Uljhan

by thycreator on October 08, 2007, 09:11:03 PM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 6532 times)
Rajbir
Guest
«Reply #60 on: November 15, 2007, 07:15:46 PM »
Reply with quote
Amit

Bahut khoob =D>

Bahut achcha prayas hai tumhara :D

Nikki se tumhe kuch nahi milega :evil:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
? by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
ULJHAN..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
zingi ki uljhan by dalbir_ss_sandhu in Shayari -e- Husn
ULJHAN by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
Uljhan..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals « 1 2  All »
thycreator
Guest
«Reply #61 on: November 15, 2007, 09:58:21 PM »
Reply with quote
Raj sahab.............

Agar dil se kissi ko chaho toh saari kayanat tumhe uss se milane ki koshish karti hai.....tongue3....dialogue suna hai ye...........

Nikki........humpe ye sitam kyu bhala....sad5

Aye jindagi bata tujhko kis kadar chahe hum,
Kis tarah bata tujhse apni wafa nibhaye hum,
Har karam saaf dil se karte aaye hai ab tak,
Ab kaise apni saafgoshi ko dikhlaye hum..

Kya jamana ab bas dikhawe ka reh gaya bolo,
Dil ke sacchai ki ab safai bhi bataye hum,
Nahi acharaz ki jhooth sir chad ke bol raha hai,
Sach aur teri bewafai ke sang kaise ji paye hum..
Logged
nikki
Guest
«Reply #62 on: November 16, 2007, 06:21:36 PM »
Reply with quote
yeh sab kya ho raha hai...maine kabb? kaonsa? sitam kiya..Huh?

aankhon mein khoaab aur daaman khali liye baithe hain
hoonthon pe muskurahat aur dil khushi se khali liye baithe hain
yun to gum hi hamara saathi hai
magar fir bhi khushiyon se dosti karne ka paryaas karte rehte hain
hum kya sitam dhayenge kissi par
sitamgar to hamara mukaddar bana baitha hai
jab bhi umeed karti hun isse khushiyon ki
yeh gumon ka baadal bankar chala aata hai
bin mausam barsaat ki abb to aadat si ho gayi hai
yeh mera dil hai jo har pal aansoo bahata hai
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #63 on: November 20, 2007, 02:03:48 PM »
Reply with quote
uljhan toh zindagi mein hoti hai
uljhan toh imtehaan hota hai
zindagi ka yahi toh rule hota hai
uljhan toh ek saaya hai jo har kisi ke sath chale ja raha hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #64 on: November 25, 2007, 02:38:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
yeh sab kya ho raha hai...maine kabb? kaonsa? sitam kiya..Huh?

aankhon mein khoaab aur daaman khali liye baithe hain
hoonthon pe muskurahat aur dil khushi se khali liye baithe hain
yun to gum hi hamara saathi hai
magar fir bhi khushiyon se dosti karne ka paryaas karte rehte hain
hum kya sitam dhayenge kissi par
sitamgar to hamara mukaddar bana baitha hai
jab bhi umeed karti hun isse khushiyon ki
yeh gumon ka baadal bankar chala aata hai
bin mausam barsaat ki abb to aadat si ho gayi hai
yeh mera dil hai jo har pal aansoo bahata hai

 :wink:  :evil:

Apne humse pyar se bat na karne ka sitam kiya hai,
Dost ki dosti bhulane ka sitam kiya hai.....aur ginaun???

Kabhi khud se sitam karein, kabhi khud se wafa karein,
Zindagi ye toh bata de kaise haq tera aada karein..

Na maut mein sukoon na hi jinda rehne pe guman hai,
Kis kadar dil ki hasraton ko hum iss dil se juda karein..

Kabhi halaat pe royen toh kabhi jajjbat pe royen,
Chahein bhi toh bhala kaise nigahen-e-regista karein..

Koi toh ho rehguzar apni, kabhi toh ek rasta mile,
Kaise basar ab ye zindagi-e-dastan karein..
Logged
Roja
Guest
«Reply #65 on: November 25, 2007, 06:34:09 AM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"

hahaha... interesting... keep going... :lol:
Logged
nikki
Guest
«Reply #66 on: November 30, 2007, 08:11:55 PM »
Reply with quote
Too good Thy..magar yeh kya kaha aapne..

agar kabhi anjaane mein humne aapka dil dukhaya hai to maaf kijiyega
hum aapko rulayein yeh to humein gawara nahi
aap jaise doston ki dosti bhula kar to hoga apna guzara nahi

aap jaise doston ko to hum sajda karte hain
iss zindagi ka shukriya karte hain jo aap jaise dost milaye isne humein
yun to pathron ki kami nahi hai duniya mein
magar inke beech aap jaise gulab bhi to khilayein hain rabb ne
yeh to hamari khushnaseebi hai jo in gulabon ko damaan hamara mila hai

aapke liye dua hai rabb se..

woh aapko hamesha khush rakhe
kabhi koi aanso na aapki aankhon mein aaye
dil mein gum ka jo kabhi toofan uthe
to uska asar na hone paye

kuch aur ginvana hai???
Logged
thycreator
Guest
«Reply #67 on: November 30, 2007, 08:16:43 PM »

Thanks a lot nikki........so sweet of you...

Humari dillagi ko aap,
Dil se laga baithe hain..
Bina bat hi dekho kitne,
Ilzaam laga baithe hain..
Apke pyar-o-taqrar ke,
kayal hue hain hum..
Yuhi aap ek aur,
Kadardan bana baithe hai...Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #68 on: November 30, 2007, 08:58:18 PM »
Reply with quote
subhaan allah...humare kadardaan...ji zarra navazi ke liye tahe dil se shukriya

abb kya ilzaam lagayenge
jab aapki hi mehfil mein aaye baithe hain

kuch aap kehte jayiye
kuch hum sunaye jayenge

aise hi dil ki uljhane kum ho jayengi
jo aap be-vajah badhaye baithe hain
Logged
thycreator
Guest
«Reply #69 on: November 30, 2007, 09:29:13 PM »
Reply with quote
subhaan allah...humare kadardaan...ji zarra navazi ke liye tahe dil se shukriya

abb kya ilzaam lagayenge
jab aapki hi mehfil mein aaye baithe hain

kuch aap kehte jayiye
kuch hum sunaye jayenge

aise hi dil ki uljhane kum ho jayengi
jo aap be-vajah badhaye baithe hain

Ha ha ha,

Bewajah toh iss jahan mein koi kaam nahi hota,
Ye bat hum tumhe samjhayen kaise..

Uljhane dil mein hai toh iska koi sabab hoga,
Wo bat par tumhe hum batayen kaise..

Ek nasoor sa dil mein chubhe hai sadiyon se,
Wo teer-e-nazar hum dil se hatayen kaise..

Issi ek dard ke sajde hi saansein chalti hai,
Koi marhum bhala hum uspe lagayen kaise..Winking
Logged
nikki
Guest
«Reply #70 on: November 30, 2007, 10:11:39 PM »
Reply with quote
superbbb jab bhi likhte ho kamaal likhte ho

dil ke zakhm bhar jayenge ik din
yahi soch kar hum inki dava nahi karte
kahin khud ke liye ki hui dua unke aade na aa jaye
yahi soch kar hum dua nahi karte

humein sab sungdil keh dete hain yunhi
aur hum sun lete hain
kahin hamari baaton ka unhein bura na lag jaye
yahi soch kar hum jhagda nahi karte
Logged
thycreator
Guest
«Reply #71 on: December 03, 2007, 06:52:42 PM »
Reply with quote
superbbb jab bhi likhte ho kamaal likhte ho

dil ke zakhm bhar jayenge ik din
yahi soch kar hum inki dava nahi karte
kahin khud ke liye ki hui dua unke aade na aa jaye
yahi soch kar hum dua nahi karte

humein sab sungdil keh dete hain yunhi
aur hum sun lete hain
kahin hamari baaton ka unhein bura na lag jaye
yahi soch kar hum jhagda nahi karte

Sahi hai sweety pie....good going!!

Kabhi to meri mehfil mein aaoge,
Kabhi toh apna ye charcha aam hoga,
Bahut liye hai daag daman pe humne,
Kabhi toh mere nam se koi badnaam hoga..

Nahi hasrat ki har khushi mere ghar aaye,
Ek pal ki hansi pe hi humko toh guman hoga,
Tum saath baitho, batein hum do char kar le,
Apne liye toh bas ye hi bada kaam hoga....Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #72 on: December 03, 2007, 07:39:14 PM »
Reply with quote
woww very nice Thy...zarra navazi ka shukriya

yun to duniya ki bheed mein gumm rehte hain
magar woh pal bhar ka saath jo bhula de sabhi uljhano ko...nahi milta

yun to har sukh diya hai khuda ne humein
magar woh jo ruh ko sukoon de, woh sukh nahi milta

kehne ko hazaron alfaaz kehte hain hum har roz
magar woh jo uske dil ko cho jaye..aisa alfaz hi nahi milta

zindagi kum lagne lagti hai uske pal do pal ke saath ke aage
jaise har mausam feekha hai pyar ki barsaat ke aage

Logged
thycreator
Guest
«Reply #73 on: December 03, 2007, 11:44:07 PM »
Reply with quote
woww very nice Thy...zarra navazi ka shukriya

yun to duniya ki bheed mein gumm rehte hain
magar woh pal bhar ka saath jo bhula de sabhi uljhano ko...nahi milta

yun to har sukh diya hai khuda ne humein
magar woh jo ruh ko sukoon de, woh sukh nahi milta

kehne ko hazaron alfaaz kehte hain hum har roz
magar woh jo uske dil ko cho jaye..aisa alfaz hi nahi milta

zindagi kum lagne lagti hai uske pal do pal ke saath ke aage
jaise har mausam feekha hai pyar ki barsaat ke aage

You are always welcome sweets....Usual Smile

Iss dunia ki bheend mein koi dildar toh mile,
Hum dil tham ke baithe hai koi kharidar toh mile..

Badi muddat se sochte hai, kissi ke liye jiyen,
Ek bar hame par wo husn-beparwah toh mile..

Har chehre pe ek nakaab liye ghumte hain log,
Kabhi toh khuda sa noor-o-rukhsar toh mile..

Nigahen band kar chale hum jindagi ki raah par,
Kabhi toh hath thamne wala hame raahbar toh mile..
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:41:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer