woh mere ghar ka kona

by nikki on July 08, 2005, 03:01:27 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 9017 times)
nikki
Guest
«Reply #45 on: March 19, 2006, 09:00:06 PM »
Reply with quote
makaan eet pathar ka ho ya ho tinko ka
uski ahmiyat alag nahi hoti

ghar ko log cheezo se sajate hain
magar kabhi kabhi..
gharwalon ko bhool jaate hain
jinke bina ghar ka vajood hi nahi
jo na jaane kahan kho gaye hain
ghar mein maujood hi nahi..

abb bhi sambhal jao
jo rooth kar chale gaye hain mana kar le aaoo
kuch woh tumhein samjhein
kuch tum unki samajh jao
yahi sama hai..ladayi jhagdon mein mat bitao...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh andhere mere Ghar Raushni se ho gaye... by sharmaarunkumar in Ghazals
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere dil mein yeh ghar tera hi rahega by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
-Aaye They Mere Ghar Mein- by HumTum in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #46 on: March 19, 2006, 11:39:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
makaan eet pathar ka ho ya ho tinko ka
uski ahmiyat alag nahi hoti

ghar ko log cheezo se sajate hain
magar kabhi kabhi..
gharwalon ko bhool jaate hain
jinke bina ghar ka vajood hi nahi
jo na jaane kahan kho gaye hain
ghar mein maujood hi nahi..

abb bhi sambhal jao
jo rooth kar chale gaye hain mana kar le aaoo
kuch woh tumhein samjhein
kuch tum unki samajh jao
yahi sama hai..ladayi jhagdon mein mat bitao...


Nikki

Kya sahi likha hai !

Aaj kal ka vatavaran he kuch aisa ho gaya hai
ki log samjhota karna nahi chahte. Ego problems !

Ek baar phir kehna chahoonga, mujhe aap ki yeh post bahut achchi lagti hai...

Keep contributing !

Rajbir
Logged
nikki
Guest
«Reply #47 on: March 20, 2006, 12:21:31 PM »
Reply with quote
aap yunhi padhte rahiye to hum yunhi likhte rahenge...thanx for inspiring Rajbir
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #48 on: March 20, 2006, 01:14:51 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Nikki....
Logged
nikki
Guest
«Reply #49 on: March 20, 2006, 05:01:33 PM »
Reply with quote
thanx Aryaan ...
Logged
sunny_bewafa
Guest
«Reply #50 on: March 22, 2006, 11:24:39 AM »
Reply with quote
kehne ko woh pehli chahat thi
wo jis mein junno(n) tha, shiddat ka
paakeeza thi, anmol thi woh
khaabon k jahaa(n) ki ulfat thi
mehboob ko bhi maloom na tha
aaisi khamoosh mohabbat thi
khaamosh rahe be-kaar hui
na jeet hui na haar howi
phir waqt ne apni chaal chali
wo furqat se do-chaar hui
kaisi khaamosh mohabbat thi
gulzaar se phir woh khaar howi
furqat se junoo(n) main aag lagi
is dil k sukoon main aag lagi
askhon ki larri ankhon se bandhi
is jism k khoon mein aag lagi
phir waqt ne apni chaal chali
dil se woh khumaar-e-preet gaya
honton se wafa ka geet gaya
kehne ko wo pehli chahat thi
us ka bh zamana beet gaya
hijraa(n) ki shabon se larr laar kar
dil haar gaya, gham jeet gaya

dekhain aap ko koi bh hai plz main yahan new ho aap meri help karian main bh apni shiri post karna chahat ho ;ekin main new user ho plz help me bye sunnny
Logged
nikki
Guest
«Reply #51 on: March 23, 2006, 10:37:24 AM »
Reply with quote
very nice Sunny ji...
Logged
nikki
Guest
«Reply #52 on: April 19, 2006, 09:53:30 AM »
Reply with quote
mere dil ke uss adhere kone se
aaj bhi yeh awaaz aati hai
aye roshni mujh par bhi meharbaan ho ja
kyun tu mujhe itna satati hai

maine kya bigada hai tumhera
kyun teri ek kiran bhi mujh takk nahi pahunch paati hai
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #53 on: April 21, 2006, 07:13:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
mere ghar ka sabse khoobsorat kona
woh jahan maine bahut se mausam bitaye hain

jahan aate jaate logon ko dekha hai
unke aane jaane ka waqt bhi abb to yaad hai mujhe

jabb koi bus sadak se hokar guzarti hai
aur koi bahar bhaagta hua nazar aata hai
mujhe bhi kuch pal poorane yaad aate hain
woh guzre zamaane laut aate hain

jabb bhi khud ko akela paati hun
jakar ussi kone mein waqt bitaati hun

issi kone ne mujhe duniya se milaya hai
bahut se aane jaane walon se taruff karwaya hai

jab bhi bache bahar khelne aate hain,shor machaate hain
mujhe bhi wapis mere bachpan mein le jaate hain
woh be.fikr din,woh mum-dad ka pyar
woh naani ki kahaniya...sabb yaad aate hain

yeh kona mere har pal ka saathi hai
issi ke sang rona
issi se khushi bhi mil jaati hai

issi ne baante hain sukh
to bataya hai gum bhi
kabhi main yahan hasti hun
to kabhi ho jaati hai aankh num bhi

abb yeh ghar ka koona meri zindagi ka hissa ban gaya hai
woh na bhoolne wala kissa ban gaya hai
salamat rahe yeh dosti hamaari
mujhe bahut pasand hai yeh meri "KHIDKI" (window) pyaari











nice nikki......... i like it
Logged
nikki
Guest
«Reply #54 on: April 24, 2006, 03:58:42 PM »
Reply with quote
thanku so much Majid n Indian_groom ji...
Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #55 on: April 27, 2006, 07:50:42 AM »
Reply with quote
it was delightful reading this topic thanx to all who contributed

the window which overlooks nothing:




[/img]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #56 on: May 02, 2006, 03:16:40 AM »
Reply with quote
bahut khoob nikki

               mera ghar

yaad aata hai mujhko bahut mera ghar
vo pyara sa peepal jo chaya hai chat par
rulata hai aksar vo khvabon men aakar

vo dil ke bade chote chote se kamre
jahan chain se raat aur din the guzre
vo darvza toota jo lagta nahi hai
usise vahan dar bhi lagta nahi hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #57 on: May 02, 2006, 01:15:07 PM »
Reply with quote
gosha gosha veeran lekin
apna ghar phir apna ghar hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #58 on: May 16, 2006, 01:29:16 PM »
Reply with quote
thanx Djpaddy n Tabassum....n too gud Tabassum...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #59 on: May 17, 2006, 07:38:50 AM »
Reply with quote
thanx nikky
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:38:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer