zara si takraar ka yeh natija nikal.......(nazar ghour)

by nazar ghouri on May 31, 2010, 12:16:27 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1960 times)
nazar ghouri
Guest
«Reply #15 on: June 03, 2010, 09:09:07 PM »
Reply with quote
khwaish saheb aapne pasand kiya dil khush hogaya,shukriya
Bahut Bahut Khoob Nazar Saheb!!!!

Bahut Hi Umda Peshkash!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #16 on: June 03, 2010, 09:19:42 PM »
Reply with quote
madhuwesh saheba aap ne hamesha meri aur mere jaise kai sikhne waalaon ki hausla afzai ki hai bahot bahot shukriya
Wow Nazar ji bahut hi khoob.great creation,bahut achi lagi aapke poem.excellent icon_salut Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #17 on: June 03, 2010, 09:24:05 PM »
Reply with quote
mamta saheba aap to aap hain aap ne pasand kiya aur itne achhe andaz main daad di hame bahot achha laga,shukriya
nAZAR SAHEB BEHAD KHOOBSOORAT OR CHUNINDA ALFAZON SE AAP NE APNI GAZAL KO SANWARA HAI MERE PAAS SHABD KAM HAIN BHAVNAYEN ZYADA HAIN SO DAAD QUBOOL FRMAYEN. EK CHOTI SI KOSHISH MERI OR SE BHI

KITANE SOORAJ QATL KIYE UJALON KE BEECH
WO ANDHERON KA SHAIDAI THA UJALON KE BEECH
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #18 on: June 03, 2010, 09:28:42 PM »
Reply with quote
khamosh bhai hausla afzai ke liye bahot bahot shukriya aap ka .isi tarha hausla badhate rahiye to hum kuch likh sakenge,



BAHUT KHOOB NAZAR BHAI MASHAALLAH.....BEHTREEN GHAZAL Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #19 on: June 03, 2010, 09:30:39 PM »
Reply with quote
bahot bahot shukar guzar hoon bhai mein aapka ke aap ne hamari ghazal ko padha aur pasand kiya isi tarha hausla badhate rahiyega.
Aafreen Aafreen
Kya Kehne Nazar Sahab Aapke
Bahut Hi Khoobsurat Ghazal
Bazm Ko Ata Ki Hai Aapne...
Ek Muqammal Peshkass Mubaarq
Yeh Sher Bada Sacha Aur Sacha Laga

Isaar-o-Takraar, Aah! Khuda Khair Kare.......!
Yehi Do Baatein Reh Gai Musalmaano'n Ke Beech.....!

Bahut Hi Umda....... Applause Applause Applause

Hazaron Dad....

Khush Rahen...


Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #20 on: June 03, 2010, 09:37:15 PM »
Reply with quote
jasbir saheb aap ne hamari koshish ko pasand kiya really i am very thankful to u.

wah bahut hi khoob nazar ji.... really nice..

jasbir singh
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #21 on: June 03, 2010, 09:55:53 PM »
Reply with quote
Riyaz bhai kaafi din baad bazm main aae sub khairiyat se hain na.aap ki daad ke liye  aapka teh dil se shukr guzar hoon
Bahot khoobsurat takhleeq hai Nazar ji. Ek ek sher shandaar aur ba-maani hai. Bahot achha laga aapka ye kalaam. Hazaaron daad qubool farmayen. Ye sher sabse achha laga:

aaj mere hauslaon ki haar yaqeeni hai.........!
dost bhi baithe hain  dushmanao'n ke beech.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #22 on: June 04, 2010, 07:13:15 PM »
Reply with quote
Ahl-e-mehfil ghazal hazir hai ,umeed karta hoon yeh meri koshish kuch hadd tak pasand bhi aegi.



Koi saazish ho jaae gi ujaalao'n ke beech....!
bas tum mujhe rehne do andherao'n ke beech...!

Zara si takraar ka, yeh natija nikal aaya....!
Deewarein oonchi ho gaein makaano'n ke beech..!

Jaane kis ka zarf chhoot gaya aakhir..........!
koi ro raha tha wahaan qahqahao'n ke beech....!

aaj mere hauslaon ki haar yaqeeni hai.........!
dost bhi baithe hain  dushmanao'n ke beech.....!

mein aur tu to nadaan hain phir bhi...........!
yahaan to ekhtelafaat hain daanishwaro'n ke beech.!

israar-o-takraar, aah! khuda khair kare........!
yehi do baatein reh gai musalmaanao'n ke beech.!

yeh yaqeen hogaya ujdi basti dekh kar..........!
chandh darinde bhi hain insaanao'n ke beech....!

                                                    
                                                   Hyderabad(India)
                                                  Cell:09885375957

Behtareen peshkash, nazar ghouri ji.. Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #23 on: June 06, 2010, 02:23:54 AM »
Reply with quote
shihab saheb aapki inayetaon ka karam hai kuch likhlete hain aap ne pasand kiya hausala badhaga.shukriya
Wah Wah Nazar Ji Kya Kehne Jawaab Nahi Aapka
Alfaaz Nahi Mere Pass Tareef Ke Liye...
Kya Hi Khoobsurat Kalaam Bazm Ko Aata Kiya Hai.
Aagaz Se Lekar Anjam Tak Behtareen Rahi Bahut Khub
Waqai Mein Parhke Dil Baagh Baagh Ho Gaya Mera
Ek Muqammal Peshkash...Bahut Bahut Mubaarq Ho
Hazaron Dad Hazir Hain Kabul Farmaayen...!


Khush Rahiye...


!Shihab~

Logged
SHABBIR AHMED HASHMI
Guest
«Reply #24 on: June 10, 2010, 09:49:47 AM »
Reply with quote
Nazar sab,
bohoth khub yaqeen janiye dil choukayi ye ghazal khas taor pe aap ka 5th sher to kya kehna waqt aur halaath ki munasibat se baata hi fikr mand sher oon jahelaon ke liye jo danishwar apne aapko kehte hai.
qair pher se wohi qustaqi maqhta kyo ke hona chaye pokhta is liye pher se change kiya ho.
                   "NAZAR"ye yaqeen hogaya ujdi basti dekh kar
                    chandh darinde bhi hai insaanao'n beech!   
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:58:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer