Taqdeer badal sakti hai !

by shara63 on December 12, 2012, 05:06:03 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1614 times)
shara63
Guest
Reply with quote
  Tu jo chaahe teri taqdeer badal sakti hai
   Laakh na chahe duniya, phir bhi saNbhal sakti hai

   Ye na soch hargiz, kya kahta hai zamaana
   na soch ke sach hai ya ghalat hai tera afsaana
   tu iss haalaat-e-zamaana se  pareeshan na ho
   qissa goie ki rawaayaat se hairan na ho

   Kaam apna tu apni hi dhun me kiye jaa
   zillat-o-ruswaai ka har ghooNt chupchaap piye ja
   Khud ba khud saNwar jaaega mustaqbil tera
   bass tu apne aaj se, mukammal insaaf kiye jaa

   Kal ho jaaega tere qaayal ye zamaana saara
   bhool jaaega tere maazi ka fasana saara
   Badal jaaenge qaseede me sab tanz-o-fiqre
   phir mukhlif hi uthaaenge tere naaz-o-nakhre

   Ye to dastoor-e-zamaana hai, kisko bakhsha hai yahaaN
   Voh Seeta ho ke Meera, ya Shyaam ki pyaari Raadha yahaaN
   Devi ko agni pareeksha se guzarna padta hai yahaaN
   Prem ki khaatir zahar bhi peenaa padta hai yahaaN

   Paak nikli thi ek, agni pareeksha se guzar kar
   Devi akshay bani dooji, zahar ka pyaala peekar
   Thee markaz-e-nafrat jo ik waqt kabhi duniya ki
   aaj karte haiN ibaadat sab usi Raadhaa ki

   Ek tu hi toh nahi hai tanhaa, in raahoN me
   hamsafar aur bhi hain tere, zaraa aage toh nikal
   jo tere dil ki gawahee ho, usi gaam pe chaal
   khud ba-khud teri mushkileN ho jaaeNgi hal

   Kud ba khud teri mushkileN ho jaaeNgi hal ...................'ainy'


Note : Ye Bade hee afsos ki baat hai ke jis desh me aurat devi ki tarah pooji jaati hai waheeN  har qadam par ladkiyoN ko samaaj ke dohrepan ke chalte tamaam zillat-o-ruswaai ka saamna karke na jaane kitni pareshaniyaaN uthani padtee hain.. Ye nazm mainey aise hi ek waaqiye se mutassir hokar zulm-o-zyadati ki shikaar bachchiyon, aurtoN ki hauzal afzaai ko likhi hai…ummeed karti hoon aap sab isme chhupe hue message par ghaur zaroor kareNge aur ise pasand kareNge ,  Shukria !!
   
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: December 12, 2012, 05:45:33 AM »
Reply with quote
Ye to dastoor-e-zamaana hai, kisko bakhsha hai yahaaN
Voh Seeta ho ke Meera, ya Shyaam ki pyaari Raadha yahaaN   
Devi ko agni pareeksha se guzarna padta hai yahaaN   
Prem ki khaatir zahar bhi peenaa padta hai yahaaN

Bahut badhiya shara jee

Aapki is khoobsurat nazm par bahut bahut badhaai



Logged
shara63
Guest
«Reply #2 on: December 12, 2012, 05:54:09 AM »
Reply with quote
mkv sb, nazm pasand karne aur badhaai dene ke liye aapka bahut bahut shukria!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: December 12, 2012, 08:03:31 AM »
Reply with quote
laajawaab peshksh
Logged
shara63
Guest
«Reply #4 on: December 12, 2012, 10:37:31 AM »
Reply with quote
bahut shukria Saini sb!
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: December 12, 2012, 10:55:10 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut pyaari nazm hai shara jee bahut bahut mukarak ho
Logged
shara63
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2012, 11:13:48 AM »
Reply with quote
aqsh ji, aapko nazm pasand aai...padh kar achchha laga...pur-daad claps ke liye aapko meri dili shukria !
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: December 12, 2012, 07:25:44 PM »
Reply with quote
Sharaa Jee Aadaab!


WaaH jee waaH bahut khoob ... badi achchi nazm kahi hai
aapne... Usual Smile
Waise toH puri nazm achchi rahi par..

Par woH seeta mira aaur radha wala baNd behad umdaa raha...
gazab ka khayaal bayaaN kiya hai aapne.. Usual Smile

Humari hazaaroN daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rhaiye.. aate rahiye..
Shaad O aabaad rhaiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile                   

Logged
shara63
Guest
«Reply #8 on: December 13, 2012, 04:50:27 AM »
Reply with quote
Parwaaz sb, Daad-o-mubaarakbaad ke liye aapka behad shukria!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: December 13, 2012, 01:09:52 PM »
Reply with quote
Bahut  khubsurat  nazm  hai . Bahut  khubsurat  taareekh  aur  bahut khubsurat  message  hai . Nazm  , main samajhta  hoon , shairy ki eik mushkil sinf  hai  jis mein  theme ki yaksooi aur bayaan mein  tasalsul zaroori hota hai .Is kaam ko bakhoobi anjaam dene ke liye aapko sidq e dil se mubarakbaad pesh hai . Khush  rahye.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: December 14, 2012, 04:25:56 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut sundar, bahut bahut khoob Ainy ji....!!!
Logged
shara63
Guest
«Reply #11 on: December 14, 2012, 04:34:43 AM »
Reply with quote
Siddiqui sb, Mann iftekhaar daaram !.....Waqai ye meri khushnaseebi hai jo aap jaisi qaabil-o-Azeem shakhsiyat ne meri nazm ko na sirf padha balke isko ek achchha kalaam bhi tasleem kar ise pasand kiya...main aapki behad shukraguzaar hoon jo aapne mujhe itni izzat bakhshi aur meri hausla afzaai ki..meri darkhwast hai meri rahnumaai ko isi tarah hamesha aate rahiyega... bahut bahut shukria,
Khudaa aapko hamesha achchha rakhe !
Logged
shara63
Guest
«Reply #12 on: December 14, 2012, 04:41:52 AM »
Reply with quote
Hriday ji, aapke hriday ke udgaar mere manobal ko dugna kar dete haiN...bass yuNhi aate rahiye aur mujhe ek qadam aur aage badhne ka hausla dete rahiyega..aapkaa bahut bahut shukria!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:39:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer