tumse milkar

by majid on April 10, 2006, 08:15:41 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3501 times)
majid
Guest
Reply with quote
Tum se milkar zindagi ko
maayna mil gaya hai.
Khud ko dekha paas se yun
aaina mil gaya hai.

Kho gaye tthey sur hamare
rang feeke ho gaye tthey.
Pankh jaise tthak gaye tthey
khwaab saare so gaye tthey.
Saansh mein bhi kuch kami thi
aankh mein bhi kuch nami thi.
Narm si ek khusbu si
kar gayi hai jadu si.
Dhoop bankar chaa gayi ho
paas aise aagayi ho.

Manzilen hain door ab
raatsa mil gaya hai.
Tumhse milkar zindagi ko
maayna mil gaya hai...N/M
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMSE MILKAR BHI MAIN ....................... by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tumse milkar hui hai...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumse Milkar by K Gogia in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tumse milkar (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tumse Milkar ...(Shihab) by Shihab in Shayri for Khumar -e- Ishq
nikki
Guest
«Reply #1 on: April 10, 2006, 08:19:09 AM »
Reply with quote
really beautifull .....

do kadam chal na paongi tere saath ke bagair..
yeh bharam tha
chal nikali hun abb raasta mil gaya hai
khud se anjaan thi shayad main
abb khud ka pata mil gaya hai

abb to meri raahein roshan hai
khud ke dil ka jalta hua diya mil gaya hai
zindagi bhar abb andhere na honge mere raaste
kissi ki chahat mein dil ko jalane ka haunsla mil gaya hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2006, 01:36:58 AM »
Reply with quote
really nice work both of u.... majid and nikki
Logged
jatin1101
Guest
«Reply #3 on: April 12, 2006, 11:23:41 AM »
Reply with quote
bahut badhiya hai majid & nikki... shikha ji pls kuch likhey, i really appraise ur wordings.
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: April 19, 2006, 02:12:24 PM »
Reply with quote
thanx a lot Shikhan Jatin.... chaliye hum hi kuch likh dete hain....

aaj bhi woh aksar tanhayion mein yaad aata hai
jisne vaade kiye the umr bhar saath nibhane ke
abb mujhe dekhta hai..to rah badal kar nikal jaata hai
aisa kya jurm kiya tha humne jo woh humein iss kadar satata hai
ek baar bata hi deta...kyun woh chup reh kar tadpata hai
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2006, 06:07:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
thanx a lot Shikhan Jatin.... chaliye hum hi kuch likh dete hain....

aaj bhi woh aksar tanhayion mein yaad aata hai
jisne vaade kiye the umr bhar saath nibhane ke
abb mujhe dekhta hai..to rah badal kar nikal jaata hai
aisa kya jurm kiya tha humne jo woh humein iss kadar satata hai
ek baar bata hi deta...kyun woh chup reh kar tadpata hai
Soya nahi kayee raaton se,
   Is dil main tum hi samaye ho,
   Har aahat par aisa lagta hai,
   Kay shayad tum aaye ho!
   
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2006, 05:53:49 PM »
Reply with quote
nice one Tabrez Khan...

abb kyun rah dekhte ho mere aane ki
jab pehle duayen maanga karte the
mere chale jaane ki
abb kyun tanhayi ka gum satata hai
tum to kehte the akele mein tumhein chain aata hai
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #7 on: April 28, 2006, 07:24:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Kuch anjaan si lagti hai ab meri zindagi
thodi rukti,rukkar chalti si lagti hai zindagi
thodi sambhli aur kuch bikhari si lagti hai zindagi
meri hokar bhi begani lagti hai zindagi

kissi mod par hun par rasta gum hai
kissi ki rah main hun par rahi gum hai

kaha liye jaa rahi hai ya wahin tham gayi hai zindagi


bahut Khoob..Majid
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2006, 06:17:31 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Majid Bhai Aur Nikki Ji !!!!

Uski Beshumar Mohobat Uski Ada Ho,
Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Woh Bhi Auro Ki Tarah Bewafa Ho,
Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Darwaze Pe Dastak Mene Hai Suni,
To Laga Ki Tum Hi Aaye Ho,
Jo Aaney Wali Hai Woh Sirf Hawa Ho,
Aisa Bhi Ho Sakta Hai !!!!!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2006, 08:45:30 AM »
Reply with quote
Shukriya Majid Bhai !!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2006, 12:44:21 PM »
Reply with quote
thanx n gud work Majid n Darde_dil ji...
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #11 on: May 16, 2006, 10:07:13 PM »
Reply with quote
Shukriya Nikks Ji Aur Majid Bhai !!!!!

Woh Jante The Bohot Pasand Hai Hume Baarishen Isiliye ,
Shayad Ankho Ko Sawan Ka Pata De Gayi Jate Jate !!!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2006, 08:19:12 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Majid Bhai !!!!!

E-Baarish Tu To Ruk Ja Varna Kya Sochega Zamana,
Baras Raha Hai Pani Fir Bhi Jal Raha Hai Ye Deewana !!!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2006, 09:46:40 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Majid Bhai !!!!!

Kya Khabar Hogi Is Matlabi Duniya Walo Ko,
Dard Kaisa Hota Hai Jab Apna Ghar Jalta Hai !!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #14 on: May 23, 2006, 03:08:20 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Majid Bhai !!!!

Ye Zindagi Kya Hai Yaha Kisne Hai Jana ,
Kaaton Ki Sej Hai Kabhi Yaadon Ka Khajana !!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:56:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer