Vo mujhe kaise mitata miri tahreer ke saath.

by Dr. Naim Sahil on March 04, 2010, 11:40:07 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 791 times)
Dr. Naim Sahil
Guest
Reply with quote
Mit gaya hota magar zinda hoon tadbeer ke saath,
Roz hota hai tamasha miri taqdeer ke saath.

Kya zaruri hai kayi khwaab sunahreiN dekhuN,
Umr kat jaati hai ik kwaab ki taabeer ke saath.

Chand gazleiN miri logoN ki zabaN par bhi thiN,
Vo mujhe kaise mitata miri tahreer ke saath.

Waqt insaan ke halaat badal deta hai,
Kab talak qaid rahega koi zanjeer ke sath.

Chand lamhoN ke liye hi sahi, jee leta hooN,
Jeena mushkil bhi nahiN Izzat-o-tauqeer ke saath.

Kyun na ho aap ka charcha yahaN mehfil-mehfil,
Aap chhapte haiN risaaloN meiN bhi tasveer ke saath.

kamyabi miri qismat meiN likhi hai 'Sahil',
Do nishane haiN mire zahn meiN ik teer ke saath.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujhe chaheye sirf tumhara saath by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri for Khumar -e- Ishq
***apne saath le jaana mujhe*** by kaushikbhawna008 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
KAISE JUDA KAR PAOGE MUJHE TUM by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
saath apne mujhe le jaaye by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
-----/// Main saath kaise nibhaaun /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 04, 2010, 11:42:47 AM »
Reply with quote
Wah Wah Waah!!!

Bahut bahut Khoob Dr.Naim Sahil Ji..

Har Ek A'shaar lajawaab.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 04, 2010, 05:43:30 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Sahil Sahab
Logged
drpandey
Guest
«Reply #3 on: March 10, 2010, 11:43:53 AM »
Reply with quote
Mit gaya hota magar zinda hoon tadbeer ke saath,
Roz hota hai tamasha miri taqdeer ke saath.

Kya zaruri hai kayi khwaab sunahreiN dekhuN,
Umr kat jaati hai ik kwaab ki taabeer ke saath.

Chand gazleiN miri logoN ki zabaN par bhi thiN,
Vo mujhe kaise mitata miri tahreer ke saath.

Waqt insaan ke halaat badal deta hai,
Kab talak qaid rahega koi zanjeer ke sath.

Chand lamhoN ke liye hi sahi, jee leta hooN,
Jeena mushkil bhi nahiN Izzat-o-tauqeer ke saath.

Kyun na ho aap ka charcha yahaN mehfil-mehfil,
Aap chhapte haiN risaaloN meiN bhi tasveer ke saath.

kamyabi miri qismat meiN likhi hai 'Sahil',
Do nishane haiN mire zahn meiN ik teer ke saath.

Bahut khoob Dr Sahab, masa-allah dil mein utar gai aapki ghazal...

Bas aik pal ki bazm mein jee loon tamam umr
Chahat yahi firdaus-e-imaan to miley,
Baatein badi-bad jannat ki ho chukin
Aadam ki saql mein koi insaan to miley.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: March 10, 2010, 11:57:08 AM »
Reply with quote
BAHUT UMDA. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:55:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer