Sahmi si ik raat....

by Tabish_wahid on January 28, 2012, 05:17:59 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 780 times)
Tabish_wahid
Guest
Reply with quote
Kuch adhure sapne,
Khwabon se lar kar,
Palkon pe dam tor dete hain.
Jb ninden aankhon se jang haar jati hai.
Main dekhta hun mere chaaron or,
Sahmi si ik raat k saaye
Haath jore khare hain
Ye dare sahme saaye
Mujhme samaa jana chahte hain
Mujhme panaah maangte hain.
Main sun raha hun
khamosh darya ki chikhen
Mano kisi shokh chanchal k hatho me kankari dekh li ho.
Mujhe mahsus hota hai
Ek qatra jise aasmaan ne zamin pe de mara
gard se larte larte apna wajud kho raha hai.
Waqt ka kanta hansta muskrata meri janib badh rha hai,
Mere qadam pichhe hat rahe hain,
Zubaan se sadaa phutti hai,
Nahi main nahi dunga,
Ye sahmi si raat meri hai,
Main ise kisi ko nahi dunga kisi ko nhi,
Nhi nhi aaftaab ko v nhi..
Aaftaab ko v nhi..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
raat hui jab..... by Princess21 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
raat din by mahip in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Romantic Raat, {Wo Raat Bhi Kya Thi},. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Bheegi Hui Si Raat Mile,Us Raat Mai Tera Saath Mile by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2012, 03:57:41 AM »
Reply with quote
GD
Kuch adhure sapne,
Khwabon se lar kar,
Palkon pe dam tor dete hain.
Jb ninden aankhon se jang haar jati hai.
Main dekhta hun mere chaaron or,
Sahmi si ik raat k saaye
Haath jore khare hain
Ye dare sahme saaye
Mujhme samaa jana chahte hain
Mujhme panaah maangte hain.
Main sun raha hun
khamosh darya ki chikhen
Mano kisi shokh chanchal k hatho me kankari dekh li ho.
Mujhe mahsus hota hai
Ek qatra jise aasmaan ne zamin pe de mara
gard se larte larte apna wajud kho raha hai.
Waqt ka kanta hansta muskrata meri janib badh rha hai,
Mere qadam pichhe hat rahe hain,
Zubaan se sadaa phutti hai,
Nahi main nahi dunga,
Ye sahmi si raat meri hai,
Main ise kisi ko nahi dunga kisi ko nhi,
Nhi nhi aaftaab ko v nhi..
Aaftaab ko v nhi..
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2012, 07:32:52 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley very good
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2012, 12:54:23 PM »
Reply with quote
good Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 29, 2012, 01:32:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Tabish ji
Logged
Tabish_wahid
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2012, 02:11:20 PM »
Reply with quote
"Dr.S.K.Saini ji", "Manoj ji", "Sunil ji" nd "Mkv ji"--- Aap sabon ka tah-e-dil se shukriya.... Bas yun hi pyar aur yakeen banaye rakhye... Insha Allah aur bhi behter takhlik pesh-nazar hogi.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:14:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer