Tere Liye.. :)

by Samargwl on November 08, 2006, 09:04:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3712 times)
Samargwl
Guest
Reply with quote
Dil halka karne ke liye kuchh thikaane chahiye, Shayari unmein se ek hai..

Hum ye kabhi nahi kehte ki hum shayar hain,
Wo to bas auron ki kadar karne ki humari aadat hai Usual Smile

To aaiye aur shaamil ho jaiye is mehfil mein aap sabhi Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere liye by mnfardeen in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi tere liye by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere khushi ke liye by kiiller_1 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***sab kuch hai tere liye*** by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
*_^ Sirf Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye.. *_^ by Rancho-D-Idiot in Shayri for Dard -e- Judai
Samargwl
Guest
«Reply #1 on: November 08, 2006, 09:08:01 PM »
Reply with quote
Aaj Fir Dil Ko Fursat Mili, Aaj Fir Wohi Yaad Aane Lage Hain,
Dil Ke Zakhm Fir Taaza Huye, Waqt Ko Jinhe Bharne Mein Zamane Lage Hain,
Ye Aaj Hi Ki Baat Na Thi, Aksar Hum Is Dil Ko Samjhaate Hain,
Zuban Par Fir Bhi Tera Naam Rukta Nahi, Sanam Tujhe Hum Bhool Nahi Paate Hain..

Beqaraar Dhoondhta Tha Kabhi Jis Saaye Ko Main Har Mehfil Mein,
Chhupane Zindagi Roopi Us Kitaab Ki Saadgi Shab-e-Dil Mein,
Tab Woh Huye Humse Mukhatib Aur Lamha Thahar Sa Gaya,
Tarruf Na Ho Paaya Par Ulfat Kya Hai, Ye Ilm Khoob Hua..

Aitraaz Na Kiya Kabhi Jab Hum Chhupkar Deedar Lage They Karne,
Jinki Raahon Mein Phool To Kya Nazron Tak Ko Bichhaya Tha Humne,
Har Mod Par Roobaru Ho Kar Ek Afsaana Chhod Diya Banne,
Aadat Aisee Thi Ki Lab See Diye, Ki Is Khamoshi Ko Samjha Na Kabhi Tumne..

Tumhe Apna Kehne Ki Chah Mein Kabhi Ho Sake Hum Kisi Ke Nahi,
Ab Is Dil Mein Hain Chubhti Huyi Yaadein, Aur Ye Dard Thaharta Bhi Nahi,
Par Kya Karen, Is Dil Ko Zakhmon Se TaS****e Bhi Nahi,
Kehta Hai “Gum Se Khali Dil Ho To Jeene Ka Mazaa Hi Nahi”..

Socha Tha Bhula Doonga Ki Chaahat Mein Zindagi Kabhi Thi Muskarayi,
Mushkil Tha, Na Tha Bahut Aasaan Bhulana Khwaab Ki Woh Parchhanyi,
Par E Kaash Kahin Mil Jaaye Woh Meet, Dohraaye Rachak Is Rachana Ka,
Paa Preeti Us Braahmi Roopi Kalika Ki, Ho Arth Safal Jeevan Samar Ka..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #2 on: November 10, 2006, 07:37:06 PM »
Reply with quote
(  mitti meri kabar se chura raha hai koi,
   mar kar bhi yaad aa raha hai koi,
   ae khuda ek pal ki zindagi aur de mujhe,
   ki Udaas meri kabar se jaa raha hai koi   )

Tumhari kabar se mitti aajkal churata hai saara zamaana,
Ye ilzaam aaj ke baad sirf hum par mat lagaana,
Fir jab tak zindagi rehti hai, kyun humse gila karte hai wo,
Jab humari kabar par baad mein unhe aakar padta hai aansoo bahaana..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #3 on: November 10, 2006, 07:41:18 PM »
Reply with quote
(   Kabar ki mitti utha le gaya koi,
    Usi bahane hame chukar gaya koi,
    Tanhai aur andhere me khush the hum,
    Lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi....    )


Kabar se mitti uthaane ki daastan bahut purani hai,
Humare liye ye unke wajood ki bas ik nishaani hai,
Chhoo naa sake taa umra unhe hum apni marzi se to kya,
Humne mehsoos kiya is mitti mein abhi baaki utni hi jawaani hai..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #4 on: November 10, 2006, 07:48:05 PM »
Reply with quote
(   Janazza terra utha jo, mayyat mai hum na aaye
    Kabr mai terri bethkar,  milanay  ke sapnne sajaye

    Sochha tha duniya ke dar se , unhone humme nahi apnaya
    Isliye kabr mai unkki bethkar , intezzar karne ko ji aaya

    Merre sanam ne patta nahin , loggo ko kya samjhaya
    Loggo ne lakar unkko ,  doosri kabr mai dafnaya

    Ae khuda , aaj tujhse sawaal karne ko man aaya
    Log toh uskke the par aaj tujhse bhi kyon humnne dagga khaya …  )


Janaaza tera uthne naa denge, gar mayyat mein teri hum aa na paaye,
Kabar teri khudne bhi naa denge, gar marne se pehle hum naa mil paaye,
 
Duniya se darrte darrte bhi tune mere ilzaam apne sir lagaye,
Kya jaante they humare intezaar mein tune bhi kitne zakhm hain khaaye,
 
Maut ke baat bhi ae sanam tere wohi tewar fir nazar aaye,
Ae khuda aisi kya khata thi meri, ki hum usey itnaa bhaaye,
 
Pehle to hum par khoon ka ilzaam lagwaakar, humara katal karwa diye,
Aur Khayal rakh sako humara, is khaatir kabristaan mein bhi padosi banaa liye..  
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #5 on: November 10, 2006, 08:20:33 PM »
Reply with quote

Chot to khayi hain bahut humne lekin,
Bas dil ke dard ko lafzo mein bayaan nahi karte..
Darr lagta hai ki fir koi kaafir naa ban jaaye,
Gaalib hum jaise pardesiyon ko shaayar nahi kehte..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #6 on: November 10, 2006, 08:32:16 PM »
Reply with quote
(   Chand Lamho Ki Zindgani Hai,
    Nafrato Se Jiya Nahi Karte,
    Lagta Hai Ab Dushmano Se Gujarish Karni Padegi...
    Kyun Ki Dost To Yaad Kiya Nahi Karte...   )


Wo Zindagi hi kya jo chand lamho mein guzar jaayen,
Wo Nafratein hi kya jo pal bhar mein utar jaayen,
Ek to Humari barabari dushmano se karte ho,
Aur fir Dost keh kar tanhayee mein yaad bhi karte ho..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #7 on: November 10, 2006, 08:36:52 PM »
Reply with quote
(   dard-e-dil mein kamii na ho jaaye
    dostii dushmanii na ho jaaye
    tum merii dostii kaa dum na bharo
    aasmaa.N mudda_ii na ho jaaye   )


Dard-e-dil mein kamee naa ho to dil bekaraar rehta hai,
Dosti dushmani naa bhi ho, fir bhi pyaar to rehta hai,
Hamare dum se hi hai ye apni dosti salaamat,
Kyuki is muddaii aasmaan ko manaana hi aakhir sabka mukaam rehta hai..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #8 on: November 10, 2006, 08:39:41 PM »
Reply with quote
(   Bhule hai rafta-rafta unhe mudatton mein hum,
    kishton mein khud-kushi ka majaa hum se puchiye   )


Isey khud-kushi ka manzar nahi, akelepan ka sabab kahiye huzoor,
Unhe bhool paane ka aasraa dil ko dekar bhi ye zakhm-e-jigar kam nahi hua karte..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #9 on: November 10, 2006, 08:41:16 PM »
Reply with quote
(   Na karta shikayat zamane se koi,
    Agar maan jata manane se koi,
    Kisi ko kyon yaad karta koi,
    Agar bhool jata bhulane se koi...   )

Shikayaton ka silsila jo ab chal hi nikla hai,
To fir dosh mat do un zaalim haseenaon ko,
Kyuki dil to unke seene mein bhi dhadakta hai, aur yaad humein bhi karta hai,
Bas fark itna hai ki humein bhool paane ki koshish nahi karte wo..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #10 on: November 10, 2006, 08:51:24 PM »
Reply with quote
Aachha hua ki aap aa gaye .. humme to lagga tha ki koi kadardan nahi milega …

Yun is taraah tum humein sharmindaa naa karo,
Ki aapki kadar karna to humare liye inaayat hai..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #11 on: November 10, 2006, 08:56:51 PM »
Reply with quote
(   Khudha door rakhe gam ke har tanhai se,
    Janamdin mubarak ho dil ke gehrae se..   )

Thodi Mubaarak humari taraf se bhi sweekar karo,
Aur kal ki thukayee ki wajah se humari treat se mat inkaar karo
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #12 on: November 13, 2006, 01:35:12 AM »
Reply with quote
(   Ashqon ke maane kho gaye , jab se hum dafan ho gaye

    Karte-karte akale baatein ,armaan sarre khatam ho gaye

    Jo Pados se aayi terri khusboo , jazbatton ko phir hawa milii

    Uth bethhe kabr main wapas, umeed hai phir terre se wafa ki ....   )


Akele guzari hai saari zindagi, dil ko teri yaadon ka aasra deke,

Uthkar baithe zaroor hain, magar ye na samajhna ki hum sirf tujhe hi dekhe,

Yahaan aur bhi haseenayen maujood hain apni tabaahi ki daastan leke,

Aaj bata bhi de ki aisa kya tha tujhme ae kaatil, ki ye kadam sirf tujh par behke..
Logged
Shayra
Guest
«Reply #13 on: November 13, 2006, 07:58:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Samargwl"
Dil halka karne ke liye kuchh thikaane chahiye, Shayari unmein se ek hai..

Hum ye kabhi nahi kehte ki hum shayar hain,
Wo to bas auron ki kadar karne ki humari aadat hai Usual Smile

To aaiye aur shaamil ho jaiye is mehfil mein aap sabhi Usual Smile




kya baat hai..........
khud ko shayar kaha bhi nahi......
aur shayarana is kadar hain bane...... :wink:
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #14 on: November 13, 2006, 09:29:27 PM »
Reply with quote
(   Yaddon ka aasara dil ko dette rahe , aankh uthi jab bhi tereko dhoondate rahe

    Tu na milli toh na sahi , apnne asuon se terri tasveer ko bhigotte rahe

    Ek din aayegi tu yahi sochkar , aur hassino ki taraf kadmo ko jaane se rokate rahe

    E katil terri ek  jhalak ke liye ,  zindagi bhar maikhane ka rastta khojatte rahe   )



Jaante hain ki tu laut kar ab kabhi nahi aayegi, chahe kisi aur ka daaman thaam loon

Magar tujhe paane ki ye talab kabhi nahi jayegi, chahe kisi aur haseena ka naam loon

Ye mat samajhna ki teri tasveer ko bhigoya hai humne apne ashqon se,

Ashq to behte hain un haseenao ke aksar, jinke pehloo aaj bhi tere naam se sajaa kar rakhoon..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:50:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer