Toot jaaye jo dil..... "ParwaaZ"

by ParwaaZ on May 01, 2013, 09:33:17 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1850 times)
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #15 on: May 02, 2013, 02:38:34 AM »
Reply with quote
Bhai Mera Maqsad Aapka Dil Dukhana Nahi Tha.
Par Imaan Ke Rishtey Ke Naate Koi Bhai Aisi Baaten Likhta Hai To Bardaast Nahi Hota.Ilm To Mujhe Bhi Zyada Nahi Bhai. Bas ALLAH Ka Karam Hai. Aur  Bhai Naarazgi Aur Gila Apne Baraabar Waale Se Kiya Jaata Hai.ALLAH Se To Bas Apne Dard Bayaan Kiye Jaate Hain.Dua .Tauba Ki Jaati Hai Na Ki Jhagdaa...Par Aapne To Yahaan Khuda Ki Zaat Pe Hi Tohmat Lagadi.

Ek Bujurg Se Bahut Achchi Baat Suni Thi Ki
Par Shayad Yahan Kehna Thik Na Ho

Woh Kehte Hain Na Daagh Safed Pe Jaldi Dikhta Hai Waise Hi Aap Jaise Samajhdaar Insan Zara Si Ghalti Kare To Jald Dikh Jaati Hai.Khair
Ek Baar Phir Keh dun Maine Ye Hasad Mein Aakar Ya Aapka Dil Dukhane K Liye Nahi Likha
Bas Aapse Humdardi Hai So Maafi Chahta Hun
aur beshaq ALLAH Dillon ke haaal behtar janta hai insha ALLAH Roz e Mahshar Har Kisi Ko Apne Kiya Ka Badla Mileg

ALLAH pak aapko Chust.Mast.Aur.Awast Rakhe

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #16 on: May 02, 2013, 02:46:58 AM »
Reply with quote
Bhai Mera Maqsad Aapka Dil Dukhana Nahi Tha.
Par Imaan Ke Rishtey Ke Naate Koi Bhai Aisi Baaten Likhta Hai To Bardaast Nahi Hota.Ilm To Mujhe Bhi Zyada Nahi Bhai. Bas ALLAH Ka Karam Hai. Aur  Bhai Naarazgi Aur Gila Apne Baraabar Waale Se Kiya Jaata Hai.ALLAH Se To Bas Apne Dard Bayaan Kiye Jaate Hain.Dua .Tauba Ki Jaati Hai Na Ki Jhagdaa...Par Aapne To Yahaan Khuda Ki Zaat Pe Hi Tohmat Lagadi.

Ek Bujurg Se Bahut Achchi Baat Suni Thi Ki
Par Shayad Yahan Kehna Thik Na Ho

Woh Kehte Hain Na Daagh Safed Pe Jaldi Dikhta Hai Waise Hi Aap Jaise Samajhdaar Insan Zara Si Ghalti Kare To Jald Dikh Jaati Hai.Khair
Ek Baar Phir Keh dun Maine Ye Hasad Mein Aakar Ya Aapka Dil Dukhane K Liye Nahi Likha
Bas Aapse Humdardi Hai So Maafi Chahta Hun
aur beshaq ALLAH Dillon ke haaal behtar janta hai insha ALLAH Roz e Mahshar Har Kisi Ko Apne Kiya Ka Badla Mileg

ALLAH pak aapko Chust.Mast.Aur.Awast Rakhe

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab




Shihaab Bhai Aadaab...!


Bhai aap aisa hargiz na sochiye ke maine aapki baatoN ko negative liya hai.. Nahi bhai maine bus apni aik baat kahi thi jiska jawaab aapne behad pyaara diyaa... uske liye mera salaam qabul kijiye.. Usual Smile

Chaliye Bhai Insha Allaah koshish karuNga aaiNda aise naa farmaan aur naa shukraan kalaam meri kalam se na nikle.. Usual Smile

Allaah aapko huemsha shaad O aabaad rakhe.. aameen
Khuda Hafez.. Usual Smile


Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #17 on: May 02, 2013, 02:55:11 AM »
Reply with quote
Walaikum As Salaam .Bahut Shukariya Bhai.

ALLAH pak Aapko Kamyaab Kare Aameen.

Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #18 on: May 02, 2013, 02:15:51 PM »
Reply with quote
Very Nice Parwaaz Jee!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #19 on: May 02, 2013, 03:16:04 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

DK Saxena Jee Aadab...!



Bahut bahut shukriyaa janab, in khoobsurat taliyoN ke liye..
Aage bhi apna saath banaye rakhiye.. aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile


Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #20 on: May 02, 2013, 03:19:16 PM »
Reply with quote
bohut khub parwaaz ji
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #21 on: May 02, 2013, 04:46:00 PM »
Reply with quote

ASSALAM ALIKUM 'PARWAAZ JI,
              APKE KALAM SE PEHLI DAFA RUBARU HUA HOON....KEHNA YE THA KE ,INSAAN PER MUSHIKILEIN ,PARESHANIYA JAB AATI HAI TO DO WAJAH HO SAKTI HAI.
YA TO WO AZMAISH AUR YA USKE GUNAAHON KI SAZAA HO SAKTI HAI..KISI NE HAZRAT ALI R.A SE PUCHH LIYE KE HAME KAISE PATA CHALE KE HUMARI YE PARESHANI AZMAISH HAI YA SAZAA..
AAP TO BAAB UL ILM HAI ,,APNE IRSHAD FARMAYA,KE JAB PARESHANI AYE IS KE WAJOOD TUM ALLAH TALA KE TARAFDARI KARTE HAI,SHUKER ADA KARTE HO TO WO TUMHARI AZMAISH HAI,,
AUR AGAR TUM ALLAH TALA KE KHILAAF HO JATE HO TO WO TUMHARE GUNAHON KI SAZA HAI.

AUR DUA KE LIYE KEHNA THA KE DUA EK DASTAK HAI ,BAAR BAAR DASTAK DENE SE DARWAZA KHUL HI JATA HAI...GILA SHIKWA APNE RAB SE KARNA ACHHA HAI MAGAR SHIKWA AGAR MAYOOSI BAN JAYE TO GUNAAH HAI,...KYUN KE HUM SAB GUNAAHGAAR HAI,KHATAKAAR HAI ,
USKE BAWAJOOD HUMARE LIYE TAUBA KA DAR KHULA HAI.AUR JO ALLAH TALA KE KHILA HAMARE DIL ME BAATEIN AATI HAI WO SHAITAAN KI TARAF SE HOTE HAI.
HUM GILA KARNE SE PEHLE DEKHLEIN KE HUM NE ALLAH TALA KE LIYE KYA KIYA HAI.
KYA UNKE KAHNE KE MUTABIK AMAL KIYA HAI.."NAHI"
DEKHA JAYE TO GILA KARNE KA BHI HAQ NAHI HAI..KYUNKE JO HAME NAHI MILA WO HAMARE LIYE IN FUTURE BEHTER NAHI HAI,,YE ALLAH TALA JANTE HAI HUM NAHI..
AUR JO DUA DUNIYA ME NAHI QUBOOL HUI WO ALLAH TALA KE YAHA JAMAA HOTI HAI AUR NAKIYA BANKER HAMARE AMA NAME ME JAMA HOGI QAYAMAT KE DIN. TO JAB BANDA KAHEGA ,,KAASH DUNIYA ME MERI KOI DUA QUBOOL NAHI HUI HOTI.

YE SAARE BAATEIN MAINE APNE AAP KO BHI SHAMIL KARKE KAHI HAI,ISSE AAP APNE AKELE KE UPER NA LEIN...HO SAKE TO ASHAAR KO BADAL DEIN.
IS TARHA KE ,,

MERE PARESHANI LAAKH SAHI BADHKER PER TERE KARAM KE AAGEY KUCH NAHI.
MANA KE AZZMAISH MEIN TUNE DALA PER AZMAISH SE BAHAR TU HI NIKAL SAKTA HAI,
KE TU HI MADAD GAAR HAI,,ALLAH TALA KI SHAAN BAYAN KARNE KE LIYE YE PAGE KAM PADH GAYA.

KUCH BURA LAGE TO MAAFI KA TALABGAAR HOON.

AL HAFEEZU AL AMAAN.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #22 on: May 02, 2013, 05:45:42 PM »
Reply with quote

Yun Na Apne Dil Ko Tum Napaak Karo
Karni Hai Gar Shairi To Kufra Se Pak Karo.



ALLAH Reham Kare ...Aameen...

Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab



waaaaaaaaaaaaaaaaaaah shihab sahab mashaalaah kya khoob tanqeed kiya aapne. jazakallah khair. khudata'la hum sab ko naik taufeeq at'aa kare---amin . yehi kahna chaoo.n ga
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #23 on: May 02, 2013, 10:16:51 PM »
Reply with quote
beautiful
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #24 on: May 02, 2013, 11:16:10 PM »
Reply with quote


Toot jaaye jo dil "ParwaaZ" aik martabaa
WoH phir kisi marham se judaa nahi karta




wah Parwaaz ji, ek dam sach kaha hai aap ne. Bahut Khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: May 04, 2013, 03:08:11 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai,parwaaz saheb . Ghazal ke khayalat se muttafiq nahi hoon lekin is pe tabsira nahi karunga kyunki main samajhta hoon ki shayer  hamesha woh nahin likhta jo haqeeqat hoti hai ya jo uski soch hoti hai. Bade bade shayeron ke liye bhi yeh nahi kaha ja sakta ki unka zaati nazariya bhi wahi thha jo unhon ne kalaam mein qalamband kiya hai.bahut se parhezgaar shora ke behtareen ashaar sharaab pe hain.....lekin rab se khitaab mein  ehtiyaat zaroori hai jis mein hum sab hi chook jaate hain.meri darkhwast aur doston se bhi hai ki woh khud apne puraane kalaam par bhi nazar daal lein ki kahin yahi ghalti woh khud bhi to nahi kar chuke hain . duago,, Hasan
Logged
Tuhina
Guest
«Reply #26 on: May 04, 2013, 06:23:04 PM »
Reply with quote
parwaaz  bhai ,  very   nice  ghazal .... 
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #27 on: May 04, 2013, 10:46:09 PM »
Reply with quote



KoyiN youN hi khud ko tabaa nahi karta
Ek woH Khuda kya se kyaa nahi karta

YeH riwayat chali aa rahi hai baba aadam se
KouN hai yahaaN jo kabhi khataa nahi karta

Mujh ko gile shikwe haiN bus apne rab se
isliye maiN khud ke liye duaa nahi karta

Kuch toH matlab hoNga uski darya dili meiN
Wagerna koi dil itna bhi Badaa nahi karta

Toot jaaye jo dil "ParwaaZ" aik martabaa
WoH phir kisi marham se judaa nahi karta





bohat khub...
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #28 on: May 05, 2013, 03:12:15 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai,parwaaz saheb . Ghazal ke khayalat se muttafiq nahi hoon lekin is pe tabsira nahi karunga kyunki main samajhta hoon ki shayer  hamesha woh nahin likhta jo haqeeqat hoti hai ya jo uski soch hoti hai. Bade bade shayeron ke liye bhi yeh nahi kaha ja sakta ki unka zaati nazariya bhi wahi thha jo unhon ne kalaam mein qalamband kiya hai.bahut se parhezgaar shora ke behtareen ashaar sharaab pe hain.....lekin rab se khitaab mein  ehtiyaat zaroori hai jis mein hum sab hi chook jaate hain.meri darkhwast aur doston se bhi hai ki woh khud apne puraane kalaam par bhi nazar daal lein ki kahin yahi ghalti woh khud bhi to nahi kar chuke hain . duago,, Hasan


Hasan Sahab Aadaab. Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge ...Chalo Aap Kehte Hain To Maan Lete Hain ki Shayer Humesha Woh Nahin Likhta Jo Haqeeqat Hoti Hai.Ya Jo Uski Soch Hoti Hai...Yeh Bhi Maan Lete Hain Ki Unka Zaati Nazriya Alag Hota Hai.Unke Dil Saaf Suthre Hote Hain
Par Janaab Aap Ye Bhi To Maante Hain Na Ki
Chahe Munh Se Nikle Ho Ya Qalam Se.Alfaaz Muashre Mein Apna Ek Alag Hi Asar Chhorhte Hain.? Zara Sochiye Khuda Na Kare Humari Kufra Ya Sharaab Waale Likhe Alfaazon Pe Kisi Ne Amal Kar Liya To Uski Aur Humaari Halaakat .Tabaahi Ke Liye Kya Ye Kaafi Nahi Hoga?
Ab Aap Hi Bataaiye Aisa Insan Kis kaam Ka Jo Khud ka Dil To Pak Saaf Rakhe.Aur Apne Alfaazon Ke Zariye Dusrre Insaanon Ko Haraam Khori Aur Gunaah Ke Raashte Pe Dhakal De? Aksar Wohi Gunah Tabaahi Ka Sabab Ban Jaata Hai Jise Insan Chhota Samajhkar Karta Hai.In Sabki Qadar Hume Haqiqi Aankh Khulne Ke Baad Hogi.  Aur Main Bilkul Maan Ne Ko Taiyaar Nahi Ki Koi Parhezgaar Aur Sachcha Shayer Aisa Kuch Liikh Sakta Hai .Aur Aakhir Mein Pyare Nabi (s.a.w.) Ki Kuch Pyaari Baatein.

Pak rakho JISM, LIBAS aur KHAYALAAT

Qabu main rakho ZABAAN, NAFS aur GHUSSA

Dhyaan say uthao QADAM, QALAM aur QASAM.


Aur Haan Aapne Kaha Ki Kehne Waale Khud Apni Kalaam Pe Nazar Daal Len.Ki Kahin Ye Khud Bhi To Ghalti Nahi Kar Chuke.To Janaab Ghalti Na Kare Wo Insan Hi Nahi.Par Ghalti Karke Bhi Na Sambhle Woh Samajhdaar Nahi.Auron Ka To Pata Nahi Par Jahaan Tak Mujhe Yaad Hai Maine Ab Tak To Aisi Koi Kalaam Nahi Likhi.Phir Bhi Khata Ka Putla. Hun Aapko Meri Taraf Se Aisi Koi Baat Likhi Mile To Zarur Bataaiyega.Take Yaad Karke Tauba Kar Saku.Baaki To ALLAH Behtar Jaan Ne Wala Hai.Inssha ALLAH Har Koi Apne Kiye Ka Badla Zarur Paayega.Meri Koi Baat Buri Lagi Ho To Maaf Kijiyega.ALLAH Hum Sabko Sahi Raah Pe Chalne wala Bana De Aameen...

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #29 on: May 05, 2013, 03:33:35 AM »
Reply with quote


waaaaaaaaaaaaaaaaaaah shihab sahab mashaalaah kya khoob tanqeed kiya aapne. jazakallah khair. khudata'la hum sab ko naik taufeeq at'aa kare---amin . yehi kahna chaoo.n ga

Summa Aameen
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:42:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer