sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
Hamaaree jaan se achhaa kabhee kuchh ho naheeN saktaa. Hamaaree shaan se achhaa kabhee kuchh ho naheeN saktaa. Anaa apnee bachaa kar ishq meN bhee rakh zaraa ‘saini’. Hamaaree aan se achhaa kabhee kuchh ho naheeN saktaa.
Zaraa see baat par rishtaa jo pal meN tod detaa hai. Qadam vo doosree jaanib hee apne mod detaa hai. Bharosaa kyaa kare ese bashar pe boliye ‘saini’. Kabhee bhee aadmeeyat ka jo daaman chhod detaa hai.
Sanwarnaa yaa bigadnaa aadmee ke haath hotaa hai. Use waapas vahee miltaa vo jaisaa beej botaa hai. Khudaa ke aasre baithaa naheeN kuchh bhee kiyaa ‘saini’. Sdaa ilzaam dekar doosroN ko roz rotaa hai.
Vatan ke waaste jitnaa karegaa vo hee kam hogaa. Lahoo jitnaa bhee teraa bah skegaa vo hee kam hogaa. Ibaadat meN vatan kee ek naghmaa likh zaraa ‘saini’. Too iske baad jo kuchh bhee likhegaa vo hee kam hogaa.
Tere aane kee jis din bhee mujhe ummeed hotee hai. Mere ghar meN usee din bas samajhiye eed hotee hai. MaiN kho detaa hooN pal bhar ko vujood apnaa zamaane meN. Mujhe ‘saini’ achaanak hee teree jab deed hotee hai.
Sahaaraa waqt padne par bane bas betiyaaN meree. Shikaaraa waqt padne par bane bas betiyaaN meree. Samundar meN fanse kashtee kinaaraa kho gayaa ho tab. Kinaaraa waqt padne par bane bas betiyaaN meree.
Milee haiN saath meN begam ke jitnee saaliyaaN mujhko. NaheeN ab tak milee ghazloN pe meree taaliyaaN mujhko. Kisee kaa naam ghaltee se agar maiN bhool jaataa hooN. Tabhee sunnee pade begam se ‘saini’ gaaliyaaN mujhko. Dr. Surendra Saini
हमारी जान से अच्छा कभी कुछ हो नहीं सकता |
हमारी शान से अच्छा कभी कुछ हो नहीं सकता ||
अना अपनी बचा कर इश्क़ में भी रख ज़रा ‘सैनी ’|
हमारी आन से अच्छा कभी कुछ हो नहीं सकता ||
ज़रा सी बात पर रिश्ता जोपल में तोड़ देता है |
क़दम वो दूसरी जानिब ही अपने मोड़ देता है ||
भरोसा क्या करे एसे बशर पे बोलिए ‘सैनी ’|
कभी भी आदमीयत का जो दामन छोड़ देता है ||
संवरना या बिगड़ना आदमी के हाथ होता है |
उसे वापस वही मिलता वो जैसा बीज बोता है ||
ख़ुदा के आसरे बैठा नहीं कुछ भी किया ‘सैनी ’|
सदा इलज़ाम देकर दूसरों को रोज़ रोता है ||
वतन के वास्ते जितना करेगा वो ही कम होगा |
लहू जितना भी तेरा बह सकेगा वो ही कम होगा ||
इबादत में वतन की एक नग़मा लिख ज़रा ‘सैनी ’|
तू इसके बाद जो कुछ भी लिखेगा वो ही कम होगा ||
तेरे आने की जिस दिन भी मुझे उम्मीद होती है |
मेरे घर में उसी दिन बस समझिये ईद होती है ||
मैं खो देता हूँ पल भर को वुजूद अपना ज़माने में |
मुझे ‘सैनी ’ अचानक ही तेरी जब दीद होती है ||
सहारा वक़्त पड़ने पर बने बस बेटियाँ मेरी |
शिकारा वक़्त पड़ने पर बने बस बेटियाँ मेरी ||
समुन्दर में फंसे कश्ती किनारा खो गया हो तब |
किनारा वक़्त पड़ने पर बने बस बेटियाँ मेरी ||
मिली हैं साथ में बेगम के जितनी सालियाँ मुझको |
नहीं अब तक मिली ग़ज़लों पे मेरी तालियाँ मुझको ||
किसी का नाम ग़लती से अगर मैं भूल जाता हूँ |
तभी सुननी पड़े बेगम से ‘सैनी ’गालियाँ मुझको ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Aarish
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 28, 2012, 07:27:37 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aqsh
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 28, 2012, 07:30:17 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
gaytri gupta
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 28, 2012, 07:30:39 AM » |
|
Saini ji aap ki ek aur nayab peshakash padh ker bahut acha laga....bahut khoobsurat likha hai aap ne khas taur per betion k liye....badhayi...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
anmolarora
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 28, 2012, 09:36:33 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 28, 2012, 10:38:32 AM » |
|
bahut khoob, Saini saheb.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #8 on: September 28, 2012, 10:40:07 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #9 on: September 28, 2012, 10:42:03 AM » |
|
bahut khoob saini ji, dhero mubarakbad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
mann.mann
|
|
«Reply #11 on: September 28, 2012, 11:32:00 AM » |
|
waaaah waaah ji.... waaah... sach main satarangi hai.... indradhanush nikal aaya hai...... waaah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 28, 2012, 04:09:54 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
kamlesh.yadav001
Guest
|
|
«Reply #14 on: September 29, 2012, 03:58:35 AM » |
|
waah waah bahut khoob sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|