Umeed Ki Ek Nayee Shama "Khwaish"

by khwaish on April 16, 2012, 04:21:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2698 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kabhi-Kabhi Hum Jo likhte Hai,Woh Mehaz Lafz Nahi Hote,Apni zindagi Ka
Ek Hissa Hota Hai, Jo Shayad Yuhi Hum Kissi se Bhi Baaton-baaton mein
Naa keh Sake Par Jab Hum Unn Ehsaaso Ko Lafz Dene Lagte Hai, yeh Mehsoos Hota Hai
Ke "Yaar Yeh To Main Apni Hi Zindagi ki Koi Tasveer bana Raha Hoon"
Har Insaan Waqt Ke sath Apni Soch,Apni Samaj ko Badalta Rehta Hai,Chaahe Woh
Rishte Mohabbat Ke Ho, Dosti ke Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Rishta..
Kuch Roz-Aana Zindagi Se Juudi Baatein Hai..Waqt Zaroor Dijiyega



Sitam Bhi Karta Hai, Haath Mila Bhi Deta Hai
Phir Mere Haal Pe Woh Muskura Bhi Deta Hai

Main Jab Ladta Hoon Lehron Se,Woh Dekhta Rahe
Phir Doobte Hue Ko Kinaare, Laga Bhi Deta Hai

Khud Banta Hai Kabhi Meri Raah mein Deewar..!!!
To Kabhi  Apne Aap Se Nayi Raah Dikha Bhi Deta Hai

Kaagaz Par Mera Naam likh-Likhkar Jo Rota Rahe..!!
Dekhne Par, Mera Naam Kaagaz Se Mita Bhi Deta Hai

Apne Dard-O-Ranj Se Mujhe Rakhta Hai Koso Door.!!!
To Kabhi Choti-Choti Baaton Se Mujhe Rula Bhi Deta Hai

Ankahe LafzoN Mein Matlab Hi Dhoondta Rehta Hai kabhi
Aur Kabhi meri Kahee Hui Baaton Ko Woh Bhoola Bhi Deta Hai

Mujhe Deta Hai Hausla MushkiloN Mein bhi Muskurane ka..!!
Aur Khud Kisi Rote Ko Dekhkar Ashq AankhoN Se Baha Bhi Deta Hai

"Khwaish" Kabhi Thak-Tootkar Kehta hai "Main Haar Gaya Hoon!!!!"
To kabhi Umeed ki Ek Nayee Shama  Dil Mein jaga Bhi Deta Hai


                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 16, 2012, 04:30:51 PM »
Reply with quote
bahut sunder khwaish badaa achhaa lagaa padh kar daad haazie hai
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: April 16, 2012, 04:45:52 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Khwaish bhai, mubarak ho. Per kya aap batayeinge k aapne apne kissi dost k baare mein likha hai kya kis k liye.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: April 16, 2012, 05:01:07 PM »
Reply with quote
Kabhi-Kabhi Hum Jo likhte Hai,Woh Mehaz Lafz Nahi Hote,Apni zindagi Ka
Ek Hissa Hota Hai, Jo Shayad Yuhi Hum Kissi se Bhi Baaton-baaton mein
Naa keh Sake Par Jab Hum Unn Ehsaaso Ko Lafz Dene Lagte Hai, yeh Mehsoos Hota Hai
Ke "Yaar Yeh To Main Apni Hi Zindagi ki Koi Tasveer bana Raha Hoon"
Har Insaan Waqt Ke sath Apni Soch,Apni Samaj ko Badalta Rehta Hai,Chaahe Woh
Rishte Mohabbat Ke Ho, Dosti ke Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Rishta..
Kuch Roz-Aana Zindagi Se Juudi Baatein Hai..Waqt Zaroor Dijiyega



Sitam Bhi Karta Hai, Haath Mila Bhi Deta Hai
Phir Mere Haal Pe Woh Muskura Bhi Deta Hai
waqt hai, halaat hai, khawaab hai Applause Applause Applause Applause
Main Jab Ladta Hoon Lehron Se,Woh Dekhta Rahe
Phir Doobte Hue Ko Kinaare, Laga Bhi Deta Hai
koshish hai, jazba hai, dost hai, Applause Applause Applause
Khud Banta Hai Kabhi Meri Raah mein Deewar..!!!
To Kabhi  Apne Aap Se Nayi Raah Dikha Bhi Deta Hai
maa-baap hain aur aziz -o-qaari hain Applause Applause Applause
Kaagaz Par Mera Naam likh-Likhkar Jo Rota Rahe..!!
Dekhne Par, Mera Naam Kaagaz Se Mita Bhi Deta Hai
ise kahte hain alharh mohabbat icon_flower icon_flower icon_flower
Apne Dard-O-Ranj Se Mujhe Rakhta Hai Koso Door.!!!
To Kabhi Choti-Choti Baaton Se Mujhe Rula Bhi Deta Hai
maa ki mamta. aisa main samajh ti hoon tearyeyed
Ankahe LafzoN Mein Matlab Hi Dhoondta Rehta Hai kabhi
Aur Kabhi meri Kahee Hui Baaton Ko Woh Bhoola Bhi Deta Hai
biwi hogi shayad. meri bhaabhi aisi hi hain Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Mujhe Deta Hai Hausla MushkiloN Mein bhi Muskurane ka..!!
Aur Khud Kisi Rote Ko Dekhkar Ashq AankhoN Se Baha Bhi Deta Hai
sachcha dost kisi bhi shakal mein ho Thumbs UP Thumbs UP
"Khwaish" Kabhi Thak-Tootkar Kehta hai "Main Haar Gaya Hoon!!!!"
To kabhi Umeed ki Ek Nayee Shama  Dil Mein jaga Bhi Deta Hai
yehi to zindagi hai..............! Clapping Smiley Clapping Smiley

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


nice...............!
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: April 16, 2012, 05:19:15 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaish ji Applause mob se reply kar raha hu. Thode ko bahut samajhiyega.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2012, 05:58:06 PM »
Reply with quote
bahut khubsurat ghazal hai.Khwaish ji,mubarakbaad.
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2012, 06:38:24 PM »
Reply with quote
bahut suder lines ..
hazaro daad kabool kare .. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: April 16, 2012, 06:58:40 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!


Janab waqai sahiN farmaya aapne... sabhi ashaaroN ko kafi kareeb
se dekhaa jaa sakta hai zindagi meiN... Usual Smile

Kafi umdaa khayaalOn ko lafzoN meiN baNdha hai aapne... Usual Smile
Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe janab... Usual Smile

Aik khoob aur umdaa kalaam par ...
Huamri hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye... aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile        




Kabhi-Kabhi Hum Jo likhte Hai,Woh Mehaz Lafz Nahi Hote,Apni zindagi Ka
Ek Hissa Hota Hai, Jo Shayad Yuhi Hum Kissi se Bhi Baaton-baaton mein
Naa keh Sake Par Jab Hum Unn Ehsaaso Ko Lafz Dene Lagte Hai, yeh Mehsoos Hota Hai
Ke "Yaar Yeh To Main Apni Hi Zindagi ki Koi Tasveer bana Raha Hoon"
Har Insaan Waqt Ke sath Apni Soch,Apni Samaj ko Badalta Rehta Hai,Chaahe Woh
Rishte Mohabbat Ke Ho, Dosti ke Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Rishta..
Kuch Roz-Aana Zindagi Se Juudi Baatein Hai..Waqt Zaroor Dijiyega



Sitam Bhi Karta Hai, Haath Mila Bhi Deta Hai
Phir Mere Haal Pe Woh Muskura Bhi Deta Hai

Bahut khoob janab achcha khayaal hai daad ...          


Main Jab Ladta Hoon Lehron Se,Woh Dekhta Rahe
Phir Doobte Hue Ko Kinaare, Laga Bhi Deta Hai

         
Bahut khoob janab bahut khoob ... Usual Smile

Khud Banta Hai Kabhi Meri Raah mein Deewar..!!!
To Kabhi  Apne Aap Se Nayi Raah Dikha Bhi Deta Hai

Jee beshak Uski hikmat uski karaamat sab ka wohi jaane... Usual Smile          


Kaagaz Par Mera Naam likh-Likhkar Jo Rota Rahe..!!
Dekhne Par, Mera Naam Kaagaz Se Mita Bhi Deta Hai

Hmmmm hotaa hai janab... nayi nayi mohobbat meiN aisa bhi
hota hai... tongue3          



Apne Dard-O-Ranj Se Mujhe Rakhta Hai Koso Door.!!!
To Kabhi Choti-Choti Baaton Se Mujhe Rula Bhi Deta Hai

WaaH kia baat hai janab badaa gehra aur khoob khayaal bayaaN
kiya hai bahut khoob behad umdaa daad daad daad Usual Smile          



Ankahe LafzoN Mein Matlab Hi Dhoondta Rehta Hai kabhi
Aur Kabhi meri Kahee Hui Baaton Ko Woh Bhoola Bhi Deta Hai

Bahut khoob janab behad umdaa yeH bhi behad khoob raha daad Usual Smile          


Mujhe Deta Hai Hausla MushkiloN Mein bhi Muskurane ka..!!
Aur Khud Kisi Rote Ko Dekhkar Ashq Baha Bhi Deta Hai

Bahut khoob daad daad daad ... Usual Smile          


"Khwaish" Kabhi Thak-Tootkar Kehta hai "Main Haar Gaya Hoon!!!!"
To kabhi Umeed ki Ek Nayee Shama  Dil Mein jaga Bhi Deta Hai

Behad khoob khayaal aur behad achcha maqtaa hai khawahish jee ..
Daad daad daad Usual Smile          



                 ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2012, 07:21:49 PM »
Reply with quote
bahot khoob Khwaish ji--
zindgi ki haqeeqat aapke kalaaamon me hamesha milti hai mujhe--
kaafi gehre aur nazdiki ehsaas ar zazbaat bayan kie hain aapne
iss khubsurat post ko dher saari daad

khus rahie
muskurate rahie
likhte rahie
Usual Smile
Logged
Messi
Guest
«Reply #9 on: April 16, 2012, 08:29:17 PM »
Reply with quote
very nice...  icon_salut
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #10 on: April 17, 2012, 02:28:59 AM »
Reply with quote
Bhoot khoob khawahis bhai.
Agar aapka dost etna achcha h to aap bahut khusnaseeb h.
Or aapne jis khoobi se apne ahsaso ko lafjo me kaid karke hmare saamne pesh kiya h wo lajawab h.
Aap wakai me bahut achche sayar h.
Hamari daad kabool kijiye.
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #11 on: April 17, 2012, 04:08:44 AM »
Reply with quote
bahut khubsurat rachna khwaishji....

sundar...  Applause Applause Applause Applause
Logged
dolly
Guest
«Reply #12 on: April 17, 2012, 07:35:51 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause...bahut bahut khoob khwaishhjii....nyclyy expressd...Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #13 on: April 17, 2012, 08:29:42 AM »
Reply with quote
Kabhi-Kabhi Hum Jo likhte Hai,Woh Mehaz Lafz Nahi Hote,Apni zindagi Ka
Ek Hissa Hota Hai, Jo Shayad Yuhi Hum Kissi se Bhi Baaton-baaton mein
Naa keh Sake Par Jab Hum Unn Ehsaaso Ko Lafz Dene Lagte Hai, yeh Mehsoos Hota Hai
Ke "Yaar Yeh To Main Apni Hi Zindagi ki Koi Tasveer bana Raha Hoon"
Har Insaan Waqt Ke sath Apni Soch,Apni Samaj ko Badalta Rehta Hai,Chaahe Woh
Rishte Mohabbat Ke Ho, Dosti ke Yaa Phir Koi Bhi Duniyavi Rishta..
Kuch Roz-Aana Zindagi Se Juudi Baatein Hai..Waqt Zaroor Dijiyega



Sitam Bhi Karta Hai, Haath Mila Bhi Deta Hai
Phir Mere Haal Pe Woh Muskura Bhi Deta Hai

Main Jab Ladta Hoon Lehron Se,Woh Dekhta Rahe
Phir Doobte Hue Ko Kinaare, Laga Bhi Deta Hai

Khud Banta Hai Kabhi Meri Raah mein Deewar..!!!
To Kabhi  Apne Aap Se Nayi Raah Dikha Bhi Deta Hai

Kaagaz Par Mera Naam likh-Likhkar Jo Rota Rahe..!!
Dekhne Par, Mera Naam Kaagaz Se Mita Bhi Deta Hai

Apne Dard-O-Ranj Se Mujhe Rakhta Hai Koso Door.!!!
To Kabhi Choti-Choti Baaton Se Mujhe Rula Bhi Deta Hai

Ankahe LafzoN Mein Matlab Hi Dhoondta Rehta Hai kabhi
Aur Kabhi meri Kahee Hui Baaton Ko Woh Bhoola Bhi Deta Hai

Mujhe Deta Hai Hausla MushkiloN Mein bhi Muskurane ka..!!
Aur Khud Kisi Rote Ko Dekhkar Ashq AankhoN Se Baha Bhi Deta Hai

"Khwaish" Kabhi Thak-Tootkar Kehta hai "Main Haar Gaya Hoon!!!!"
To kabhi Umeed ki Ek Nayee Shama  Dil Mein jaga Bhi Deta Hai


                 ~~~~~Khwaish~~~~~


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 17, 2012, 10:25:30 AM »
Reply with quote
bahut sunder khwaish badaa achhaa lagaa padh kar daad haazie hai


Aapka Humesha Ki tarah Bahut Bahut Shukriya Saheb icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 04:17:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer