Waqt Ne Halaat Se Ladna Seekha Diya "Khwaish"

by khwaish on October 05, 2010, 11:02:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 9594 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Aaj jo main kavita Post kar raha Hoon Yeh Dil le Bahuttt kareeb hai, Kyonki Iss Kavita Ko maine Jis Daur mein Likha Tha, uss Daur Main Naa-Umeedi Se Guzar Raha Tha, Ek Bebasi, ek lachaari Si thi Har Mod Par..Par Har Ek kadam kuch Seekhta Raha..Iss Poetry Ko Maine Sirf likha Nahi par Jiya Hai...

Har Thokar Ne Meri
mujhko Chalna Seekha Diya

Mere Aankhon Ke Aansuo Ne
Mujhe Khulkar Hasna Seekha Diya

Samundar Ki lehron Ne
Mujhe Gir Kar Phir se Ubarna Seekha Diya

Baarish Ki Bundon Ne,
Zameen Par Bhi Rehna Seekha Diya

Phoolon Ne Bikhar kar Bhi
Mehakna Seekha Diya

Taara Tootkar Bhi Kisi Ke kaam Aata Hai
Zindagi Ki sachaiyon Ne Mujhe Chalte Rehna Seekha Diya

Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye Taras Jaata Hai
Majbooriyon mein Jazbaaton Ka Hadd Se Guzarna Seekha Diya

Aage Yuh To Karvan Chalte Rahega "Khwaish"
Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke saath Muskuraane Ka Hunar Seekha Diya

Gile-Shikwon,Shikaayton Se Kuch Bhi Haasil nahi "Khwaish"
Waqt Ne Halaat Se Ladna Seekha Diya..

                     ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: October 05, 2010, 11:11:21 AM »
Reply with quote
khwaish bhaii khoob kaha apne~
daad hazir he`

hazar bar tukde tukde kiya mujhe unhone
"Abhi" me na roya ki annsu sookh chuke~
Logged
baadal102
Guest
«Reply #2 on: October 05, 2010, 01:20:43 PM »
Reply with quote
bahut khub khwaish ji daad kabool farmaye Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: October 05, 2010, 01:23:20 PM »
Reply with quote
Dost apki har nazm mujhe kuch na kuch dikhati hai..yeh bahuat khbsoorat nazm share karne kay liye shukriya..bahaut sunder likha hai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: October 05, 2010, 01:43:43 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI.....

WAQT NE HALAAT SE LADNA SEEKHA DIYA
WAQT NE TOOFANO SE TAKRANA SEEKHA DIYA
WAQT NE GIR KAR SAMBHALNA SEEKHA DIYA
WAQT NE APNE AASUON KO PEENA SEEKHA DIYA
WAQT NE GUM ME BHI KHUSH RAHENA SEEKHA DIYA
WAQT NE ANDHERON ME BHI RAASTA DEKHA DIYA
WAQT NE HI ZINDAGI JEENA SEEKHA DIYA....
Logged
neelgold
Guest
«Reply #5 on: October 05, 2010, 07:26:19 PM »
Reply with quote
Bhut khoob ji ..........

Too very gud !!!!!!!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: October 05, 2010, 07:37:55 PM »
Reply with quote
bht khubsuratpoem khwaish ji.. Applause Applause Applause Applause Applause
dil me ek nahi soch dedi ...kuch likha hai dekhiye ji...


Har ek beete pal ne mujhe aksar ye samjhaya hai
Nahin aaunga laut k main kyun tune mujhe ganwaya hai

Haule halue chalti hawa bhi aksar mujhse kehti hai
Maine  tere garmi se jalte jism ko aaram pahonchaya hai

Chhanw me jab main jaa baithti hun kadi dhup me
Kehti hai maine tujhe thandak ka ehsaas karaya hai

Chandni raat me jab nahin hota koi chiraag bhi sath
Chanda ki kirnon ne tab mujhe raasta dikhaya hai

Kisi ki majburi dekh kabhi main jo udas ho jati hun
Uss majburi ne majburi me sambhalke rehna sikhaya hai

Jab bhi tujhse kuch kaha hai ee mere humraahi maine
Tune hath pakad k mera mujhe manzil pe pahonchaya hai

Kaise kahun k tu dur hai mujhse ee mere jaan e jigar
Tujhe to maine har pal apne ruuh me basa paaya hai…!!!


Aaj jo main kavita Post kar raha Hoon Yeh Dil le Bahuttt kareeb hai, Kyonki Iss Kavita Ko maine Jis Daur mein Likha Tha, uss Daur Main Naa-Umeedi Se Guzar Raha Tha, Ek Bebasi, ek lachaari Si thi Har Mod Par..Par Har Ek kadam kuch Seekhta Raha..Iss Poetry Ko Maine Sirf likha Nahi par Jiya Hai...

Har Thokar Ne Meri
mujhko Chalna Seekha Diya

Mere Aankhon Ke Aansuo Ne
Mujhe Khulkar Hasna Seekha Diya

Samundar Ki lehron Ne
Mujhe Gir Kar Phir se Ubarna Seekha Diya

Baarish Ki Bundon Ne,
Zameen Par Bhi Rehna Seekha Diya

Phoolon Ne Bikhar kar Bhi
Mehakna Seekha Diya

Taara Tootkar Bhi Kisi Ke kaam Aata Hai
Zindagi Ki sachaiyon Ne Mujhe Chalte Rehna Seekha Diya

Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye Taras Jaata Hai
Majbooriyon mein Jazbaaton Ka Hadd Se Guzarna Seekha Diya

Aage Yuh To Karvan Chalte Rahega "Khwaish"
Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke saath Muskuraane Ka Hunar Seekha Diya

Gile-Shikwon,Shikaayton Se Kuch Bhi Haasil nahi "Khwaish"
Waqt Ne Halaat Se Ladna Seekha Diya..

                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
mrkotians
Guest
«Reply #7 on: October 06, 2010, 01:29:21 AM »
Reply with quote
Ladna Sikha Diya...

Bahut pyara sa rachna aapka.. Khwaish ji... Bahut khoob..

Likhte rahiyega...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 06, 2010, 06:45:30 AM »
Reply with quote
khwaish bhaii khoob kaha apne~
daad hazir he`

hazar bar tukde tukde kiya mujhe unhone
"Abhi" me na roya ki annsu sookh chuke~


Bahut bahut Shukriya Abhiji Aapka..

Aur Aapke Kya kehne...bahut Khoob!!!

Yeh Aansu Aankhon mein Sookh Bhi Jaaye To Kya
"Khwaish"Yeh Aansu Hi hai Jo Hardum Waffa Nibhate Hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 06, 2010, 08:02:34 AM »
Reply with quote
bahut khub khwaish ji daad kabool farmaye Applause Applause


Bahut Bahut Shukriya baadalji.. icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 06, 2010, 08:32:01 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Khwaish ji...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 07, 2010, 12:23:16 PM »
Reply with quote
Dost apki har nazm mujhe kuch na kuch dikhati hai..yeh bahuat khbsoorat nazm share karne kay liye shukriya..bahaut sunder likha hai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

itna Pyaar bakshne ke liye Teh dil se shukriya Bhai Rahim

bas Yuhi Saath dete Rahiyega.. icon_flower
Logged
shah_a
Guest
«Reply #12 on: October 07, 2010, 06:06:17 PM »
Reply with quote
bahot khub \..............
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: October 10, 2010, 08:13:37 PM »
Reply with quote
khwaish bro............bahoooooot hi khooooob.......dil se daad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 14, 2010, 07:37:48 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI.....

WAQT NE HALAAT SE LADNA SEEKHA DIYA
WAQT NE TOOFANO SE TAKRANA SEEKHA DIYA
WAQT NE GIR KAR SAMBHALNA SEEKHA DIYA
WAQT NE APNE AASUON KO PEENA SEEKHA DIYA
WAQT NE GUM ME BHI KHUSH RAHENA SEEKHA DIYA
WAQT NE ANDHERON ME BHI RAASTA DEKHA DIYA
WAQT NE HI ZINDAGI JEENA SEEKHA DIYA....

bahut bahut Shukriya caraji..

Aur Acha Likha Hai Aapne Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:43:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer