Yaad Rakhna Zindagi Ka Safar Hai Ek Taraf Ka Raasta "Khwahish"

by khwaish on October 09, 2013, 12:24:21 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2589 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Train Ke Safar Mein Mere Saath Baithe Kuch Retired Government
Officers Apni-Apni Mrs Ke Saath Kaheen Ghumne Jaa Rahe The..
Unn Sab Ki Age Takreeban 50-55 Saal Ki Thi...Uss Waqt Aapas Mein
Yeh Baatein Ki Jaa Rahi Thi, Ki Aaj ki Yuva Peedhi Apni Zimmedariyon
Se Door Sirf Dekha-Dekhi,Competetion Ki Duniya Mein Guum Hai..
Mujhe Yeh Baatein Akharishit Kar gayi ke main Bhi Suunu
ke Aisa Kyun Keh Rahe Hai Yeh Sab..

Uss Dauraan Ek Buzurg Se Saheb Ne Yeh Baat kahee Ke
"Main Aaj Retired Age
Mein Hoon Aur Maine Aaj Tak Apne Khud Ke Liye Ek 2 Wheeler Gaadi Tak Nahi Khareedi,
Sirf BachoN Ki Padhai  Aur Insurance Ki Policies Ko Bharne Mein Meri saari Punji Kharch Ho Gayi
Aur Aaj Apne Hi Bache  Padh-Likh Kar Apne Bado Ko Bhoolte Jaa Rahe Hai Par Mujhe Afsos Nahi
Maine To Mera Farz Bakhoobi Nibhaya, Bacche Beshaq Yeh Sab Bhool Jaaye To Koi Gham Nahi......"

Suunkar Bahut Afsos Hua Aur Mujh Se Raha Naa Gaya..Main Khaas Uss Saheb Ke
Chehre Ko Hi Dekhta Reh Gaya  Ke Unkee Yeh Baat Mein Naa Jaane Kitna Dard,Kitni Mayussi
Kitni Majbooriyaan Chuupi Hai...

Dhan Hai Woh Mata-Pita Jo Apne BachoN Ki Khushi ke Liye
Unke Bhavishye Ke Liye Apni Zindagi Hi Samarpit Kar Dete Hai..Shayad Hi Aisa Koi Rishta Ho
Jis Mein Apni Khushi Se Bad Kar Kisi Aur ki Khushi Zyaada  Ehmiyat Rakhti Hai
kuch Likhne Ka Mann Ho Aaya.. Zaroor Saath Dijiyega....

Humara Haath Thaamkar Jisne Humein Chalna Seekhaya
Chalte-Chalte Kya Hum Woh Rastaa Chodd Dete Hai

Woh Bistar,Woh KitabeN,Woh Khilone Sab Saath Hai..!!!
CheezeN Sambhali Humne,Kya Hum Sirf Rishta Chodd Dete Hai

Yaad Rakhna Zindagi Ka Safar Hai Ek Taraf Ka Raasta..!!
Jo Pal Guzar Gaya So Guzar Gaya,Usse Phir Adhura Chodd Dete Hai

Aaj To Saath Hai, Kal Paas Sirf Inn Ki YaadeN Hongi..!!!
Apna Sab Qurbaan Kar,Yeh BachoN Ko Hurdum Hasta Chodd Dete Hai

Ghar Hoga Tera Aalishaan, Khuda Tujhe Aur Bhi Tarakki De..
Par Kya Hum Apne Maa-Baap Ko Akele Se Tanha Chodd Dete Hai

"Khwahish" Mohabbat Hi Duniya Ki Sabse Badi Daulat Hai..!!!
Woh Jeena Bhi Khaak Jeena,Jo Maa-Baap Ko Rota Chodd Dete Hai

                     tearyeyed Khwahish tearyeyed
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013

View Profile
«Reply #1 on: October 09, 2013, 12:45:15 AM »
Reply with quote
Retirement ki age kuch atpati nahi hai? 50-55 ki age aur retired officers?

Nice creation clap clap
Logged
laaiba
Guest
«Reply #2 on: October 09, 2013, 01:00:44 AM »

hamesha ki tara dilon ko jhanjodte khyalat hasaas dil ke akkas,
bohat bohat ache ashaar ,ain piroye hain khwahish ji ,.......
bohat bohat c daad,..................
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: October 09, 2013, 01:12:10 AM »
Reply with quote
Quote from: Mast Khalander  Applause :nana:link=topic=109531.msg1427078#msg1427078 date=1381279515
Retirement ki age kuch atpati nahi hai? 50-55 ki age aur retired officers?

Nice creation clap   :nana:clap

Mast Khalander Ji....Isliye Maine Wahaan "Takreeban" Lafz Ka Istemaal Kiya Tha Aur Rahi Dusri Baat Main Iss Kalaam Mein Uss Ehsaas Ko Zinda Karna Chaah Raha Tha, Shayad Main Unn Sab Ki Exact Umar Batane Mein Safal Naa Rahuun Isliye Aapse Muaafi Chahunga..Agli Baar Khayal Rakhunga ke pehle Kisi Se Umar Confirm Kar Loon Phir Kuch Likhoon...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: October 09, 2013, 01:31:28 AM »
Reply with quote
Dost,

Aaj hi kuch apne maa baap ki ehmiat aur ehsaas par kuch likha hai maine..thodi hi der main post karunga Insha'Allah..
Apki iss kalam ko parr kar bahaut acha laga..
Wakei, hume ehsaas hona chahiye..  tearyeyed tearyeyed
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khush rahiye..!
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2013, 01:51:33 AM »
Reply with quote
Waah-Waah..!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012

View Profile
«Reply #6 on: October 09, 2013, 01:54:26 AM »
Reply with quote
Dil ko chhootee huwee aur ek aham saamajik aur insaanee masle par aawaaz uthaatee aapkee rachna par daad Khwaahish ji
Logged
nashwani
Guest
«Reply #7 on: October 09, 2013, 02:28:48 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hmmmmmm..bahut hi gehra mudda hai aur uspar apke wo gehre lafz..

Jaan aa gayi iss mudde me khwahish jee..

Hats off to you! to you 4 writing this..happy9
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013

View Profile
«Reply #8 on: October 09, 2013, 06:01:41 AM »
Reply with quote
Mast Khalander Ji....Isliye Maine Wahaan "Takreeban" Lafz Ka Istemaal Kiya Tha Aur Rahi Dusri Baat Main Iss Kalaam Mein Uss Ehsaas Ko Zinda Karna Chaah Raha Tha, Shayad Main Unn Sab Ki Exact Umar Batane Mein Safal Naa Rahuun Isliye Aapse Muaafi Chahunga..Agli Baar Khayal Rakhunga ke pehle Kisi Se Umar Confirm Kar Loon Phir Kuch Likhoon...
I think the age of retirement is 58, but sure no 50 nor 55
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #9 on: October 09, 2013, 09:08:10 AM »
Reply with quote
Heart touching
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #10 on: October 09, 2013, 09:09:04 AM »
Reply with quote
bahut khoob, dil ko choo gayee aapki har line tearyeyed
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: October 09, 2013, 11:16:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013

View Profile
«Reply #12 on: October 09, 2013, 03:28:14 PM »
Reply with quote
bahot khoooob  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: October 09, 2013, 11:00:28 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Kya kahoon khwaish ji...bas aankhein nam ho gayi... hamesha ki tarah bahut gehre ehsaas.. dil se daaaaad qubool kijiyega...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #14 on: October 11, 2013, 03:36:10 PM »
Reply with quote
hamesha ki tara dilon ko jhanjodte khyalat hasaas dil ke akkas,
bohat bohat ache ashaar ,ain piroye hain khwahish ji ,.......
bohat bohat c daad,..................

Thankssssssssssss a Lottttttt Laaaiba Ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:48:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer