woh mere ghar ka kona

by nikki on July 08, 2005, 03:01:27 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 9087 times)
nikki
Guest
«Reply #60 on: May 17, 2006, 05:26:10 PM »
Reply with quote
zindagi kyun humein sata rahi hai
aaj fir reh-2 kar unki yaad aa rahi hai

woh jinhein basaya hai humne apne dil mein
aaj unse milne ki tamana badhti ja rahi hai

a jaane kyun manzil ka pata nahi milta
yeh nacheez to ek ke baad ek har rah par chalti ja rahi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh andhere mere Ghar Raushni se ho gaye... by sharmaarunkumar in Ghazals
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere dil mein yeh ghar tera hi rahega by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
-Aaye They Mere Ghar Mein- by HumTum in Shayri-E-Dard
nikki
Guest
«Reply #61 on: May 18, 2006, 04:55:38 PM »
Reply with quote
arrreeee nahi...its ok.
chaliye aaj fir kuch likhne ki koshish karti hun...

ghar ki har cheez chup hai
har kona sunsaan hai
main badi hairat se soch rahi hun..
jahan har dum chehal-pehal rehti thi
awazon ka shor rehta tha har lamha
kya yeh wahi makaan hai?
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #62 on: May 19, 2006, 10:02:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
arrreeee nahi...its ok.
chaliye aaj fir kuch likhne ki koshish karti hun...

ghar ki har cheez chup hai
har kona sunsaan hai
main badi hairat se soch rahi hun..
jahan har dum chehal-pehal rehti thi
awazon ka shor rehta tha har lamha
kya yeh wahi makaan hai?


Waah Bohot Khoob Nikki Ji, Majid Bhai Aur Tabassum Ji !!!!

Kaise Kahoge Tum Usse Apna Makaan,
Jis Me Rehta Hi Nahi Ab Vo Insaan,
Najaane Kyu Ye Sanatta Pasand Aa Raha Hai,
Shayad Ghar Ka Koi Kona Mujhe Bula Raha Hai !!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #63 on: May 22, 2006, 02:37:31 PM »
Reply with quote
thanx Majid n Darde_dil...too gud Majid..

zindagi ahistha-2 humein yeh samjha rahi hai
jeevan koi khel nahi humein bhi abb yeh baat samajh mein aa rahi hai
ghar ke har kone mein jinhein hum dhoondte hain
unke kadmon ki aahat to abb ghar ke bahar se aa rahi hai
woh abb iss makaan mein nahi rehte
kyun mujhe yeh baat reh-2 kar sata rahi hai
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #64 on: May 23, 2006, 03:14:03 AM »
Reply with quote
Shukriya Nikki Ji !!!

Uski Adao Ko Me Pyaar Samaj Baitha,
Uski Khamoshi Ko Ikraar Samaj Baitha,
Vo Mile Nahi Mujhko Fir Kabhi Bohot Dhunda Magar,
Me In Char Deewaro Ko Sansaar Samaj Baitha !!!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #65 on: May 26, 2006, 12:53:19 AM »
Reply with quote
wah kaya mehfil lagi hui hai, good work all!! Majid, darde_dil and nikki bahoot khoob!!!

darde_dil ji apki last lines to bahoot hi touching hai!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #66 on: May 26, 2006, 02:30:55 AM »
Reply with quote
Bohot Bohot Shukriya Pankhuri Ji !!!!!

Baat Ki Hai Mene Har Kone Se Apne Ghar Ki,
Di Mene Unko Saugandh Apne Beshumar Dard Ki,
Tab Pata Chala Mujhko Kya Keemat Thi Unki,
Jab Ud Gayi Voh Pyari Si Titli Bina Par Ki !!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #67 on: May 29, 2006, 02:34:56 PM »
Reply with quote
thanx a lot Pankhuri ji n Darde_dil ji...aapne bhi bahut acha likha hai Darde_dil ji..

saara ghar sunsaan pada hai
ismein rehne wale jaane kahan chale gaye
bas abb to yeh khali makaan pada hai
dil ki dhadkan bhi sunayi deti hai itna sanata hai
na abb koi yahan aata hai na jaata hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #68 on: May 29, 2006, 02:39:57 PM »
Reply with quote
Safai kiya karo ghar ki .. tabhi koi aaye jayega !!


Mere ghar ka woh kona ....

Jha aksar khawaboon khayaloN mein khoya hoon
Hsa hoon soch kar kucch,  kabhi bahut roya hoon
Na jane kitni yadein judi hai meri uss kone ke sath
Na jane kitni tanha ratien iski godh mein soya hoon !
Logged
nikki
Guest
«Reply #69 on: May 29, 2006, 02:45:47 PM »
Reply with quote
tumhein job offer to ki thi ..safayi ki ....

woh har pal tanha guzra jab tumhein yaad kiya
woh har raat aansuyon mein kati jab khayaal mein tum aaye
mere ghar ki har cheez tumhein yaad karti hai
magar jabse gaye ho na lautkar tum aaye
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #70 on: May 29, 2006, 02:49:45 PM »
Reply with quote
Ghar mein mere faili hui ab ik tanhaai hai
Har pal har lamha tera yaad si aayi hai
bahut chaha tumko yaad na karu kabhi
Lekin, har cheez mein teri hi parchai hai !!

itne sasate mein safai nhi karta mein  Puzzled !
Logged
nikki
Guest
«Reply #71 on: May 29, 2006, 02:55:31 PM »
Reply with quote
kyun pehle tum white house mein safayi karte the kya ....nakhre to dekho..

humse door chale to gaye ho
hamari yaadein kaise mitaoge
jab bhi ghar laut ke aaoge
har cheez mein humein paoge
Logged
nikki
Guest
«Reply #72 on: May 31, 2006, 08:47:09 AM »
Reply with quote
Zindagi ke har lamhein ko abaad kar lo
warna ghar ka har kona khaali nazar ayega
gharwalon ki bheed mein waqt kaise katt gaya.. pata bhi nahi chala
jab khud ko tanha paoge
to ek lamha bhi na guzarne payega
Logged
ranjana
Guest
«Reply #73 on: May 31, 2006, 10:26:30 AM »
Reply with quote
bahut khub likha hai sabne...........


khirkiyaan khol do , ab toh thandi hawa aane lagi hai
sun pariondo ki chahak mosam ko samjnane lagi hai
dhup sunehari jaank rahi hai kahi kisi jhrokhe se.
ghar ke har kone ko woh  jagmagane lagi hai.....!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #74 on: May 31, 2006, 10:29:17 AM »
Reply with quote
thanx n very nice Ranjana ji...
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:13:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer