Woh jo kafaa hai unhe .... "ParwaaZ "

by ParwaaZ on August 06, 2011, 09:06:44 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2728 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote




Woh jo kafaa hai unhe dillagi ki zarurat hai
Hume lagta hai unhe aashqui ki zarurat hai

Do pal mein nikal jaata hai dil ka gubaar sara
Do bol mithe pyaar ke aadami ki zarurat hai

Jo kahte hai ke dil e dard ki koyiN dawa nahi
Kah do unse unhe to maikashi ki zarurat hai

Ruthaa hai mera masoom dil jane jaana kab seY
Uski khushi ke liye teri hasi ki zarurat hai

Do bad duaaen mujhe dilse ae mere doston
Main jeena chahta hun zindagi ki zarurat hai

Tum chaho to kuch bhi ParwaaZ se kara sakte ho
Aye khuda kia tumhe bhi bandagi zarurat hai

          

Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2011, 09:31:25 PM »
Reply with quote




Woh jo kafaa hai unhe dillagi ki zarurat hai
Hume lagta hai unhe aashqui ki zarurat hai

Do pal mein nikal jaata hai dil ka gubaar sara
Do bol mithe pyaar ke aadami ki zarurat hai

Do bad duaaen mujhe dilse ae mere doston
Main jeena chahta hun zindagi ki zarurat hai

         


parwaaz sahab main bahut khoob nahin bolu.n gi...jab tak aap ise ghazal ko moqammal nahin karen ge. itna gahraai le kar likhte hain aur aadhe mein kyon choar te hain


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

      hai zakm jism mein mere kisi ne batayaa ye,
      ho ehsaas mujhe bhi iska ek dard ki zarurat hai
Logged
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 14 minutes.

Solitude..!!

Posts: 465
Member Since: Jun 2011


View Profile
«Reply #2 on: August 07, 2011, 07:14:24 AM »
Reply with quote




Woh jo kafaa hai unhe dillagi ki zarurat hai
Hume lagta hai unhe aashqui ki zarurat hai

Do pal mein nikal jaata hai dil ka gubaar sara
Do bol mithe pyaar ke aadami ki zarurat hai

Do bad duaaen mujhe dilse ae mere doston
Main jeena chahta hun zindagi ki zarurat hai

         





Kya kahoon....heart touching Parwaaz Ji...luved it..!!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 07, 2011, 06:09:35 PM »
Reply with quote
Aadaab Shibaa Sahibaa and GP jee Usual Smile

Adhure kalaam ko pasand karne waa houNsla afzai karne
ke liye hum tah e dil se mashkoor O mamnoon hai Usual Smile

Aage bhi saath banaaye rakhiye... Usual Smile

Aur Janaab moidsandilvi. Sahaab Aadaab !

Janab aapki paazi rai ke liye bhi hum shukra guzaar haiN.. Usual Smile
Hum koi shayar nahi hai jo asal meiN shayari kareN Usual Smile

Apne apne khayaal hoteN hai apni apni adaaygi hoti hai... Usual Smile
Aapko humare khayaal halke kism ke lage koi baat nahi apki
samajh hai aap achche sukhanwar hoNge Usual Smile...
Koshish kareNge aainda kuch aur achcha likheN jo aapko bhi
pasand aaye.... Usual Smile

Achcha aik sawaal hai aapse yeH tukbandi meiN aur shayari meiN
kyaa fark hai ?
Zarra tafsil se jawaab dijiyeNga ... Humari samajh thodi kamzor
hai..... Usual Smile

Aate rahiye..... Khush O aabaad rahiye... Khuda Hafez Usual Smile

         

Logged
Shaifali
Guest
«Reply #4 on: August 07, 2011, 06:34:22 PM »
Reply with quote
Nice Parwaaz Ji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: August 07, 2011, 09:53:15 PM »
Reply with quote
Aadaab Shibaa Sahibaa and GP jee Usual Smile

Adhure kalaam ko pasand karne waa houNsla afzai karne
ke liye hum tah e dil se mashkoor O mamnoon hai Usual Smile

Aage bhi saath banaaye rakhiye... Usual Smile

Aur Janaab moidsandilvi. Sahaab Aadaab !

Janab aapki paazi rai ke liye bhi hum shukra guzaar haiN.. Usual Smile
Hum koi shayar nahi hai jo asal meiN shayari kareN Usual Smile

Apne apne khayaal hoteN hai apni apni adaaygi hoti hai... Usual Smile
Aapko humare khayaal halke kism ke lage koi baat nahi apki
samajh hai aap achche sukhanwar hoNge Usual Smile...
Koshish kareNge aainda kuch aur achcha likheN jo aapko bhi
pasand aaye.... Usual Smile

Achcha aik sawaal hai aapse yeH tukbandi meiN aur shayari meiN
kyaa fark hai ?
Zarra tafsil se jawaab dijiyeNga ... Humari samajh thodi kamzor
hai..... Usual Smile

Aate rahiye..... Khush O aabaad rahiye... Khuda Hafez Usual Smile

         



aapne sharifana andaaz mein jawaab diya acha laga Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: August 07, 2011, 10:03:34 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Parwaz sahab... Clapping Smiley Clapping Smiley


Koi Khafa Hai yahan Unhe Dillagi Ki Zarurat Hai.,
Hume Lagta hai Unhe Parwaaz Ji Ki Jarurat hai..,
 tongue3 Usual Smile Usual Smile

plz dont mind...we all need u....Parwaz sahab... Usual Smile

apna khayal rakhiyega,,,
Khuda Hafiz.. Usual Smile

Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #7 on: August 08, 2011, 02:58:27 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Parwaz Ji Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: October 09, 2011, 12:13:37 PM »
Reply with quote
Nice Parwaaz Ji

Shukriyaa Shaifali Jee..

Aage bhi apne kimti waqt aur daaad ke saath
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile         

         
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #9 on: October 09, 2011, 12:38:13 PM »
Reply with quote




Woh jo kafaa hai unhe dillagi ki zarurat hai
Hume lagta hai unhe aashqui ki zarurat hai

Do pal mein nikal jaata hai dil ka gubaar sara
Do bol mithe pyaar ke aadami ki zarurat hai

Jo kahte hai ke dil e dard ki koyiN dawa nahi
Kah do unse unhe to maikashi ki zarurat hai

Ruthaa hai mera masoom dil jane jaana kab seY
Uski khushi ke liye teri hasi ki zarurat hai

Do bad duaaen mujhe dilse ae mere doston
Main jeena chahta hun zindagi ki zarurat hai

Tum chaho to kuch bhi ParwaaZ se kara sakte ho
Aye khuda kia tumhe bhi bandagi zarurat hai

         



parwaaz sahab sabhi ashar ache hain. per maqte mein kahi hui baat mujhe samajh nahin aayi
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: October 09, 2011, 12:49:26 PM »
Reply with quote

parwaaz sahab sabhi ashar ache hain. per maqte mein kahi hui baat mujhe samajh nahin aayi


Bechain Sahaab Aadaab!

Janab kalam ki pasandeedgi aur pazi rai ke liye behad mamnoon hai..
Dil se shukriyaa aapka ...
Jee aapka sawaal waze hai.. jee hum maqte se yeH kahna chah rahe the.. ke.

Aye khuda aap chaheN to mujhse ( balki sab se ) Kuch bhi karwa sakte hai.. Aisa kyuN kaha humne yeH baat andruni hai so kahna nahi chahte..
Aur dusre misre meiN saaf kah diyaa kia Khuda aapko bhi humari bandagi ki zarurat hai .. jaisa ke sab jante woH gafur ur raheem hai, Azeem hai, Kainaat ka rab hai jisne hum sab ko banaaya jisne humari taqdeereN likhi.. aur jiske haath ke sab katputle hai ..

Kia use bhi humari yeH gaflat bhari bandgi ki zarurat hai..Aur sab jante hai nahi... Hum bandagi isliye karte hai ke hum nek aur sahiN raah par chal sakeN .. humari bandagi se woH khush hokar humare masaail aasaaN kareN aur humari miyaadi bandgi ke badle woH hume la mehdood zindagi meiN woH tamaam khushiyaaN deN jiske liye hum bandagi ki hai...

Shayad hum thik se kuch samjha nahi paye.. ummid hai aap samjh gaye hoN.. Gar nahi to hum phir se kal is par baat kareNge..

Khush rahiye... DuaaoN meiN yaad rakhiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile           

         
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #11 on: October 09, 2011, 12:59:17 PM »
Reply with quote
Bechain Sahaab Aadaab!

Janab kalam ki pasandeedgi aur pazi rai ke liye behad mamnoon hai..
Dil se shukriyaa aapka ...
Jee aapka sawaal waze hai.. jee hum maqte se yeH kahna chah rahe the.. ke.

Aye khuda aap chaheN to mujhse ( balki sab se ) Kuch bhi karwa sakte hai.. Aisa kyuN kaha humne yeH baat andruni hai so kahna nahi chahte..
Aur dusre misre meiN saaf kah diyaa kia Khuda aapko bhi humari bandagi ki zarurat hai .. jaisa ke sab jante woH gafur ur raheem hai, Azeem hai, Kainaat ka rab hai jisne hum sab ko banaaya jisne humari taqdeereN likhi.. aur jiske haath ke sab katputle hai ..


Kia use bhi humari yeH gaflat bhari bandgi ki zarurat hai..Aur sab jante hai nahi... Hum bandagi isliye karte hai ke hum nek aur sahiN raah par chal sakeN .. humari bandagi se woH khush hokar humare masaail aasaaN kareN aur humari miyaadi bandgi ke badle woH hume la mehdood zindagi meiN woH tamaam khushiyaaN deN jiske liye hum bandagi ki hai...

Shayad hum thik se kuch samjha nahi paye.. ummid hai aap samjh gaye hoN.. Gar nahi to hum phir se kal is par baat kareNge..

Khush rahiye... DuaaoN meiN yaad rakhiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile          

         


mohatram parwaaz sahab,

 tasleem.

  aap ne jo baat bataai wo hum sabhi jaante hain ALHAMDULLILAH.
  LEKIN MAQTE KE HAWALE SE TASHRIH NAHIN HUI. KYON KI JANAH TAK MERI CHOTI SAMAJH ISS PE GHAUR KARTI HAI TO yehi baat nikal kar aati hai ki..hum ALLAH SE YE SAWAAL NAHIN KAR SAKTE (kyon)Huh?

 AAP KA SHER ISI TARAF MAYAL HAI. SHAYAD AAP NE JO KHLASA KIYA WO SHER SE WAZE NAHIN HO RAHA... ANYWAYS.!! ALLAH KHAIR KARNE WALA HAI
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #12 on: October 09, 2011, 02:19:57 PM »
Reply with quote

VERY GOOD..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: December 03, 2011, 04:36:37 PM »
Reply with quote
mohatram parwaaz sahab,

 tasleem.

  aap ne jo baat bataai wo hum sabhi jaante hain ALHAMDULLILAH.
  LEKIN MAQTE KE HAWALE SE TASHRIH NAHIN HUI. KYON KI JANAH TAK MERI CHOTI SAMAJH ISS PE GHAUR KARTI HAI TO yehi baat nikal kar aati hai ki..hum ALLAH SE YE SAWAAL NAHIN KAR SAKTE (kyon)Huh?

 AAP KA SHER ISI TARAF MAYAL HAI. SHAYAD AAP NE JO KHLASA KIYA WO SHER SE WAZE NAHIN HO RAHA... ANYWAYS.!! ALLAH KHAIR KARNE WALA HAI



As Salaam walekum O Aadaab Bechain Sahaab .. !

Janab takheer se jawaab dene ke liye tah e dil se mazarrat chahte
haiN... dar asal kabhi waqt ki kami huyi to kabhi usi doar e
jahaalat meiN the so aapko phir thik se jawaab nahi de paate aaj
Allaah ke raham O karam se sahiN waqt hai so jawaab de raheN hai..


Janab humne kuch shayarana misra to nahi kaha hai baat sidhi si
kahi hai ke Kia khudaa aapko bhhi humare baNdagi ki zarurat hai.. ?

Shayad is misre meiN koi aur baat chupi hi nahi hai.. Sawaliya
misra hai janab.. zarra gaur kijiye baki to shayad aur kuch kahne
ki zarurat nahi hai.. Usual Smile

Aapke is husn e saluk ke liye tah e dil se shukriyaa janab.. Usual Smile
Aage bhi apna Saath banaye rakhiye.. Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile

Khuda Hafez.. Usual Smile         
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:17:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer