Woh Ek Daur..'Bachpan' "Khwaish"

by khwaish on April 30, 2012, 02:16:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6244 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kal Raat Jagjit Singh Ji Ki Awaaz Mein Sudharshan Faakir Ji Ki Ek Anmol Nazm Suun  Raha Tha Jo Shayad
Mujh Ginti Bhi Nahi Hogi ke Kitne baar suun chuka Hoon..Jiske Bol Yeh the..
 
"Yeh Daulat Bhi Le Lo yeh Shohrat Bhi Le lo
  Bhale Cheen lo Mujhse Meri Jawaani
  Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Saawan
  Woh Kaaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani..."

Suunte Suunte Aankhein Humesha Ki tarah Kuch Nam Hui Aur Kuch Bachpan ki Yaadon ne
Dil Mein Ghar kar Liya..Kalam Uthaai Aur unn Yaadon Ko Lafz Deta reh gaya..Kuch Bachpan Ki Baatein
Kuch  Apni Zindagi Se Juudi Yadein Hai ..Waqt Zaroor Dijiyega..



"Bachpan Ki Woh Ameeri Naa Jaane Kahaan Kho Gayi
Jab Paani Mein Humaare Bhi Jahaaz Chala Karte The..."





Bachpan Ki Yaadon Mein Kho Jaana Chaahta Hoon
Main Aaj Phir Unn Yaadon Mein Ro Jaana Chaahta Hoon....

Woh Ek Daur Jab Jebein Apni Khaali Hua Karti Thi
Kuch Paise Milne Par To Jaise Diwali Hua Karti Thi
Har Ek Se Apne Dil Ki Baatein Keh Jaana..!!!!
Dost Ke Ruthne Par Ashqon Ka Aankhon Se Beh Jaana

Woh Ek Daur Jab Khelne Ke Siva Kuch Aur Aata Nahi Tha
Kuch kehna Chahun To Sahi lafzon Mein keh Paata Nahi Tha
Woh Chota Sa Basta Jisme Kitaabein Rakha Karte The!!!
Woh Tooti Hui Pencil Ko Sharpener Se Ghassa karte The

Woh Ek Daur Jab Sirf Ro Dene Se Mann Halka Ho Jaata tha
Katti-Dosti kehkar Main RishtoN Ko Nibhaa Jaata Tha
Apnapan Jataane Ke Liye Mujhe Dikhawe Ki Zaroorat Naa Thi
Pyaar Ke Samundar Mein Jhoote Kinaaron Ki Zaroorat Naa Thi

Woh Ek Daur Jab Pehla Pyaar Kisi Hone Laga Tha
Main Neend- Sukoon Dono Saath Mein Khone Laga Tha
kisi Ke "I Love You" kehne Se Jaise meri Duniya Rukh Gayi Thi
Uska naam Lene Se Sharm se Meri Palkein Jhuk gayi Thi

Woh Ek Daur Jab ZarooratoN Ne Aage Chalna Seekhaya
Main Gira, Utha, Phir Chala, Par har Haal mein Muskuraya
Waqt Ne Imtehaan De-De kar Mujhko yeh samjhaaya
Yeh Zindagi Hai AnderoN Mein Saath Bhi Nahi Reh Paata Humsaaya

Woh Ek Daur Jab Zimmedariyan Nibhaana Hi Zindagi keh Laaye
Maa-Bap, Bhai-Behan, Biwi-Bachen saath Sirf yeh Rishte Reh Jaaye
Mujhe Shikayat Zindagi Se Hargizz Nahi Hai..!!!!!!
Woh Ek Daur Tha!!! Ab Yeh Daur Bhi Sahee Hai...

Main Aaj Khuli Aankhon Ke Sapno Mein Kho Jaana Jaata Hoon
"Khwaish" Kuch Yaadon Mein bas behkar Ro Jaana Chaahta Hoon


                 ~~~~~Khwaish~~~~~~

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: April 30, 2012, 02:39:48 PM »
Reply with quote
Aapki es post ki jitni tareef ki jaaye kam h....
Jis tarah aapne bachpan ko hamari aankho ke samne la ke khara kar diya h uspe lakho daad hazir h...
Or ha ak RAU bhi
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: April 30, 2012, 02:59:25 PM »
Reply with quote
Waah Waah Kya baat hai Khwaish Ji.. Ak ak sher Apne aap mea Kahin Sachai darsha raha hai.. Woh bachpan ke Din yaad gaye.. Sach Mein Kitna Sach Likha hai ... Bahoot Bahoot Lajwaab peshkash. Dil ko chhu gai aapki yea peshkash ..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dolly
Guest
«Reply #3 on: April 30, 2012, 03:30:00 PM »
Reply with quote
beautifull khwahish jiii...bahut bahut sundar...Usual SmileUsual Smile...sahi baat vo daur b sahi hai ye daur bhi sahi hai.....   Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: April 30, 2012, 03:33:37 PM »
Reply with quote
Bahut  khoob  kaha  hai  Khwaish ji . Waqai  woh  suhaane  din  to  
ab  khwaab  hi  hain  jinhein  dekh  kar  hum  kuch  der  ke  liye
khush  ho lete  hain.
Logged
akashsharma1990
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2012, 03:59:10 PM »
Reply with quote
kya baat hai khwaish ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: April 30, 2012, 04:06:44 PM »
Reply with quote
khwaish ji bachpan ke ehsaason ko bahut hee achhe se nazm kiyaa hai aapne apne is kalaam men dheron daad haazir hain
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2012, 05:30:10 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Likha hai aapne khwaish ji
sab yaade jaise phir se taaji ho gayee..likhte rahiye

aap is mahfil ki shaan hai.
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #8 on: April 30, 2012, 06:11:12 PM »
Reply with quote
Thank you so much KHWAISH JI for such a lovely poetry..... Usual Smile

bilkul sahi kaha aapne wo bachpan ki yaade kabhi nahi bhulayi jaa sakti...

bahut bahut khoob laakhon daad is ghazal pe...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: April 30, 2012, 06:36:15 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Janab jo aapne Jagjeet sahaab ki nazm ka zikra kiya hai waqai
dilfareb gazal hai, Sudarshan Fakheer sahaab ke nayaab khayaaloN
ko jo Jagjeet sahaab aur chitra jee ne awaaz dii hai jism ka
roa roaaN khada kar jati hai... Usual Smile

Aur usi gazal ki zameeN par aapne bhi umda khayaal bayaaN kiye hai...
bahut khoob janab sabhi ahsaas o khayaal behad khoob rahe... Usual Smile

Humari dheroN daad aur mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

HaaN aik tip zaroor dena chaheNge, gar sahiN lage toh
apnaiyega... Usual Smile
jab kisi geet ko aap baar baar sunkar us se mutasir ho kar
likh rahe haiN to aik koshish kariye ke usi geet ke rhythm
meiN likhne ki koshish kijiye... jise aap bhi apni kalaam ko gunguna sake.. Usual Smile

Likhte rahiye... aate rahiye...
shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile 


Logged
pawan16
Guest
«Reply #10 on: April 30, 2012, 08:11:57 PM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bhut bhut umda likha hai aapne...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: April 30, 2012, 08:32:16 PM »
Reply with quote
Dost,

Kya kehne iss nazm kay..Wah Wah Wah Wah..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Honestly, no words to praise it..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 01, 2012, 08:58:19 AM »
Reply with quote
Aapki es post ki jitni tareef ki jaaye kam h....
Jis tarah aapne bachpan ko hamari aankho ke samne la ke khara kar diya h uspe lakho daad hazir h...
Or ha ak RAU bhi

masoom Ji Aapka teh Dil Se Bahut Bahut Shukriya..Yuhi Saath Dete Rahiyega icon_flower icon_flower

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: May 01, 2012, 05:25:07 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause   bahut bahut khoob likha hai aapne Khwaish ji,..... bahut bahut khoob....!!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: May 01, 2012, 06:18:49 PM »
Reply with quote
na jaane kitne lamho ko aapne taaza kr diya khwaish ji......kya kahein... icon_salut
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:47:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer