~Tohfa-e-Eid~

by Aryaan on November 12, 2004, 10:20:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1778 times)
Aryaan
Guest
Reply with quote
Aap sabko meri taraf se aane waali Eid ki dheron khushiyan Mubarak
Eid ki munasibat se aap sabki nazar ek Nazm paish-e-khidmat hai..


Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarha raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaliyaan mehak rahi hain yuni
Baad muddat ke saarey pardesi
Apne apne gharon ko aaye hain
Harr taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha main apne kamrey mein
Kab se baitha hoon aur soch raha hoon
Jaaney kya baat hai keh ghar mein mere
Jo guzashta barass thi raunaQ
Ab woh kaheen bhi nazar nahi aati
Hai fiza mein ik ajeeb sa san'naata
Haan FaQat ik tere Chale Jaaney se
Aisa mehsoos ho raha hai Mujhe
Rutt khushi ki harr taraf tau aai hai
Sirf chotey se mere aangan mein
Eid ab ke barass nahi aai...


~Eid Mubarak to all of you~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mahobat ka tohfa by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
TOHFA by BHONDU in Shayri for Dard -e- Judai
dard ka tohfa by Manav Mehra in Shayri-E-Dard
aaj tumhe tohfa kya dun... by zakhmi jaan in Shayri for Khumar -e- Ishq
-----Phoolon ka tohfa----- by baadal102 in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 12, 2004, 10:24:50 PM »
Reply with quote
apko bhi Aryaan!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: November 13, 2004, 03:40:05 AM »
Reply with quote
NIce Aryaan n Eid mubarak to all Yo India members!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: November 13, 2004, 04:06:31 AM »
Reply with quote
Thanx Pooja & Talat ji..
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2004, 06:33:51 AM »
Reply with quote
nice aryaan
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: November 13, 2004, 11:01:58 PM »
Reply with quote
Thanx Nishita ji.Usual Smile
Logged
muneeb
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2004, 04:33:33 PM »
Reply with quote
jee aap saab ko bhi bohat bohat EID Mubarak hoon ...



Assalam-o-Alikum

  hay ye dua meri
kay is EID par
milain tumhain khushiyaan is qader
kay khushiuun say
bhar jaye tumhara ghar

hay ye dua meri
kay is EID par
bohat hanso bohat muskurao tum
jehan jehan jaao
khushiyaan bikhraao tum

hay ye dua meri
kay is EID par
tumhari sab khuwahishain hoon poori
tumhari koi bhe khushi
na rehay adhoori

hay ye dua meri
kay is EID par
tum lago aachi is qader
kat laga nay day tumhain koi nazer
lag jaye tumhain meri umer

hay ye dua meri
kay is EID par
jo armaan hain tumharay dil main
woh saray armaan
pooray ho jayain

hay ye dua meri
kay is EID par
tumharay saray khuwaboon key
tabeer tumhain mil jaye
jo chaho tumhain mil jaye

hay ye dua meri
kay is EID par
meri sari khushiyaan
mil jayain tumhain
aur tumharay saray ghum
ho jayaian meray

hay ye dua meri
kay is EID par.........
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:18:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer