ye chehre

by bekarar on June 06, 2008, 08:41:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2628 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Reply with quote
kuch dino pahle ek vrdhdhashram me jaane ka mauka mila aur bas aane ke samay kuch ashq bah nikle jo aapki nazar.......

 tearyeyed tearyeyed
Kitane sunder, kitne bhole, kitane pyare the wo chehre,
popala munh, nam aankhen, ishwar jaise the wo chehre,

kuch sochte, kuch batate kuch chupate se wo chehre,
maa-baap aur dada-dadi, nana-nani se wo chehre,

har dard ko, har aah ko, hans ke chupaate se wo chehre
zindagi ko ab kaise bhi, dhote jaate se wo chehre,

kahaniyan apne dino ki, kah jaate se bhole chehre,
beete dino ki galatiyon pe pachtate se pyare chehre,

jawani ki un yadon ko, simetate sanjote se wo chehre,
budape ke aansoon ko, dhote-pirote se wo chehre,

chod gaye wo inhen yahan pe, jatan se jinko paala tha,
pyar dular se jinhen padaya, bahon me jhulaya tha,

kyon na tera fata kaleja, kyun na dahla hirday pashan,
kyon na bahe ashqon ke smundar, kaisi ye paapi santan,
chod diya jeevan ki sanjh me, kar di inki duniya veeran,
bhool gaya sab lok laaj, bhool gaya wo sab ehsaan



ab shayd koi mile apna, aaj to koi aa jaye,
mujhse maang ke maafi, shayad ghar pe fir se le jaaye,
mai bhi aise na manunga, kah dunga mai yahin theek hun,
tum apne bachchon ko sambhalo, mai to waise hi theek hun,
shayad ro dega wo bhi, aansu mere bhi chalakenge,
dhul jayenge gile shikve, fir pote sang khelenge.

kitani hi jhoothi aason ko jee lete hain ye chehre..
aise kitne hi dardon ko pee lete hain ye chehre..


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bayan chehre se ho rahi tere sitam ki KAHANI hai. by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard
Badltay Chehre-Badltay Mosam by Zamir Ka Qaidi in Miscellaneous Shayri
Haste hue Chehre.... :-) by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Marke Kisi Chehre Pe Rang Bhar Jaoon,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Usi Chehre Ko Har Chehre MeiN Dhundhe HaiN.... by Bishwajeet 'Musaahib' in Ghazals
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: June 06, 2008, 08:53:13 AM »
Reply with quote
bekarar ji bohut hi sundar peshakash hai ye poetry aapki taraf se .........bohut si ankahin baaton ko b bakhubi se darshaya hai aapne apne alfaazon mei
good work bekarar ji

har dard ko has kar pee jaatein se ye chehre
mushkil daur mei b na ghabraatein se ye chehre
bhala bura kya hai sab ye jaane
sukh dukh ko b ye pehchaane
aa jaayei koi musibat to
has kar sab seh jaate se ye chehre
e-auladon kuch to sharam karo
ye chehre tumhare apne hain
jinko tum thukra rahe ho
tumhe paalne k liye na jaane
kitne gam k daur se gujre se ye chehre
aaj tum bekhauf ho har aane wale tufaan se
yaad rakhna har ek khaata
hai us bhagwan pe
jaise karam kar rahe ho tum
waisa fal tum b paaoge
aane wale kal mei tum b
inhi chehron mei gine jaaoge
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: June 06, 2008, 09:01:05 AM »
Reply with quote
jaise karam kar rahe ho tum
waisa fal tum b paaoge
aane wale kal mei tum b
inhi chehron mei gine jaaoge

bahoot bahoot achcha laga aapke vichron ko jaan kar specially ye lines.............
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: June 06, 2008, 09:08:39 AM »
Reply with quote
shukriya bekarar ji
asli taarif k haqdaar to aap hain jo aapne is poetry k jariye har us nojavan ko jaagruk karne ki koshish ki hai jo apne budhe maa-baap ko dar dar ki dhokrein khane k liye chod dete hain. Aur hamne to bas wahi likha jo aksar hota hua dekha aaya hai
any way thanx to written this poetry
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: June 06, 2008, 09:12:22 AM »
Reply with quote
Beautiful creation Bekarar  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nice lines Bhawna.....!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: June 06, 2008, 09:15:27 AM »
Reply with quote
shukriya bekarar ji
asli taarif k haqdaar to aap hain jo aapne is poetry k jariye har us nojavan ko jaagruk karne ki koshish ki hai jo apne budhe maa-baap ko dar dar ki dhokrein khane k liye chod dete hain. Aur hamne to bas wahi likha jo aksar hota hua dekha aaya hai
any way thanx to written this poetry


bhawana ji kuch dino pahle mera ek vridhdhashram me jaana hua aur mai apane aap ko rok nahi paya.....
jinka koi nahi unke liye wo jagah thik hai lekin jinke bete bahu sab hain aur wo bhi...........
us dard ke to mai aas paas bhi nahi pahunch paaya appni kavita me....use sirf mahsoos hi kiya ja sakta hai......shayad
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: June 06, 2008, 09:17:49 AM »
Reply with quote
Beautiful creation Bekarar  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nice lines Bhawna.....!!


thanku talat ji.......a
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 06, 2008, 07:10:33 PM »
Reply with quote
Bekarar ji apki is kavita ne to rula diya.. kuch pal samjh hi nahi ayya, samye ruk sa gaya.. yah baatein hum jante hai ,, magar jab aise padne ko mil jaaye to sharm se sir jhuk jaate hai. Na jaane kaise koi insaan itna nishthur ho jaata hai jo apne ma-baap se old age main munh mord le... Aisa sochna bhi Paap hai.. magar jaise bhawna ne kaha .. karm yahi isi jameen per samne atte hai aor Mera is baat per poora vishwaas hai!!

maine pichle char saal main her tarah ke dard per likhne ki koshish ki hai.. magar kabhi is vishaye per likhne baithi hu to sirf ansoo hi hath ayye likh kabhi nahi saki.. ajj bhi maafi chahugi.. is se bada koi dard nahi.. jab ma-baap ko apne he bacho ke hath is tarah ka dukh uthana padein..uuff kaise ..kaise koi kar sakta hai yah atyachar wo bhi apne he ma-baap per..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 06, 2008, 07:27:47 PM »
Reply with quote
bekararji...sach mein aapne itna acha likha hai ki tareef ke liye alfaaz kam pad jaaye...aapne jo likha hai isse padhkar insaan sochne par zaroor majboor hota hai..hum to yeh kahenge ki aapne zindagi ki kadwi sachai ko alfaazo mein utara.. Applause Applause Applause  Applause

utna hi khoobsurat likha hai aapne bhi bhawna ji..bahut ache Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2008, 07:29:10 PM »
Reply with quote
kuch dino pahle ek vrdhdhashram me jaane ka mauka mila aur bas aane ke samay kuch ashq bah nikle jo aapki nazar.......

 tearyeyed tearyeyed
Kitane sunder, kitne bhole, kitane pyare the wo chehre,
popala munh, nam aankhen, ishwar jaise the wo chehre,

kuch sochte, kuch batate kuch chupate se wo chehre,
maa-baap aur dada-dadi, nana-nani se wo chehre,

har dard ko, har aah ko, hans ke chupaate se wo chehre
zindagi ko ab kaise bhi, dhote jaate se wo chehre,

kahaniyan apne dino ki, kah jaate se bhole chehre,
beete dino ki galatiyon pe pachtate se pyare chehre,

jawani ki un yadon ko, simetate sanjote se wo chehre,
budape ke aansoon ko, dhote-pirote se wo chehre,

chod gaye wo inhen yahan pe, jatan se jinko paala tha,
pyar dular se jinhen padaya, bahon me jhulaya tha,

kyon na tera fata kaleja, kyun na dahla hirday pashan,
kyon na bahe ashqon ke smundar, kaisi ye paapi santan,
chod diya jeevan ki sanjh me, kar di inki duniya veeran,
bhool gaya sab lok laaj, bhool gaya wo sab ehsaan



ab shayd koi mile apna, aaj to koi aa jaye,
mujhse maang ke maafi, shayad ghar pe fir se le jaaye,
mai bhi aise na manunga, kah dunga mai yahin theek hun,
tum apne bachchon ko sambhalo, mai to waise hi theek hun,
shayad ro dega wo bhi, aansu mere bhi chalakenge,
dhul jayenge gile shikve, fir pote sang khelenge.

kitani hi jhoothi aason ko jee lete hain ye chehre..
aise kitne hi dardon ko pee lete hain ye chehre..





Bekarar ji,

pehle aam aadmi -aur ub vridhaasram...aapne jo kuch likha he...aur jinke baare mein likha he woh to khula he..sub pudh sakte he aur taareef bhee karenge..koi shuk nahi..maarmik he dono hi kavita.
pur jaante he...mein kya soch raha hu...ki acchi soch rakhte hue bhee...sakshamta hote hue bhee..hum apne gum mein he itne doobey hue rahe ki parai peer ko sahejna ka aur sochne ka dyaan aaya bhee to nazarandaaz kar diya..yeh jaante hue ki agar parayi peer apna lo to apni peera kum ho jaati he...
perfection se koson kosn door hu main yeh ehsaas kara gayi aapki kavita..kyonki jo aisi soch nahi rakhte aur iske baare mein kuch na kahe veh to matra naddan he...aur humaare jaise loh jo sub jaante hue bhee aur sochte hue bhee bus sochte he reh jaaye...sharm aati he khud pur.

Aap yakeenan badhai ke patra he..umda ..buhut umda.

Prateek
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 06, 2008, 08:03:30 PM »
Reply with quote

Ek choti si koshish meri taraf se...iss poetry mein uss insaan ki baat kar raha hoon jisne apne buzurgo ki kadar na ki..zara gaur farmaiyega..


koi jaldi to koi rukh kar gaya,
zindagi mein har musaafir aakhir mein apne hi ghar gaya...

kadar karle,eh insaan apne buzurgo ki,
jab tak inka haath hai tere sar par hai,
tujhe koi aanch nahi,
jab inka haath na ho tere sar par to samajle,
tere iss mehal jaise ghar ka chat bhi gaya....

inn sukhi hui aankhon se jab koi ashk behta hai
to tadap uthti hai "KHWAISH" ki rooh,
aisa lagta hai ki jazbaaton ka samundar "khwaish" ko chu kar gaya..

agar apne MAA-BAAP ko hum kisi aur jageh par chod de,
to samaj lena ke  bech daala hai humne aaj apna zameer....
wah re insaan!! apne hi haath se,
zindagi ka aakhri zewar gaya....

jisne tere aankhon mein kabhi aansu tak na aane diye,
tu chod deta unhe apne halaat mein,kya yehi tera farz hai??
wah re nirdaeyi insaan,tere haath se tere maa-baap ka karz bhi gaya...

kabhi aaene mein apne aap ko zaroor dekhna eh insaan,
dekh kar, tu khud kahega,
kya yeh insaan main hoon??
DEKH TERA NASEEB BANDE, AAJ AAENA BHI TUJHSE DARR GAYA..

koi jaldi to koi rukh kar gaya,
zindagi mei har musafir aakhir mein,
apne hi ghar gaya..... tearyeyed



Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 06, 2008, 08:11:26 PM »
Reply with quote
Good one Khwaish ji!!!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: June 06, 2008, 08:29:42 PM »
Reply with quote
khwaish ji,

kaash kisi bhramit ki aankhe khol sake aapki kavita..aur koi besaahra hone se buch jaaye..khoob likha he.

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: June 07, 2008, 03:29:28 AM »
Reply with quote
khwahish ji, pooja ji, prateek ji......
hum sabhi us dard ko samjhen ya fir yaad hi kar len ki ye bhi ek dard hai duniya me......
aur ek guzarish kabhi time nikaalkar kisi nazdeeki vrdhashrm me jayen aur kuch ghante un logon ke saath bitayen.....
achcha lagega....shayad unme se kuch aapko daant bhi den ya fir aapki presence unhe achchi na bhi lage fir bhi wo andar hi andar bahut khush hote hain aisa laga mujhe......
halanki mai jis vrdhdha ashram me gaya tha wo south coimbatore me tha...aur just because of curiosity I visited that ..do-ek ko chodkar wo log sirf tamil me hi baat kar pa rahe thi.....
lekin yakeen karo humne itani baaten kee, ki do ghante bas furr se udd gaye......
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: June 07, 2008, 10:33:39 AM »
Reply with quote

Ek choti si koshish meri taraf se...iss poetry mein uss insaan ki baat kar raha hoon jisne apne buzurgo ki kadar na ki..zara gaur farmaiyega..


koi jaldi to koi rukh kar gaya,
zindagi mein har musaafir aakhir mein apne hi ghar gaya...

kadar karle,eh insaan apne buzurgo ki,
jab tak inka haath hai tere sar par hai,
tujhe koi aanch nahi,
jab inka haath na ho tere sar par to samajle,
tere iss mehal jaise ghar ka chat bhi gaya....

inn sukhi hui aankhon se jab koi ashk behta hai
to tadap uthti hai "KHWAISH" ki rooh,
aisa lagta hai ki jazbaaton ka samundar "khwaish" ko chu kar gaya..

agar apne MAA-BAAP ko hum kisi aur jageh par chod de,
to samaj lena ke  bech daala hai humne aaj apna zameer....
wah re insaan!! apne hi haath se,
zindagi ka aakhri zewar gaya....

jisne tere aankhon mein kabhi aansu tak na aane diye,
tu chod deta unhe apne halaat mein,kya yehi tera farz hai??
wah re nirdaeyi insaan,tere haath se tere maa-baap ka karz bhi gaya...

kabhi aaene mein apne aap ko zaroor dekhna eh insaan,
dekh kar, tu khud kahega,
kya yeh insaan main hoon??
DEKH TERA NASEEB BANDE, AAJ AAENA BHI TUJHSE DARR GAYA..

koi jaldi to koi rukh kar gaya,
zindagi mei har musafir aakhir mein,
apne hi ghar gaya..... tearyeyed





very touching words khwahish ji.......
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:01:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer