Toot jaaye jo dil..... "ParwaaZ"

by ParwaaZ on May 01, 2013, 09:33:17 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1848 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote



KoyiN youN hi khud ko tabaa nahi karta
Ek woH Khuda kya se kyaa nahi karta

YeH riwayat chali aa rahi hai baba aadam se
KouN hai yahaaN jo kabhi khataa nahi karta

Mujh ko gile shikwe haiN bus apne rab se
isliye maiN khud ke liye duaa nahi karta

Kuch toH matlab hoNga uski darya dili meiN
Wagerna koi dil itna bhi Badaa nahi karta

Toot jaaye jo dil "ParwaaZ" aik martabaa
WoH phir kisi marham se judaa nahi karta



Logged
nashwani
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2013, 09:45:40 PM »
Reply with quote
bahut khoob..dhero daad..happy9
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2013, 10:03:41 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Kya baat hai parwaaz ji. bahut khoob likha hai aapne. sabhi ashaar khoob hai. meri dili mubarak ko qubool kare..
Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2013, 10:44:39 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause bohat achi ghazal parwaz ji,...

Mujh ko gile shikwe haiN bus apne rab se
isliye maiN khud ke liye duaa nahi karta

yeh sher hasil ghazalrahaa,..
bohat bohat c daad rau ke sath,.........
khush rahen
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2013, 12:01:36 AM »
Reply with quote
Maqta behad khoob kaha Parwaaz bhai..
aur yahee is ghazal ka sabse khoobsurat sher bhi laga mujhe..

khoobsurat kalaam..

dil mubarakbaad..
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 02, 2013, 12:13:33 AM »
Reply with quote



KoyiN youN hi khud ko tabaa nahi karta
Ek woH Khuda kya se kyaa nahi karta

Astaghfirullah

Faisle to humaare aamaal pe hote hain.kuch bhi khuda pe tohmat lagaane ya bura kehne se pahle
hume khudke aamaal ko dekh lena chaahiye.
................................................. ...........................
Dukh mein tum kabhi bhi pachtaway ke aanso
na bahavo kyun kay tum wo khush naseeb ho
jisay ALLAH ne aazmayish kay qaabil samjha
hai Hazrat Ali (R.A)



YeH riwayat chali aa rahi hai baba aadam se
KouN hai yahaaN jo kabhi khataa nahi karta

Beshaq Aadmi Khata Ka Putla Hai. Par Samajhdar To Wo Hai Jo Apni Ghaltiyon se Shabaq Le Aur Tauba Karke Taqdeer Badle Na Ki Yun Khuda Se Taqraar Kare.

Mujh ko gile shikwe haiN bus apne rab se
isliye maiN khud ke liye duaa nahi karta

naa maangar aap apna hi nuksaan kar rahe hain
Kyon Ki aapke naa maangne se usko koi fark nahi parhne wala.wo to aur farmabardaar aur.Aur maangne waale  Paida Kar lega
................................................. ........................
Dua mangte raho kyun kay mumkin aur na
mumkin to sirf hamari soch mein hai ALLAH
(S.W.T) kay liye to kuch bhi na mumkin nahi. hazrat Ali (R.A)

Kuch toH matlab hoNga uski darya dili meiN
Wagerna koi dil itna bhi Badaa nahi karta

Ye Clear Nahi Ki Insan Ke Liye Hai Ya Khuda Ke
Liye So Ispe Kuch Nahi Kahunga.

Toot jaaye jo dil "ParwaaZ" aik martabaa
WoH phir kisi marham se judaa nahi karta

yeh Achcha Kaha Hai Aapne






Yun Na Apne Dil Ko Tum Napaak Karo
Karni Hai Gar Shairi To Kufra Se Pak Karo.



ALLAH Reham Kare ...Aameen...

Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab
Logged
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 20 hours and 34 minutes.

खुश रहो खुश रहने दो l

Posts: 4127
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #6 on: May 02, 2013, 12:18:26 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #7 on: May 02, 2013, 01:13:13 AM »
Reply with quote
Wah,Wah,Wah Parwaaz ji,
Bahut achhi ghazal kahi hai aapne.really beautiful.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #8 on: May 02, 2013, 01:14:46 AM »
Reply with quote
Andaaz Bhut Khoob Hai.Beautiful.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: May 02, 2013, 01:38:01 AM »
Reply with quote
bahut khoob..dhero daad..happy9



Nashwani Jee Aadaab..!


Bahut bahut shukriyaa jee, kalaam ko pasaND karne aur houNsla badhane ke liye..
Aage bhi apna saath banaye rakhiye.. Aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile



Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: May 02, 2013, 01:44:55 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Kya baat hai parwaaz ji. bahut khoob likha hai aapne. sabhi ashaar khoob hai. meri dili mubarak ko qubool kare..

Aqsh Jee Aadaab...!


Bahut bahut shukriyaa jee, is purkhulus tareef O houNsla afzai ke liye.. Usual Smile
Aage bhi apna saath banaye rakhiye.. Usual Smile

Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile



Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: May 02, 2013, 01:51:49 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause bohat achi ghazal parwaz ji,...

Mujh ko gile shikwe haiN bus apne rab se
isliye maiN khud ke liye duaa nahi karta

yeh sher hasil ghazalrahaa,..
bohat bohat c daad rau ke sath,.........
khush rahen

Laaibaa Sahibaa Aadaab..!


Bahut bahut shukriyaa jee, Kalaam ko pasaNd karne aur houNsla badhane ke liye.. Usual Smile

Aage bhi apna kimti waqt dete rahiye... Saath banaye rakhiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile



Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: May 02, 2013, 02:06:14 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb, mujhe bhi ye khyalaat sahi nahiN lag rahe. Khuda se gile shikwe rakhne waali baat mujhe bahut buri lagi, insaan ko har haal meiN Khuda ka shukriya adaa karna chahiye. Aap ko Hazrat Ayyub(R.A.) ka waaqya yaad rakhna chahiye unki maal daulat, bachhe, maweshi wagairah sab kuch chin gaye thay phir bhi unhoN ne Khuda ki raah nahiN chorri.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: May 02, 2013, 02:09:07 AM »
Reply with quote
Maqta behad khoob kaha Parwaaz bhai..
aur yahee is ghazal ka sabse khoobsurat sher bhi laga mujhe..

khoobsurat kalaam..

dil mubarakbaad..

Mukesh Jee Aadaab..!

Bahut bahut Shukriyaa janab... maqta toH instantly likh diyaa tha humne aur woH aapko pasaNd aaya jaankar badi khushi huyi.. Usual Smile

Aage bhi apnaa saath banaye rakhiye..
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile



Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: May 02, 2013, 02:22:37 AM »
Reply with quote

Yun Na Apne Dil Ko Tum Napaak Karo
Karni Hai Gar Shairi To Kufra Se Pak Karo.



ALLAH Reham Kare ...Aameen...

Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab

Shihaab Sahaab Aadaab..!


Bhai awaal toH aapki aamad hi mere liye khushi ka toHfaa hai... Usual Smile
Aapki tamaam baatoN ko maiN apne sar aaNkhoN par rakhta huN...

Gar apne rab se hi apni naraazgi na jatuN toH kisse jataauN janab... Jisne zindagi baqshi jisne maal zar zameen zewar har cheez baqshi ... par phir bhi usse gilaa karne ko jee chahe toH kia gunaaH hai... gar gunaaH hai toH woH muaaf bhi karne wala hai... beshak muaf bhi kar deNga... Usual Smile

Gar meri is kalaam se aaplogoN ke dil ko thes pahuNchi hai toH maiN tah e dil se mazarrat khuwaN huN...

Par maire dil ki halat maiN jaanta huN aur mujhse behtar mera rab janta hai... ke is kalaam meiN mera maqsad sirf usse rujoo hona tha... Usual Smile

Khair gar aisi kalaam meri kalam se naa aayi hoti toH mujhe itni hadise bhi kabhi maloom na hoti.. bahut bahut shukriyaa janab, maiN ghafil e imaaN nahi huN haaN yeH bhi hai ke saahib e imaaN bhi nahi huN... Usual Smile aap jaise dostoN ka saath raha toH Insha Allaah sawar jauNga.. Usual Smile

Apna kimti waqt dene ke liye tah e dil se shukriyaa.. aage bhi apna saath banaye rakhiye..
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile



Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:19:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer