yeh alp bhee kitna adhik he

by Prateek Mardia on March 29, 2008, 04:21:31 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2205 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
Maine apni hasth-rekhaon ko behad gaur se padha he
atyant laghu jeevan mera mere liye kitna bada he!

sanshay isme kahan zara bhee
satya sarv-vidit-shaktishaali....
sukh ki ghadiyan bhagdarwaali
dukh ne kachue ki he chaal apnali!
fir jis jeevan ka parichay keval dukh se,
ya dukh he jiski paribhasha,
sukh bunkar jiase mrigtrishna,
reh jaaye keval ek abhillasha.....

aise jeevan ki aayu pur
kya rona, pachtana, shok manana....
 aur haan--mut hasna meri in mook rekhaon par bhee..
yeh vastvikta nahi darshaye,
inme to seemit gyan samaye
yeh alp bhee kitna adhik he.......
keval dil yeh baat samajhta he...
dukh ka har kshan kitna..
dheere dheere kat-ta he......


Prateek
...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KABHI YOUN BHEE TO HO! by yasir_sensitive in Ghazals
Mangi bhee to jindagi by Raj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
arz may bhee karta hooo by ajju_sweet in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
ek kavita un par bhee..... by Prateek Mardia in Shairi - E - Zindagi
mai bhee (aye jalim) by NETRAPAL in Shayri for Khumar -e- Ishq
syednaami
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2008, 01:47:46 AM »
Reply with quote
Yeh kavita mujh se chhupi rahee, aisa kyun Prateek mitr.
Aap jabhi kuchh likho to soochna deden.
Atti bhaavuk vichaar prastut kiye hain aap ne.

(S Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2008, 01:59:08 PM »
Reply with quote
good one prateek ji!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2008, 02:17:41 PM »
Reply with quote
Yeh kavita mujh se chhupi rahee, aisa kyun Prateek mitr.
Aap jabhi kuchh likho to soochna deden.
Atti bhaavuk vichaar prastut kiye hain aap ne.

(S Naami)


kuch kavitayein aapse darti hein--khin aap unhe aashawadi na bana de aur dard ka maza chala jaye--isliye aapke samne aane mein jhijhak rahi hongi! unhe kya pata tha..aap dushmanon ko un ke gharon se dhoond le aate he!

Shukriya aapne is kavita ki bhee sarahna ki.

Prateek

1
1
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2008, 02:19:31 PM »
Reply with quote
good one prateek ji!!

 bhaut shukriya pooja ji aapka.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2008, 02:38:52 PM »
Reply with quote
kuch kavitayein aapse darti hein--khin aap unhe aashawadi na bana de aur dard ka maza chala jaye--isliye aapke samne aane mein jhijhak rahi hongi! unhe kya pata tha..aap dushmanon ko un ke gharon se dhoond le aate he!

Shukriya aapne is kavita ki bhee sarahna ki.

Prateek

1
1

Kya mitr, ab hum koi kans, daitya ya yamraaj ke prateek to nahin hain na.
aap na batao par yeh kavitayen khud hi humen awaaz deti hain, kehti hain Kahan ho satyavaadi Harishchanra......


 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: May 06, 2008, 02:58:06 AM »
Reply with quote
Quote
sanshay isme kahan zara bhee
satya sarv-vidit-shaktishaali....
sukh ki ghadiyan bhagdarwaali
dukh ne kachue ki he chaal apnali!
fir jis jeevan ka parichay keval dukh se,
ya dukh he jiski paribhasha,
sukh bunkar jiase mrigtrishna,
reh jaaye keval ek abhillasha.....

Prateek aap bahut accha likhe hai.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2008, 06:53:20 AM »
Reply with quote
In ki visheshta ko parakhna koi saral kaam nahin. Yeh adbudh likhte hain.
Logged
sarthika
Guest
«Reply #8 on: May 06, 2008, 12:56:15 PM »
Reply with quote
Maine apni hasth-rekhaon ko behad gaur se padha he
atyant laghu jeevan mera mere liye kitna bada he!

sanshay isme kahan zara bhee
satya sarv-vidit-shaktishaali....
sukh ki ghadiyan bhagdarwaali
dukh ne kachue ki he chaal apnali!
fir jis jeevan ka parichay keval dukh se,
ya dukh he jiski paribhasha,
sukh bunkar jiase mrigtrishna,
reh jaaye keval ek abhillasha.....

aise jeevan ki aayu pur
kya rona, pachtana, shok manana....
 aur haan--mut hasna meri in mook rekhaon par bhee..
yeh vastvikta nahi darshaye,
inme to seemit gyan samaye
yeh alp bhee kitna adhik he.......
keval dil yeh baat samajhta he...
dukh ka har kshan kitna..
dheere dheere kat-ta he......


Prateek
...

Dukh ka har kshan kitne dheere dheere katata hai... wah!! Ati sunder!!

Karmo ka hai phal, jo tu bhogne ayya hai
Chota ho ab ho yah bada, kaya koi anter laya hai?

Laghu rekha ne to tujhko, khushi ka raag sunaya hai
Chal-kapat ki is dunia main mehmaan ban ke ayya hai

Moh-maya ka jaal hai sara, kis duvidha mai ayya hai
Dukh jo tu dukh na maane, phir kaya sukh, kaya dukh ayya hai!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: May 06, 2008, 01:57:58 PM »
Reply with quote
Aap ne bhi visheshta ka prayatna kar hrday ko kushal kar diya.
Atti sundar pantiyaan...
Dhanyavaad
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: May 06, 2008, 02:12:52 PM »
Reply with quote
In ki visheshta ko parakhna koi saral kaam nahin. Yeh adbudh likhte hain.

Syeednaami ji,

saadharan mein visheshtaye dhoond rahe he...kuch pahuche hue johri he!.aap jaise mitron ka haath sur pur rehna chaiye,aur kya chahiye.shukriya.

Prateek aap bahut accha likhe hai.

roja ji,bahut abhaari.

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: May 06, 2008, 02:16:18 PM »
Reply with quote
Dukh ka har kshan kitne dheere dheere katata hai... wah!! Ati sunder!!

Karmo ka hai phal, jo tu bhogne ayya hai
Chota ho ab ho yah bada, kaya koi anter laya hai?

Laghu rekha ne to tujhko, khushi ka raag sunaya hai
Chal-kapat ki is dunia main mehmaan ban ke ayya hai

Moh-maya ka jaal hai sara, kis duvidha mai ayya hai
Dukh jo tu dukh na maane, phir kaya sukh, kaya dukh ayya hai!!


Saarthika ji,

bahut accha likha he aapne bhee, is kavitsa ki gehrai ko samajhne aur apne vichaaron se is panne par hastakshar karne ke liye shukriya.

Prateek
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: May 06, 2008, 02:51:08 PM »
Reply with quote
Syeednaami ji,

saadharan mein visheshtaye dhoond rahe he...kuch pahuche hue johri he!.aap jaise mitron ka haath sur pur rehna chaiye,aur kya chahiye.shukriya.

roja ji,bahut abhaari.

Aap jaise mitron ka sahyog na hota to hum bhala kab apne sanskaaron par chal paate, yeh to prerna thi jo aapne hamaare haathon men upaadi ke swaroop thama di bhaya.

Aabhari

S Naami
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 28, 2008, 06:53:50 PM »
Reply with quote
bahut khoob!!!

bahut acha likha hai prateekji..aap ki likhi kavita padhne mein waqt zaroor lagta hai par padh kar anand aata hai..bahut ache..
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #14 on: May 28, 2008, 07:11:25 PM »
Reply with quote
bahut khoob!!!

bahut acha likha hai prateekji..aap ki likhi kavita padhne mein waqt zaroor lagta hai par padh kar anand aata hai..bahut ache..

khwaaish ji-khwaaish thee ki yeh kavita aap tuk pahuch-ti,pahuch gayi-sakoon he.

waqt ka aap bharte hein kyon dum
'waqt' to mere paas hein kum
khule dil se fir bhee hu lutaata
haasil tabhi raahat-e-ghum!

Prateek
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:20:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer