woh mere ghar ka kona

by nikki on July 08, 2005, 03:01:27 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Author  (Read 8974 times)
nikki
Guest
«Reply #75 on: June 06, 2006, 04:49:55 PM »
Reply with quote
ghar ki har cheez bikhari padi hai
woh kursi, woh table sab par dhool jami padi hai
aisa lagta hai barson se yahan koi aaya nahi
main aaj bhi jinda hun iss kone mein
shayad koi yeh dekh paya nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh andhere mere Ghar Raushni se ho gaye... by sharmaarunkumar in Ghazals
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere dil mein yeh ghar tera hi rahega by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
-Aaye They Mere Ghar Mein- by HumTum in Shayri-E-Dard
phoenix
Guest
«Reply #76 on: June 06, 2006, 05:21:18 PM »
Reply with quote
wow bahut aache niki ji
Logged
ranjana
Guest
«Reply #77 on: June 07, 2006, 02:12:25 AM »
Reply with quote
jis ghar ko maine apne khawabo se sjaya thaa
jis ghar ke har kone ko maine phoolo se mehkaya thaa
woh ghar aaj mujhe na jane kyu udas sa nazar aata hai
tere baggaer toh mujhe apne ghar ka har kone sunsaan najar aata hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #78 on: June 07, 2006, 03:01:01 AM »
Reply with quote
Buddy, Ranju

Very beautifully expressed the feelings one goes through in solitude in one's own cocoon.

Nikki, this is one of your threads which i like the most. I have told you this earlier also.  :D

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #79 on: June 07, 2006, 03:45:47 AM »
Reply with quote
shukriya Rajbir................. Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #80 on: June 07, 2006, 10:42:04 AM »
Reply with quote
thanx a million buddy, n Phoenix....n very nice Ranjana ji...

ghar ki har diwaar par tasveerein tangi hai
jaise meri kismat ki lakeerein tangi hai
usne yeh sab apne haathon se banayi hain
issi liye to mujhe apne ghar se itna pyar hai
iski har cheez mein...har kone mein
nazar aata mujhe uska pyaar hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #81 on: June 07, 2006, 10:51:09 AM »
Reply with quote
bahut khub Nikki .........shukriya ..........

aaj mujhe apna ghar mehakata sa nazar aata hai
iske har kone mein jaise sajan ka payar jhalak jaata hai
sajaati hun ghar ko sawarti hun main..........
sajan ke ghar aate  hi yeh kaise khil sa jata hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #82 on: June 08, 2006, 02:18:05 PM »
Reply with quote
thanx n very nice Ranjana ji..

ghar gharwalon se banta hai suna tha
magar aaj sabse juda hokar dekh liya
kabhi baat karne ka mauka nahi milta tha
sab apni-2 kehte jaate the
abb itna bolti hun...
magar koi sunene wala nahi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #83 on: June 09, 2006, 07:53:20 AM »
Reply with quote
hm sach wala sach likh diya Nikki ji...............

karte hain aaj hum diwaaro.n se baate
ghar ke kone kone mein woh mehakati hai mulakate
jab sone jaise din they aur thee chandi jaisi  raate.n
ab woh din na jaane kaha kho gye
ham hain  tanha apne ghar mein kuch asie
ki mere ghar ke kone bhi veeran ho gye
Logged
nikki
Guest
«Reply #84 on: June 09, 2006, 09:03:33 AM »
Reply with quote
awesum Ranjana ji...very beautifull ...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #85 on: June 19, 2006, 03:02:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
ghar ki har cheez bikhari padi hai
woh kursi, woh table sab par dhool jami padi hai
aisa lagta hai barson se yahan koi aaya nahi
main aaj bhi jinda hun iss kone mein
shayad koi yeh dekh paya nahi

bahut khoob nikki..................

ki is ghar ke kone me koi tasveer aise hai
jahan se khushboo aati hai mohabbat ki
zara use saaf to karna zara mujhko dikhana to
ye chehra jaana sa kyun hai
ise maine kahan dekha
haan tere saath tha ye to
kabhi tu bhi to hansti thi
ye kamra bhi chahakta tha
aawazen thin yahaan par bhi
kabhi vo tumse kahta tha
na jaane kya nahi maloom
magar  maine suna hai
tum khikhilakar jab hansatin thin
ye sab kab hua kaise hua
chahe na batlaao
kisi ko yaad karke
 ik pal ko tum bhi muskaao
Logged
nikki
Guest
«Reply #86 on: June 20, 2006, 02:10:55 PM »
Reply with quote
thanx n nice one Tabassum...

abb to yaadein hi reh gayi hain har pal ki
jaise pehle kabhi yeh ghar hua karta tha
abb makaan baaki hai..
woh sab jaane kahan chale gaye
jinke hone se main zinda thi
abb to lagta hai iss butt mein sirf jaan baaki hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #87 on: June 20, 2006, 02:15:55 PM »
Reply with quote
Nikki, Ranju, Tabassum

Bahut khoob !

I really like this thread very much.

Rajbir
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #88 on: June 20, 2006, 03:21:43 PM »
Reply with quote
thanx nikki n rajbeer
Logged
ranjana
Guest
«Reply #89 on: June 21, 2006, 10:45:05 AM »
Reply with quote
thanks Rajbir..................bahut khub tabassum N nikki..............

ghar ki diwaro mein koi daraar na aane dijiye
apne rishto  ko in ghar ke kone mein saja ke rakahiye
ghar hota hai  har insaan ko pechaan ka aaiena
isko hamesha  apni hansi se gulazar sa rakhaiye
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:12:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer