<--~~Tera Saaya~~-->

by Ninaah on June 30, 2005, 07:58:38 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 11588 times)
tamana
Guest
«Reply #15 on: July 09, 2005, 11:11:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "Ninaah"
phir rahe the veeron mein,
ki ek darakht nazar aaya,
darr kar aankhein moond lee,
jab wahan pur dekha tera saaya....


zabardast
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tera Saaya...SK by Shayaries_King in Shayri for Khumar -e- Ishq
SAAYA HOON TERA by saahill in Share:Love Poetry
main to tera saaya hoon by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
tera hi saaya hun by saahill in Miscellaneous Shayri
Ninaah
Guest
«Reply #16 on: July 12, 2005, 04:54:53 AM »
Reply with quote
thanks tamanna,

tamannaon mein ulajhte rahe,
pur pyar ka sahil na mila,
bahot aaye raah mein,
pur uski tarah koi kabil na mila.....



Quote from: "tamana"
Quote from: "Ninaah"
phir rahe the veeron mein,
ki ek darakht nazar aaya,
darr kar aankhein moond lee,
jab wahan pur dekha tera saaya....


zabardast
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #17 on: July 12, 2005, 05:02:18 AM »
Reply with quote
hi harsh........

na ghabrao iss tarah ki,
ghabra ke manzil kahan milta hai,
dubte reh jaate hain lahron mein,
chah kar bhi sahil kahan milta hai....


Quote from: "harashmahajan"
wah Ninnah ji wah...

main gabra gaya hoon is tarah ro ro kay jeene se
kahien khuda bhi na uter aaye  yuin rokey jeene se
kerta hoon main iltaja ai tanhaayio tumse
aa jao  lagao mujko gale  jeene do kareene se


ninnah wrote..

Quote
thanks harsh.....lekin jab dil dard sehta hai to badi takleef hoti hai.... kyon hoti hai na.....

socha tha kabhi humne,
apne dard ki dawa hum karenge,
na mud ke jaayenge uske pass,
aur khuda ki chaukhat pe he marenge.....
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #18 on: July 12, 2005, 05:29:00 AM »
Reply with quote
jahan tum dheeraj dhoondoge,
wahan log bekarar milenge,
gur dhundhna chaho ek deewane ko,
to wahan bethe hazaar milenge....


Quote from: "fakharenaveed"








Zindgi Bhari Padi hai Deewanon S Yahan
Log Aate Hain Mehmanon S Yahan










Quote from: "Ninaah"
thanks faree..... this is for you....

aisa sapna dekha maine,
jahan sirf pyar ka sama ho,
har taraf bahar ho,
aur khushiyon ka gulistan ho.....




Quote from: "fakharenaveed"
Kuch Log Hain Jo off The Topic Replies Krtay Hain ,that is Not fair coz Sara Maza Hi Khrab Ho Jata Hai Buhat Bar Dekha Lekin Aab Khay Bina Nahin Reh Ska(It`s Not 4 you Nini)


Buhat  Khoob........Niaah............................... .. Supreb Gr8


Here Is 4 You


Jo Milay Hum KO Saath  Tera Aye Mere Humnawa
Hum Bhi In Toofano S Tukra Jayein Mere HumNawa
Kabhi Kabhi Tu Hum Ko Prya Lagne Lagta  Hai
Jab Tu Jata Hai Meri Zindgi S durr Mere HumNawa
 




Quote from: "Ninaah"
fareeeeeee for you.......

veerano se jitna to daroge,
veeraniyan utna he darayengi,
hans kar karo muqabala humse,
to woh tumse darr kar bhag jaayengi....



Quote from: "fakharenaveed"
Quote from: "Ninaah"
THANKS FAREE......


Quote from: "fakharenaveed"
Quote from: "Ninaah"
phir rahe the veeron mein,
ki ek darakht nazar aaya,
darr kar aankhein moond lee,
jab wahan pur dekha tera saaya....
Ninaah Dear ....................Nice




You Are WelCome



Zindgi Jitni KhubSurat Humein Yahan  Nazar Aati Hai
Is S Kahin Ziada Huemin yeh Tanhaiyon Main Drati Hai
Hum Chahtay Hain bas Khushain Hi Khaushain
Yeh Bas Ghumon Ko Hi Humray Daman Main dal Deti Hai

Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #19 on: July 12, 2005, 05:38:24 AM »
Reply with quote
yeh jo deewane s aap ko do chaar nzar atte hain
in kuch log hum ko purasraar nzar aate hain
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #20 on: July 13, 2005, 12:21:39 PM »
Reply with quote
deewane to hum bhi the kisi ke pyar mein,
kabhi nazrein bichaye rehte the kisi ke intzaar mein,
kisi ko bhi na tha yakeen unpur humare siva,
aur hum zindagi haar bethe unke aitbaar mein....



Quote from: "Yoindian Ghunda"
yeh jo deewane s aap ko do chaar nzar atte hain
in kuch log hum ko purasraar nzar aate hain
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #21 on: July 13, 2005, 03:41:07 PM »
Reply with quote
theek kaha..Ninah ji....lekin shayad aap bhi bakhoobi jaanti hain ki......->

Kab tak peeyega 'harsh' unki unkahi akhiyon ka saroor
lehron main doobte rahei hain janam se sehte hue unka garoor.



Ninah wrote...

Quote
hi harsh........

na ghabrao iss tarah ki,
ghabra ke manzil kahan milta hai,
dubte reh jaate hain lahron mein,
chah kar bhi sahil kahan milta hai....

Logged
Ninaah
Guest
«Reply #22 on: July 15, 2005, 04:34:52 AM »
Reply with quote
kya khoob kaha harsh........

lekin......

jahan garoor hai,
wahan pyar kahan hota hai,
wo aham mein jeene ke aadi hain,
unhe sacche pyar ka intzaar kahan hota hai........




Quote from: "harashmahajan"
theek kaha..Ninah ji....lekin shayad aap bhi bakhoobi jaanti hain ki......->

Kab tak peeyega 'harsh' unki unkahi akhiyon ka saroor
lehron main doobte rahei hain janam se sehte hue unka garoor.



Ninah wrote...

Quote
hi harsh........

na ghabrao iss tarah ki,
ghabra ke manzil kahan milta hai,
dubte reh jaate hain lahron mein,
chah kar bhi sahil kahan milta hai....

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #23 on: July 15, 2005, 04:43:55 AM »
Reply with quote
bahoot khoob ninnah ji...sahi kaha aapne....

mere hamsafar hi bhoole hain aaj mujhko
poochhay hain aaj mujhse hisaab zindagi ka.
poochho na haal mujhse ai mere khuda
rootha hai aaj asamay shabaab zindagi ka


ninnah wrote....

Quote
kya khoob kaha harsh........

lekin......

jahan garoor hai,
wahan pyar kahan hota hai,
wo aham mein jeene ke aadi hain,
unhe sacche pyar ka intzaar kahan hota hai........
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #24 on: July 16, 2005, 03:06:59 AM »
Reply with quote
aashiq ko ghere hain gardishein zamane ki
ab kahan hai use fursat muskurane ki
haale dil jo sunaya khat likh kar
to jawab aaya karo koshish bhool jaane ki
daal do meri mayyat par chadar woh na aayenge deedar-e-aakhir
shayad aaj hi hai unhein rasam mehndi lagane ki
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #25 on: July 23, 2005, 11:35:36 AM »
Reply with quote
har gum mera,
meri hansi mein mubtilah hai,
aaj bhi yaad kar ke rote hain,
kya ye kam pyar ki saza hai......




Quote from: "Yoindian Ghunda"
aashiq ko ghere hain gardishein zamane ki
ab kahan hai use fursat muskurane ki
haale dil jo sunaya khat likh kar
to jawab aaya karo koshish bhool jaane ki
daal do meri mayyat par chadar woh na aayenge deedar-e-aakhir
shayad aaj hi hai unhein rasam mehndi lagane ki
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #26 on: July 25, 2005, 05:22:15 AM »
Reply with quote
har hawa teri yaad saath laayee hai,
tere intzaar mein zindagi bitayee hai,
har koi pyar karta hai,
pur maine pyar karke ye saza kyon payee hai.........
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #27 on: July 25, 2005, 09:09:41 AM »
Reply with quote
saza yaafta ho ya ho mehbooba us chaand ki
jisne apni chaandni se tumeh nehlaaya hai
mujhe Fakhra hai apne hone ka, o mehzabien
ki har waqt her lamhaa hi paaya hai..
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #28 on: July 26, 2005, 05:55:56 AM »
Reply with quote
waah kya baat kahi harsh.........

paane ka ehsaas kitna sukoon deta hai,
kisi ke aane ki aahat chen cheen leta hai,
kisi ki yaadein nasoor ban kar rehti hain dil mein,
aur ye dil muskurate huve har gum sehta hai.......




Quote from: "harashmahajan"
saza yaafta ho ya ho mehbooba us chaand ki
jisne apni chaandni se tumeh nehlaaya hai
mujhe Fakhra hai apne hone ka, o mehzabien
ki har waqt her lamhaa hi paaya hai..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #29 on: July 26, 2005, 10:46:50 AM »
Reply with quote
bahoot achhay ninaah ji kya gazab dhaati ho aap........

Seh ker dosh na do apne muqadder ko
hamne dojakh main bhi unhe muskraate hue dekha hai
yaadein unki dil main, nasoor bane na bane
hamne unke muqadder ko bhi dhalte hue dekha hai.

Ninaah wrote...

Quote
waah kya baat kahi harsh.........

paane ka ehsaas kitna sukoon deta hai,
kisi ke aane ki aahat chen cheen leta hai,
kisi ki yaadein nasoor ban kar rehti hain dil mein,
aur ye dil muskurate huve har gum sehta hai.......
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:04:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer