Tere Liye.. :)

by Samargwl on November 08, 2006, 09:04:46 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3678 times)
Samargwl
Guest
«Reply #15 on: November 14, 2006, 09:21:01 PM »
Reply with quote
(   Laut kar aane wallo ki raah hum phir dekhate nahin

   Jo gujar gaya uskke barre mai kabhi phir sochatte nahin

   kisse kya gilla karein , koi yaha humaara nahin

   Yeh zindagi humaari hai aur humme isse zinna hain   )


Raah unki mat dekho ab ki aankhen thak jaayengi,

Aur fir unke aate hi ye nigaahen bhi jhuk jaayengi,

Tab kahoge ki guzra waqt laut aane ko betaab hai,

Saari shikayaten waheen dum todd dengi, ruk jaayengi..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere liye by mnfardeen in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi tere liye by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere khushi ke liye by kiiller_1 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***sab kuch hai tere liye*** by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
*_^ Sirf Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye.. *_^ by Rancho-D-Idiot in Shayri for Dard -e- Judai
Samargwl
Guest
«Reply #16 on: November 14, 2006, 09:27:13 PM »
Reply with quote
(   Laut kar aane wallo ki raah dekhanaa nahin

    Gujar gaya jo uskke barre mai phir sochanaa nahin

    Milla aakhir sab kuch ek terre siwa,  phir kya gilla

    Dekh jarra gaur se , zindagi muskara rahin hai ,

    phir jeene ke liye bulla rahi hain , phir jeene ke liye bulla rahi hain..   )



Tu milegi nahi isliye raah taknaa chhod diya,

Aur fir ghum ke manzar ne bhi apna rasta modd diya,

Mat ghabrana ae shayar tu apne haalaat se, is baat se,

Teri khumaari ne humein unki yaadon se dobaara jodd diya..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #17 on: November 17, 2006, 07:32:19 PM »
Reply with quote
nice collection samargwl ji
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #18 on: November 22, 2006, 10:07:22 PM »
Reply with quote
(   Ek ubhartte shayar ko aaj phir badnaam kiya
    Shayri ko uskki aaj ,  kissi aur ka naam diya
    Terre saath jodkar mujhe aaj E ‘Ghalib’,
    Zammane ne phir , sare-aam mujhe nilaam kiya   )


Badnaam wo shayar hain jinka apna naam nahi,
Jo naam kamaa chuke hain unko darne ka kaam nahi,
Hum to tera naam sunte hi Gaalib ko yaad karte hain,
Gar isey tareef na samjhe naa sahi, magar samajh isey ilzaam nahi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #19 on: November 22, 2006, 10:11:57 PM »
Reply with quote
(   Ubhartta hua ek shayar ,  aaj phir gabhra gaya
    Uskki chaturayi par , tumkko shaq hai aa gaya
    Naam merra apnne naam ke saath sunkar
    Kabr mai 'Ghalib'  aaj phir muskraa gaya   )


Iss khushi mein ghabrana har kisi ke bas ki baat nahi,
Hum par shaq ka ilzaam laga na, aisi humari jaat nahi,
Kuchh to baat hai us Ghalib mein jo kabr mein bhi muskurata hai
Aur kehta hai ae Chatur, gale milkar shabashi doon aise mere haalat nahi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #20 on: November 22, 2006, 10:17:15 PM »
Reply with quote
(   Raah unkki dekhate dekhate , aankehn phir thakka di
    Na aaye woh to kya hua ,apni tasveer toh bhijwa di
    tasveer mai dekhkar unkko aaj, aaj phir hum sharma gaye
    guzzre waqt ki yaad mai , aaj phir khud ko bhulla gaye   )


Teri bandagi ne humein tere daaman mein firse laakar chhod diya
Ab koi pehloo na bheege, isliye apna rasta maikhane ki taraf modd diya
Chhaya rahe hardam tera bedam nasha is rooh par ae nargis-e-qaayanaat,
Yehi soch kar tere naam ka ek jaam apne maikade mein ab se humne jodd diya..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #21 on: December 03, 2006, 02:51:17 AM »
Reply with quote
Kya sunaayen hum apni daastan, ki dard thaharta nahi ab to seene mein..

Dil hi dil mein kar lete hain bayaan, ki akele aata nahi mazaa ab to jeene mein..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #22 on: December 03, 2006, 02:53:31 AM »
Reply with quote
Tareef unki karo, jo is kaabil hote hain..

Hum to ek kaafir hain jo izzat paake bhi khote hain..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #23 on: December 03, 2006, 02:56:29 AM »
Reply with quote
Shayar bhi ek tarah ka kaafir hota hai,
Jo sirf dushmani ki kalaa mein maahir hota hai..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #24 on: December 03, 2006, 02:58:19 AM »
Reply with quote
Majbooriyon ki fikar kyun karte ho,
Jab doston ko hi dushmani ki shikayat hai..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #25 on: December 03, 2006, 03:00:40 AM »
Reply with quote

Aaj wo mujhse shikayat karte hain, aur kehte hain ki humare dil ke tum kareeb nahi..

Ab unhe hum kis tarah samjhaaye, ki banna chahte hum unke dil ke rakeeb nahi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #26 on: December 22, 2006, 10:13:04 PM »
Reply with quote

Ye ghabrahat ek sachche dil ki pehchan hai
Kyuki ye ehsaas bas chand lamho ka mehmaan hai,
Jab dastak di hogi darwaaze par, tab waqt kuchh aur tha,
Ab to door rehkar har ghadi unse milne ka armaan hai,
Ruswaiyan logon se nahi, apne aap se hoti hai,
Tum darte ho humein khone se, is baat se hum bhi anjaan nahi,
Guzaarish hum bhi karte hain us rab se, magar fark sirf itna hai,
Na aap uppar jayen na hum, bas jitna ho sake utna waqt muskurate huye saath bitaana hai happy9
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #27 on: February 22, 2007, 04:50:49 AM »
Reply with quote
Nice one....!!!!!!!! samagrwl ji....!!!!!
bhaut bhaidiya....!!!!!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:44:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer