Rahii ko, peeNe ko jal Diyaa thha!
Phir usNe poochaa Raahi se kis wajah se wo lagtaa parashaaN hai...
Raahi ne sab khole suNaayaa, yeh bataayaa kis liye pashemaaN hai!
Naari ne bataayaa agle roz Subah wo ek Majlis Sajaa rahe haiN...
Jis meiN mukhtalif MazhaboN ke mukhyaa Paadri bhi aarahe haiN!
Tumhaari tarah ke bahut se swaalii log bhi shaamil hoN.gay...
Unh logoN meiN aur VidvaanoN meiN Swaal Jawaab bhi hoN.gay!
Agle roz Raahi ne dekhaa, Vatican se Bishop, Luthran Father aaye thhey...
Majlis meiN Protestant Pastor, Saudi, Bahai Imaam bhi aaye thhey!
Ayaytollah, Bhudist Dalai Laama, Jain Muni, Jew Rabbis, hazir thhey...
Uss.Ne yeh bhi dekhaa do Hazaar se zayaadah aur log bhi Aaye thhey!
Sab se pehle Vedaantik Muni Ne sab ka Swaagat kiyaa thha...
Uss.ke baad unh.ko apNe Mazhab ke bare meiN bataaNe ko kahaa thha!
Har Paadri ne pehle Duaa parhi thhe, phir uss.ka matlab Samjhaayaa thha...
Uss.ke baad apNe apNe Mazhabh aur Khuda ke bare meiN batlaayaa thha!
Subne kahaa thha Khuda ek hai, miljul ke rehNaa hi muNaasib hai...
Yeh bhi kahaa thha Jooth na boleN kisi ka Dil na dukhaaNaa muNaasib hai!
Waqt aagayaa thha kuchh khaaNe ka,phir laut aaNaa swaal puchNe ko...
Har koi khaa ke laut aayaa thha, Utsak thha apNi shaNkaa mitaaNe ko!
Madadgar baari baari sabse swaaloN ki parchi ikathi kar Rahaa thha...
Raahi ne bhi apNi baari pe chotaa sa, kagaz ka Purhzaa haath diyaa thha!
Parchi ko itNa chotaa dekh madadgar kuchh Muskaayaa thha...
Sasari taur pe thha uss meiN jhaaNka, phir khoob Itraayaa thha!
Sab se parchi lekar ke Wo, Vedaantik Muni pass pahuNch gayaa thha...
Jo likhaa thha Rahii ki Parchi meiN, Muni ko bhi khoob Hasaayaa thha!
Sab SwaaloN ka Jawaab de Paadri, Raahi ki pachi pe aa.pahuNchey thhey...
Swaal thha chotaa sa, 'Is God Good?' Jawaab dene ki koshish meiN thhey!
Bahut waqt lag raha thha, Khuda ke bare meiN samjhaaNe ko...
Raahi ne khareh ho poochaa, kyuN nahiN aate Munijee kuchh bhi batlaaNe ko!
Bahut hichkachaate se aaye maNdap pe apNa Jawaab suNaane ko...
Bole ke Swaal Jawaab ek hi hai, iss se zayaadaa kuchh nahiN batlaaNe ko!
Swaal hai 'Is Gog Good' yaaNi ke kyaa Khuda achha hai...
Jawaab hai, God is Nothing but Good! Khuda aur kuchh nahiN par achha hai!
Yeh Jawaab suN, khoob hi zoroN ki taali bajii thhi...
Uske saath hi, Prayer baad Mujlis barkhaasT ho Chalii thhi!
Munijee ek baar phir bole, abb sab khaaNaa khaayeN aur ghar ko jaayeN...
Yaad rahe agle saal mujlis phir iss diN hogii, Kripayaa zarur laut.ke aayeN!!
wah wah wah wah wah wah wah bohut hi umda sir ji,it,s 2 long,,,,,maley ko bohut bohut bohut achi lagi sir ji