SiskiaN

by Brijinder on December 08, 2005, 06:41:52 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1469 times)
Brijinder
Guest
Reply with quote
SiskiaN

Yeh aa rahi kahaaN say lahu main risti aawazaiN
Yeh kahaan say uth rahay haiN nafratoN kay sholay
Kaun day raha hai taal golioN ki
Yeh maut ka TaaNdav kahaaN ho raha hai?

HaaN jung ho rahi hai
Ab us taraf hai kal is taraf hai
Kisi ka ahud dagmagya to jung hai
Kisi ko mazhab yaad aayaa to jung hai

Har aur uth raha hai wehshat ka dhooNaN sa
InsaaN bhatak raha hai ki jaisay ho bika sa
Qeemat aadmiyut ki lapata hi ho gayi hai
Yaad-e-masrrat bhi shayad ashqoN main kho gayi hai

PaanioN pay tairti laashoN ki kulbulahut
Nangi chation pay zulm ki chaapaiN
Kuch na dekhti hui aaNkhoN kay samNdar
Kiso bulaty haiN……………………?

Kisko bulaata hai tutay jismoN ka shor
Kisko bulaata hai wehshat ka yeh daur?

Kub bun paya Adam aadmi
Azal say liyay hai qatl ki tashnghi
Sadion say fitrat-e-insaN ka yeh rung
Kahani-e-Adam rahi
Bus nafrat ki jung

Kab tak rehayga aakhir daur-e-wehshat-e-insaaN
Kab tak rahayga aakhir insaaN say juda insaaN
Gulshan-e-ahsaas aabaad hoga aakhir kub?
Kub………..?……………………….?

-----------------------------------------------

TaaNdav--Cosmic dance of destruction
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SiskiaN by Brijinder in Shayri-E-Dard
SISKIAN AB by adil bechain in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 08, 2005, 10:48:23 PM »
Reply with quote
Her sawaal ka jawaab khud main dhoond kar dekh
   Her wahshat ka jawaab, khud main dhoond kar dekh
   Uthaye hay jo sawaal, to kalam ko yahin na rok
   Dhoond kar laye jo jawaab, us atty yug ko bhi dekh!!

   Mana ki adam jaat ne wahshat barri failaai hay
   Lekin ussi yug main, hume kalam bhi to pakraai hay
   Ho raha hay kalam ka asar, yah meri nigaah main dekh
   Rokana na kalam apni, apni kalam ka asar tu dekh!!

   Jung hai insaaniyat ki, iske alag alag roop na dekh
   Kimat kaya hai insaan ki, yah toll kar na dekh
   Kon kisko bulata hai, is shorr ko na dekh
   Utha sake  khud tu jo, bas is nigah se tu sabko dekh!!

   Apne karma se, apni kalam se, badalta Adam tu dekh
   Ek adam se kuch adam jo jee jayegy, us jeevan ko dekh
   Sadion mai badala hai Adam, Adam ka her ek roop tu dekh
   Ek jo bana wahshi, so banegy farishty, issi adam jaai jaat ko bhi tu dekh!!
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2005, 07:40:10 PM »
Reply with quote
Shukriya,meharbaani
Logged
Brijinder
Guest
hi
«Reply #3 on: December 26, 2005, 07:44:20 PM »
Reply with quote
I request the readers to post their critical feedback as it is very important for me.
Brijinder"Sagar"
Logged
ranjeet_rp
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2006, 07:51:27 AM »
Reply with quote
JAB TAK INSAAN HAI RIWAAJON KAA GULAAM
JAB TAK HAI RASAM BARI,INSAANIYAT SIRF NAAM
JAB TAK HAI SOCH PAR JARE HUWE YE TAALE
JAB TAK HAI JINDA DUNIA MAIN KHUDAA BECHNE WAALE

JAB TAK BANTAA HAI INSAAN DEENO DHARAM KE NAAM PE
JAB TAK BANTAA HAI INSAAN JAAT AUR PAAT KE NAAP PE
JAB TAK EK TAKATWAR AUR EK GARIB HAI
TAB TAK SHAYAD INSAAN KAA YAHI NASEEB HAI

JAB TAK EK KO HAQ HAI AUR DUSRE KO NAHIN
JAB TAK SIYASAT NE BAANT RAKHI HAI JAMIN
JAB TAK HAI BHER CHAAL,JAB TAK HAI AANKHEIN BAND
NAHIN HAT PAAYEGI YE NAFRATON KI DHUNDH
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2006, 08:53:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "Brijinder"
SiskiaN

Yeh aa rahi kahaaN say lahu main risti aawazaiN
Yeh kahaan say uth rahay haiN nafratoN kay sholay
Kaun day raha hai taal golioN ki
Yeh maut ka TaaNdav kahaaN ho raha hai?

HaaN jung ho rahi hai
Ab us taraf hai kal is taraf hai
Kisi ka ahud dagmagya to jung hai
Kisi ko mazhab yaad aayaa to jung hai

Har aur uth raha hai wehshat ka dhooNaN sa
InsaaN bhatak raha hai ki jaisay ho bika sa
Qeemat aadmiyut ki lapata hi ho gayi hai
Yaad-e-masrrat bhi shayad ashqoN main kho gayi hai

PaanioN pay tairti laashoN ki kulbulahut
Nangi chation pay zulm ki chaapaiN
Kuch na dekhti hui aaNkhoN kay samNdar
Kiso bulaty haiN……………………?

Kisko bulaata hai tutay jismoN ka shor
Kisko bulaata hai wehshat ka yeh daur?

Kub bun paya Adam aadmi
Azal say liyay hai qatl ki tashnghi
Sadion say fitrat-e-insaN ka yeh rung
Kahani-e-Adam rahi
Bus nafrat ki jung

Kab tak rehayga aakhir daur-e-wehshat-e-insaaN
Kab tak rahayga aakhir insaaN say juda insaaN
Gulshan-e-ahsaas aabaad hoga aakhir kub?
Kub………..?……………………….?

-----------------------------------------------

TaaNdav--Cosmic dance of destruction


nice one brijendar
Logged
Brijinder
Guest
hi
«Reply #6 on: January 31, 2006, 06:57:34 PM »
Reply with quote
Thanx a lot
Brijinder"Sagar"
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:54:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer