Uljhan

by thycreator on October 08, 2007, 09:11:03 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 6650 times)
thycreator
Guest
«Reply #30 on: October 16, 2007, 07:52:45 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Shikha.................i am glad you liked it...........but nothing from you......apko shabdon ki kami kabse ho gayi............tongue3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
? by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
ULJHAN..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
zingi ki uljhan by dalbir_ss_sandhu in Shayari -e- Husn
ULJHAN by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
Uljhan..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals « 1 2  All »
thycreator
Guest
«Reply #31 on: October 16, 2007, 07:58:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
WAH WAH WAH!!!! Kaya baat hai Amit… ek ek line bahoot hi khubsurati se likhi hui hai…… Good Creation, Good Job!!!

Zindagi mai sawal baar baar ayege
Kuch khayali pal, umarbhar satyege

Bin baat hi barsaat ho jayegi ankhon se
Aor dil ko hum kuch samjha nahi payege

Kabhi khushi bhi degi dard bin baat ke
Jis dard ko, umarbhar hum sath liye, jiye jayege

Kaya toota kaya bach gaya zindagi main
Issi Uljhan main ab to umar bitayege


Thanks a lot pooja ji and good one from you too.........Usual Smile

Nahi afsoos hai mujhko ki mera dil ye toota hai,
Nahi gam hai ki mujhse mera rab bhi rootha hai..

Dukh hai yahi ki insaan ki parakh hi nahi humko,
Gairon se bachte firte the, apno ne loota hai..

Kya jawab de khud ko, kya iss dil ko samjahyen,
Ab toh lage hai yu ki ya jahan hi jhootha hai..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #32 on: October 16, 2007, 08:10:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Thanks a lot Shikha.................i am glad you liked it...........but nothing from you......apko shabdon ki kami kabse ho gayi............tongue3

Shikha ko neend mein chalne ki aadat hai...aaj bhoole bhatke Yo par aa gayi Laughing hard

Subah likh degi kuch na kuch :D

Amit, Pooja

Good going =D>
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: October 16, 2007, 08:11:55 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Amit

Jhoothe to hai hum khud bhi
Kaise kisi ko jhootha kahu

Jaanbujh kar karu khud galat
Kaise kisi ko boora kahu

Dil jaan jaata hai, phir bhi manta nahi
Aise mai kaise khud ko nasamjh kahu

Dukh dete hai khud hi khud ko jab hum
Kaise phir kisi ko main bewafa kahu

Insaan ki fidrat yahi hai shayad ya main janti nahi
Ab to samjh main nahi atta kis ko kaya aor khud ko kaya main kahu….
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #34 on: October 16, 2007, 08:19:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Thanks a lot Shikha.................i am glad you liked it...........but nothing from you......apko shabdon ki kami kabse ho gayi............tongue3


Pooja di aur Aap ke saamne likhte hue darr lagta hai... tongue3

Neways... A Try Usual Smile

Zindagi mein aise sawaalon ne ghera hai,
Har shaam ka uljhaano mein basera hai...

Hum bhi hue hai shikaar us kaatil gum ke,
Woh jise tu kehta hai ki woh sirf tera hai...

Bhigo ke baithe hai daaman aansuon se,
Daag bewafaai ka magar bahut gehra hai...

Dhal jaayega yeh baadlon ke paar kahin,
Yeh chaand jo abhi chamakta sunhera hai...

Waqt par kab kiska zor chal paaya yahan,
Harr saans par laga hua waqt ka pehra hai...



BHOOL CHOOK MAAF... tongue3
Logged
thycreator
Guest
«Reply #35 on: October 16, 2007, 08:19:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"

Shikha ko neend mein chalne ki aadat hai...aaj bhoole bhatke Yo par aa gayi Laughing hard

Subah likh degi kuch na kuch :D

Amit, Pooja

Good going =D>


Thanks Raj bhai..............Usual Smile

Shikha........sun rahi ho raj bhai ne kya kaha..........tongue3

Jago bharat ki naari......jaago........tongue3
Logged
thycreator
Guest
«Reply #36 on: October 16, 2007, 08:21:13 PM »
Reply with quote
Ha ha ha........ye toh sochte hi jaag gayi....kehne ki jarurat bhi nahi padi.......pooja se darti ho....aur wo mujhse.........tongue3
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #37 on: October 16, 2007, 08:24:46 PM »
Reply with quote
Usual Smile hhhmmm

Kehne waalon ki koi kami nahin,
Isliye daleel humari hi suni nahin...
Humne to sir jhuka diya adab se,
Kyonki hum aap jaise guni nahin... Winking
Logged
thycreator
Guest
«Reply #38 on: October 16, 2007, 08:28:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"

Pooja di aur Aap ke saamne likhte hue darr lagta hai... tongue3

Neways... A Try Usual Smile

Zindagi mein aise sawaalon ne ghera hai,
Har shaam ka uljhaano mein basera hai...

Hum bhi hue hai shikaar us kaatil gum ke,
Woh jise tu kehta hai ki woh sirf tera hai...

Bhigo ke baithe hai daaman aansuon se,
Daag bewafaai ka magar bahut gehra hai...

Dhal jaayega yeh baadlon ke paar kahin,
Yeh chaand jo abhi chamakta sunhera hai...

Waqt par kab kiska zor chal paaya yahan,
Harr saans par laga hua waqt ka pehra hai...


Subhaan Allah...........

Bas ek kami............chand ki chandani ko sunehra keh diya apne....tongue3

Gam ka har dil mein basera hai, kya tera hai kya mera..
Sabhi ko tanhai ne ghera hai, kya tera hai kya mera..
Phir bhi ummeed ki kiran chamkati hai fizaon mein,
Muskurahaton ka savera hai, kya tera hai kya mera..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #39 on: October 16, 2007, 08:44:17 PM »
Reply with quote
Nice one... Again... Usual Smile


Tanhai ki baat woh karte hai aise,
Jaise kissa koi zindagi ki kitaab ka...
Chalo baant lete hai mil kar isey,
Aadha humara aur aadha aap ka...

Puraani yaadon ki kitaabon mein,
Sookh jaaye jaise phool gulaab ka...
Sunhaare chaand ko shyaah kehta,
Kaisa nazariya hua hai janaab ka...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #40 on: October 16, 2007, 08:56:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Usual Smile hhhmmm

Kehne waalon ki koi kami nahin,
Isliye daleel humari hi suni nahin...
Humne to sir jhuka diya adab se,
Kyonki hum aap jaise guni nahin... Winking


tongue3

Hamare ek majak ka yu na bura mano,
Kabhi toh iss ada ko tum bhi pehchano,
Tumne sir jhuka diya kiske samne dekho,
Kabhi toh apne gun ko khud tum bhi jano...Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #41 on: October 16, 2007, 09:00:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Nice one... Again... Usual Smile


Tanhai ki baat woh karte hai aise,
Jaise kissa koi zindagi ki kitaab ka...
Chalo baant lete hai mil kar isey,
Aadha humara aur aadha aap ka...

Puraani yaadon ki kitaabon mein,
Sookh jaaye jaise phool gulaab ka...
Sunhaare chaand ko shyaah kehta,
Kaisa nazariya hua hai janaab ka...


Ufffffffff......................

Bant bhi le hum jo kuch ho hamare pas bacha,
Ab toh khushi na koi na gum ki koi parchai hai,

Zindagi ko uss makam pe laane lage hain hum,
Jahan tak aawaz hi kissi ki na aa paayi hai...

Nahi gum ke andhere chahiye, na ujale khushi ke,
Hum khush hain ki saath mere meri tanhai hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #42 on: October 16, 2007, 09:05:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Amit

Jhoothe to hai hum khud bhi
Kaise kisi ko jhootha kahu

Jaanbujh kar karu khud galat
Kaise kisi ko boora kahu

Dil jaan jaata hai, phir bhi manta nahi
Aise mai kaise khud ko nasamjh kahu

Dukh dete hai khud hi khud ko jab hum
Kaise phir kisi ko main bewafa kahu

Insaan ki fidrat yahi hai shayad ya main janti nahi
Ab to samjh main nahi atta kis ko kaya aor khud ko kaya main kahu….


Bat kehne ki jo aa padi hai to ye kehna hai,
Har kissi ko bas khud ke liye hi jinda rehna hai..

Sabhi rishte sabhi naate tabhi mukammal hain,
Chere pe jo muskurat aur khushi ka gehna hai..

Kya sahi hai kya galat, khud ki paribhasha karo,
Kab tak kissi ke sahare se hi bas chalna hai,

Dil mein dard liye jeene se marna hi bhala hua,
Aise jeekar bhala kisko humne khush karna hai...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #43 on: October 16, 2007, 09:28:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Quote from: "Shikha12"
Nice one... Again... Usual Smile


Tanhai ki baat woh karte hai aise,
Jaise kissa koi zindagi ki kitaab ka...
Chalo baant lete hai mil kar isey,
Aadha humara aur aadha aap ka...

Puraani yaadon ki kitaabon mein,
Sookh jaaye jaise phool gulaab ka...
Sunhaare chaand ko shyaah kehta,
Kaisa nazariya hua hai janaab ka...


Ufffffffff......................

Bant bhi le hum jo kuch ho hamare pas bacha,
Ab toh khushi na koi na gum ki koi parchai hai,

Zindagi ko uss makam pe laane lage hain hum,
Jahan tak aawaz hi kissi ki na aa paayi hai...

Nahi gum ke andhere chahiye, na ujale khushi ke,
Hum khush hain ki saath mere meri tanhai hai...


So speedy replies...  Puzzled !
But Very Well said... =D>

Ek Main hoon aur Ek meri tanhaayi hai,
Zindagi ki humpe kitni rehnumaayi hai...

Ab koi aur jeene ki wajah ho to kya ho,
Jeete rehne ki wajah yeh tanhaayi hai...

Kisi ki awaaz suni aaj jab barson baad,
Paaya Dil mein gungunaati tanhaayi hai...

Pardon ke peechey ki halchal ke beech,
Muskuraati hui dekhi humne tanhaayi hai... Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #44 on: October 16, 2007, 09:38:54 PM »
Reply with quote
Good one Shikha.........

Kisse hai jarurat yahan kissi ke saath ki,
Kya fark hai hai baat gar din ya raat ki,

Jab saath apne saaya bhi apna nahi rahe,
Kya aarzoo ho phir mujhko kissi ke hath ki..

Aise hi kat jayega ye jeewan tanha bhi,
Pyase ko pani chahiye, na justzu barsat ki..

Chand saansein mile dil ko aur ek maksad bhar,
Nahi jarurat mere dil ko ab kissi jajjbaat ki..
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:20:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer