Shabd Ajj Shabd Nahi, Talwaar Hai..

by Pooja on May 22, 2009, 05:33:08 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3927 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Dil main bahoot dukh, dard aor gussa hai... Koshish kar rahi hu shabdo main nikal jaaye to acha hai...

Bahoot Tej ajj insaan ki raftaar hai
Shabd AJJ shabd nahi, talwaar hai

Apni baat manwane ko dekho ajj yeh  insaan
Inaasinyat ke naam per kar raha kaise kaise waar hai

Beete palo ko humne ajj tak kyun sajo kar rakha
Apne ban kar, kar raha wo dil ko taar taar hai

Seene mein vishwaas uske kaise rah jaata hai
Kalam se jab kar raha, dosto per atyachaar hai

Halaat se ladte rahna hai, Zid meri hamesha se
Magar milane wali thokaro ne bhi maani kab haar hai

Na jaane kis kis khabar ko chupwaya tha usne akhbaar main
Yaha to Rooh tadap kar sisak gai, kiya wo vayvhaar hai

Yeh pahla imtehaan nahi, ankhein dekh chuki tufaan bahoot
Deemag samjh chukka, dil ke samjhne ka bas intzaar hai

Bacho ka kheil nahi hai, her baar aye tufaan ko jhail jaana
“baaki sab thik hai”kaise kah du, dil mai ajj yahi takraar hai..

Bahoot Tej ajj insaan ki raftaar hai
Shabd Ajj shabd nahi, talwaar hai………


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shabd/black ----seen any of them??...did ya like ? by Nedura! in Movies, TV and Entertainment « 1 2  All »
chahaton ka silsila ---shabd by Nedura! in Songs & Lyrics
Shabd by Ravi_Dave in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
shabd kho gaye by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
shabd by rani mahrani in Other Languages
vitasta
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2009, 05:36:41 PM »
Reply with quote
uff pooja ji, kitne gusse mein likha hai ye aapne, aur gussa aur dard saaf jhalak bhi rahe hain in panktiyon mein!

bahut khoob..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 22, 2009, 05:52:28 PM »
Reply with quote
uff pooja ji, kitne gusse mein likha hai ye aapne, aur gussa aur dard saaf jhalak bhi rahe hain in panktiyon mein!

bahut khoob..

Gusse main dard hai, dard main abhi bhi hai hosh
Na jane kaya se kaya ban gaya insaan, kis ko du dosh

Hai bahoot apne, per samjhein na wo dil ki baat
Mana sikha hai humne alag-alag, kyun ki alag hai jaat aor paat

Socha tha parde likhe hai, samjhege kuch to insaaniyat ki baat
Per yaha to choti choti baat per, sar-e-aam qatal ho gaye sab zajbaat

Torr kar masoom dil, karte hai Insaaniyat ki baat
Us per Khuda ka naam, wah kaise badle, baato ki shakalaat

Socha tha chal du chor kar yeh sari Mehfilaat
Per dil na maana, bahoot dil se sinchi hai, Yoindia ki fasalaat

Gusse main dard hai, dard main siskein hai ajj zajbaat
Shabd ajj shabad nahi, de rahe hai, unke dil ko dastkaat…
Logged
Bharat
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2009, 06:20:05 PM »
Reply with quote
Dil main bahoot dukh, dard aor gussa hai... Koshish kar rahi hu shabdo main nikal jaaye to acha hai...

Bahoot Tej ajj insaan ki raftaar hai
Shabd AJJ shabd nahi, talwaar hai

Apni baat manwane ko dekho ajj yeh  insaan
Inaasinyat ke naam per kar raha kaise kaise waar hai

Beete palo ko humne ajj tak kyun sajo kar rakha
Apne ban kar, kar raha wo dil ko taar taar hai

Seene mein vishwaas uske kaise rah jaata hai
Kalam se jab kar raha, dosto per atyachaar hai

Halaat se ladte rahna hai, Zid meri hamesha se
Magar milane wali thokaro ne bhi maani kab haar hai

Na jaane kis kis khabar ko chupwaya tha usne akhbaar main
Yaha to Rooh tadap kar sisak gai, kiya wo vayvhaar hai

Yeh pahla imtehaan nahi, ankhein dekh chuki tufaan bahoot
Deemag samjh chukka, dil ke samjhne ka bas intzaar hai

Bacho ka kheil nahi hai, her baar aye tufaan ko jhail jaana
“baaki sab thik hai”kaise kah du, dil mai ajj yahi takraar hai..

Bahoot Tej ajj insaan ki raftaar hai
Shabd Ajj shabd nahi, talwaar hai………




Hello Pooja,
Aap ne bohot hi achcha likha hai .
This is really a very impressive writing.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2009, 06:22:41 PM »
Reply with quote
Hello Pooja,
Aap ne bohot hi achcha likha hai .
This is really a very impressive writing.

bahoot bahoot shukaria Bharat ji!!!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2009, 08:15:07 PM »
Reply with quote


POOJA JI,

dard meh likha hua ek ek alfaaz,
puri dastaan bayaan kar raha hai,
kisi ney dukhaya hai iss kadar aap ka dil,
har taraf sey yeh jhalak raha hai


you have portrayed very impressively too



jasbir singh
Logged
vitasta
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2009, 09:43:13 PM »
Reply with quote
Gusse main dard hai, dard main abhi bhi hai hosh
Na jane kaya se kaya ban gaya insaan, kis ko du dosh

Hai bahoot apne, per samjhein na wo dil ki baat
Mana sikha hai humne alag-alag, kyun ki alag hai jaat aor paat

Socha tha parde likhe hai, samjhege kuch to insaaniyat ki baat
Per yaha to choti choti baat per, sar-e-aam qatal ho gaye sab zajbaat

Torr kar masoom dil, karte hai Insaaniyat ki baat
Us per Khuda ka naam, wah kaise badle, baato ki shakalaat

Socha tha chal du chor kar yeh sari Mehfilaat
Per dil na maana, bahoot dil se sinchi hai, Yoindia ki fasalaat

Gusse main dard hai, dard main siskein hai ajj zajbaat
Shabd ajj shabad nahi, de rahe hai, unke dil ko dastkaat…


pooja ji...kya kahun main ab...aap bahut hi badiya likhti hain!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2009, 09:50:10 PM »
Reply with quote
Pooja behna ji,

Kis mood mein baithi ho aaj ! Is it SO!

Kalam par control nahi lag raha aaj shayad  Feared.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 22, 2009, 10:03:26 PM »
Reply with quote
Pooja behna ji,

Kis mood mein baithi ho aaj ! Is it SO!

Kalam par control nahi lag raha aaj shayad  Feared.

sahi kaha veer ji!!

iss liye poori koshish kar rahi hu ki kuch na likhu!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: May 22, 2009, 10:04:07 PM »
Reply with quote
Control Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: May 23, 2009, 06:51:58 AM »
Reply with quote
BAHOOT KHOOB Pooja di.. Ak ak sabd ak ak baat sahi taur pe byan hui hai....

Too good..
Bas kehte hai na .....

kabhi kabhi Hum apne ANteraatma par kabu nahi pa paate...
jab apne hi apne ki baat samaj nahi paate...

Kya kahe ab. vakt raftaar se bad raha hai
Jo na chaha tha.. woh sab ho raha hai

kaise sab hasne bolne wale badal rahe hai
Daram Jaat paat k naam par vaar kar rahe hai

Kisne di hame yea seek daram k paath ki hai
Insaan Ka khud ki banai reet pe kabu nahi hai

Mana Sab ko mili Daram Ki seek alag alag hai
Fir bhi Insaaniyat ko bhulne ki Insaan ki lath hai

Ab tho sayad Khuda ko hi aana padega sabko Samjaane
Ab Insaan ko samjana Insaan k bas mea nahi hai

Divya
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2009, 07:51:34 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob pooja ji.excellent , Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: May 23, 2009, 02:00:52 PM »
Reply with quote
Sophi ji aapne bhi behad acha likha hai

har lafz me ek dard aur sach hai..aakhiri sher to
bus itna umda likha hai ki daad die bgair na raha gaya  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

qubool farmayen


Thanks A Lot kaash Ji.. Sukriyaa



Gussa apnepan ki nishaani hai vo jatate rahna
apna koi raah bhoole jo to use raasta dikhate rahna


aapse bhi to mehfil ki roshni kitne ujle aur naye rang paati hai
na sochna bhi kabhi,kabhi na mehfil se apne nagmaat jane dena


aapko haq hai sab par,aapne sabko hi hamesha apna mana "Pooja"
sab sunenge apne dil ki baat aap apne dil ki yun hi kahte rahna


insaan aur insaaniyat par hume bus itna kahna hai'
apni aakhon me har soorat me hume apna aks hai dikhai dete rahna


aakhir hum sab hi to insaan hain koi Khuda nahi jo galti na karen
dua hai yehi ki hey bhagwaan tu hamesha hume sachhi raah dete rahna







 Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahoot bahoot Khoob Likha hai Kaash Ji...


Subah ka Bhula bhi saam ko laut aata hai
Daram k path chalne wala kabhi samaj nahi pata hai

Beh Jaati kabhi kabhi Khoob ki daar apno ki
Sath hass Bolne wala bhi ak pal k liye Paraya ho jata hai

Kyun Dete dusro ko hum Insaaniyaat ki seek hai
Jabki khud Insaan Uss Insaaniyat ki bhasa Samaj nahi pata hai

Dil Dukta hai Mera , Kalega Paseej Utatha hai
Jab Insaan Daram k Naam par Insaan ko Tukdo mea Baat jata hai


Divya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 23, 2009, 03:05:56 PM »
Reply with quote


POOJA JI,

dard meh likha hua ek ek alfaaz,
puri dastaan bayaan kar raha hai,
kisi ney dukhaya hai iss kadar aap ka dil,
har taraf sey yeh jhalak raha hai


you have portrayed very impressively too

jasbir singh


bahoot bahoot shukaria Jas ji!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: May 23, 2009, 03:14:49 PM »
Reply with quote
BAHOOT KHOOB Pooja di.. Ak ak sabd ak ak baat sahi taur pe byan hui hai....

Too good..
Bas kehte hai na .....

kabhi kabhi Hum apne ANteraatma par kabu nahi pa paate...
jab apne hi apne ki baat samaj nahi paate...

Kya kahe ab. vakt raftaar se bad raha hai
Jo na chaha tha.. woh sab ho raha hai

kaise sab hasne bolne wale badal rahe hai
Daram Jaat paat k naam par vaar kar rahe hai

Kisne di hame yea seek daram k paath ki hai
Insaan Ka khud ki banai reet pe kabu nahi hai

Mana Sab ko mili Daram Ki seek alag alag hai
Fir bhi Insaaniyat ko bhulne ki Insaan ki lath hai

Ab tho sayad Khuda ko hi aana padega sabko Samjaane
Ab Insaan ko samjana Insaan k bas mea nahi hai

Divya

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
ek ek shabd bahoot sahi likha hai... bahoot achi kavita ki rachna ki hai Divya... Good work!!!

ek ek line kamal ki likhi hai apne,.. magar yah lines bahoot achi lagi...

Mana Sab ko mili Daram Ki seek alag alag hai
Fir bhi Insaaniyat ko bhulne ki Insaan ki lath hai

Ab tho sayad Khuda ko hi aana padega sabko Samjaane
Ab Insaan ko samjana Insaan k bas mea nahi hai!!

Kuch likhne ki koshish karne ja rahi hu....


her ek main khud khuda basta hai
apne apne sochne ka bas ek rasta hai

koi soche khud ke dil-deemag se
koi aoro ke piche band ankh se chalta hai

dhoondo jo khud main, to sab khud samjh jaoge
warna ajj ki dunia main kon kis ke sung chalta hai

her ek dharam sikhaye, jayadatar ek se he baatein
Phir kyun choti choti baat per, Insaan itna ladta hai

hua hai dukh bahoot to bol padi kalam yah Pooja ki
warna ajj ki dunia main, apna bhi kaha apno ko samjhta hai!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:41:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer