Zaroori Hai Khud Par Bhi Kuch Aitbaar Hona.....

by khwaish on March 23, 2009, 03:48:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4211 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Iss Poetry Mein Kuch Zindagi Ki Sachaiyon Ko Nazar Mein Rakh Kar Likh Raha Hoon..Zaroori Nahi Ke Har Insaan Iss Daur Se Guzre,yaa Kisi Imtehaan Ka Saamna Usse Karna Padhe,Par Jo Insaan Iss Daur Se Guzarta Hai,Woh Shayad Apne Aap Ko Iss Poetry Mein Dhaal Paaye,Umeed Karta Hoon,Aap Sab Ko Yeh Koshish Pasand Aaye....

Kaafi Nahi Hai Aaj ke Daur Mein Imaandaar Hona,
Bahut Zaroori Hai Ab Apna Bhi Dukaandaar Hona....

Har Waqt Lafzon Se Kahin Nahi Jaayegi Zindagi Ki Dastaan!!!
Bahut Zaroori Hai Ab Sab ka Samajdaar Hona.....

Kya Khoya,Kya Paaya!! Yeh Sab Taqdeer Ki Baatein Hai Eh Dost!!!
Zaroori Nahi Tera Yuh Sab Ke Beech Sharamsaar Hona....

Hai Waqt Ka Takaaza Ke Salaam Sirf Ubarte Hue Suraj Ko Karte Hai Log!!
Par Himmat na Haar,Zaroori Hai Khud Par Bhi Kuch Aitbaar Hona.....

Har Ek Ko Naa Suuna, Kya Beeti Tere Dil Mein,Jab Tu Tanha Tha!!
Sabse Badi Kamzori Hai Insaan Ke Liye,
Yuh Jazbaaton Ka Shikaar Hona.....

Imtehaan Ki Ghadi Par,Apna Hi Apno Se Door Ho Jaata hai!!!
Dilon Mein Faasle Badhte-Badhte Badh Hi Jaate Hai,
Zaroori Nahi Hamesha Apno Ke Beech Mein Deewar Hona.....

Jo Girte Ko Sambhaal Le,
Wahi Masiha Hai Aaj Ke Daur Mein "Khwaish"Aur Kuch Nahi!!
Uncha Woh Nahi Jo Unchi Baatein kare!!
Sabse Zaroori Hai Unche Vichaar Hona.....

"Khwaish" Tu Akela Hi Sahi Par Tu Kamzor Nahi,
Hausle Buland Rakh!! Insaan Ki Soch Hi Uski Pehchaan Hoti Hai,
Bahut Zaroori Hai Aaj Ke Daur Mein Aur kuch Nahi,
To Apni Soch Ka Hi Damdaar Hona....

         ~~~~~KHWAISH~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zaroori to naheen by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
~Main Khud se bhi kuch Chahata hoon~ by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Mera Hona Na Hona by Sonia01 in Shayri-E-Dard
khud se bhi mil na sako itne pas mat hona by raj_4u1007 in Miscellaneous Shayri
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2009, 03:56:15 PM »
Reply with quote
WAH WAH KHWAISH, WAH WAH.... bahut sahi farmaya aap ney
bahut badiya

jasbir singh
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 23, 2009, 04:51:06 PM »
Reply with quote
WAH WAH KHWAISH, WAH WAH.... bahut sahi farmaya aap ney
bahut badiya

jasbir singh

Bahut Bahut Shukriya Jasbir Paaji..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: March 23, 2009, 04:53:54 PM »
Reply with quote
Iss Poetry Mein Kuch Zindagi Ki Sachaiyon Ko Nazar Mein Rakh Kar Likh Raha Hoon..Zaroori Nahi Ke Har Insaan Iss Daur Se Guzre,yaa Kisi Imtehaan Ka Saamna Usse Karna Padhe,Par Jo Insaan Iss Daur Se Guzarta Hai,Woh Shayad Apne Aap Ko Iss Poetry Mein Dhaal Paaye,Umeed Karta Hoon,Aap Sab Ko Yeh Koshish Pasand Aaye....

Kaafi Nahi Hai Aaj ke Daur Mein Imaandaar Hona,
Bahut Zaroori Hai Ab Apna Bhi Dukaandaar Hona....

Har Waqt Lafzon Se Kahin Nahi Jaayegi Zindagi Ki Dastaan!!!
Bahut Zaroori Hai Ab Sab ka Samajdaar Hona.....

Kya Khoya,Kya Paaya!! Yeh Sab Taqdeer Ki Baatein Hai Eh Dost!!!
Zaroori Nahi Tera Yuh Sab Ke Beech Sharamsaar Hona....

Hai Waqt Ka Takaaza Ke Salaam Sirf Ubarte Hue Suraj Ko Karte Hai Log!!
Par Himmat na Haar,Zaroori Hai Khud Par Bhi Kuch Aitbaar Hona.....

Har Ek Ko Naa Suuna, Kya Beeti Tere Dil Mein,Jab Tu Tanha Tha!!
Sabse Badi Kamzori Hai Insaan Ke Liye,
Yuh Jazbaaton Ka Shikaar Hona.....

Imtehaan Ki Ghadi Par,Apna Hi Apno Se Door Ho Jaata hai!!!
Dilon Mein Faasle Badhte-Badhte Badh Hi Jaate Hai,
Zaroori Nahi Hamesha Apno Ke Beech Mein Deewar Hona.....

Jo Girte Ko Sambhaal Le,
Wahi Masiha Hai Aaj Ke Daur Mein "Khwaish"Aur Kuch Nahi!!
Uncha Woh Nahi Jo Unchi Baatein kare!!
Sabse Zaroori Hai Unche Vichaar Hona.....

"Khwaish" Tu Akela Hi Sahi Par Tu Kamzor Nahi,
Hausle Buland Rakh!! Insaan Ki Soch Hi Uski Pehchaan Hoti Hai,
Bahut Zaroori Hai Aaj Ke Daur Mein Aur kuch Nahi,
To Apni Soch Ka Hi Damdaar Hona....

         ~~~~~KHWAISH~~~~~


Applause

Bahut achhe Khwaish ji..

sach mein zindagi ki sachayi aapne in kuch lines me likh di hia.

really appreciative good work...

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2009, 08:09:17 PM »
Reply with quote
Bohat Achchi aur bohat sacchi baat kahi mere dost aur tumhare kehne ka andaz hi kuch hatke hain......Dad kabool ho
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: March 24, 2009, 02:18:34 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob likha hai aapne Khwayish.. 2nd and 3rd bahut hi khoobsurati se likha gaya hai... overall very good to read.  Applause Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: March 24, 2009, 07:02:32 AM »
Reply with quote
Applause  Applause  Applause  waaah waaah waaah
sach mei khwaish ji bohut achey se aapne zindgi mei jo paristithiyaan (situation) aati hain unmei kis tarike se apne aapko sambhal kar rakhna chaahiye kis tarike se zindgi ko ek alag najar se dekhna chaahiye b-khubi aapne apni poetry mei likha hai 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 24, 2009, 07:25:34 PM »
Reply with quote
Applause

Bahut achhe Khwaish ji..

sach mein zindagi ki sachayi aapne in kuch lines me likh di hia.

really appreciative good work...



Thankyou so much angel!!! it's always feel great to hear from you..thanks a lot. icon_salut
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 24, 2009, 07:43:28 PM »
Reply with quote
Bohot hi achcha Khwaish Dost ....  Applause Applause Applause Zindagi ka aaeena saamne laa diya aapne.....aur ye sher to bohot hi achcha kaha hai:

Hai Waqt Ka Takaaza Ke Salaam Sirf Ubarte Hue Suraj Ko Karte Hai Log!!
Par Himmat na Haar,Zaroori Hai Khud Par Bhi Kuch Aitbaar Hona.....


Bohot Khoob.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 31, 2009, 04:45:44 AM »
Reply with quote
Bohat Achchi aur bohat sacchi baat kahi mere dost aur tumhare kehne ka andaz hi kuch hatke hain......Dad kabool ho

Bahut bahut Shukriya Izzat-Afsai ke Liye Sajid Bhai..Umeed Karta Hoon,Aap Hamesha Yuhi saath dete Rahenge...
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #10 on: April 03, 2009, 04:56:25 PM »
Reply with quote
khoob'surat tarz-e-ada.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 07, 2009, 04:18:35 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob likha hai aapne Khwayish.. 2nd and 3rd bahut hi khoobsurati se likha gaya hai... overall very good to read.  Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Roja.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: April 07, 2009, 04:43:41 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hamesha ki tarah bahoot khoob khwaish!!! wah kaya baat hai... ek ek shabd... ek ek line... wah wah wah!! her ek line kamal ki hai magar yah do line....

Sabse Badi Kamzori Hai Insaan Ke Liye,
Yuh Jazbaaton Ka Shikaar Hona.....

bahoot khoob!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 07, 2009, 04:48:29 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hamesha ki tarah bahoot khoob khwaish!!! wah kaya baat hai... ek ek shabd... ek ek line... wah wah wah!! her ek line kamal ki hai magar yah do line....

Sabse Badi Kamzori Hai Insaan Ke Liye,
Yuh Jazbaaton Ka Shikaar Hona.....

bahoot khoob!!!


Bahut Bahut Shukriya Pooja..Aajkal Aapke Comments Padhne Ko Milte Hi Nahi..Umeed Karta Hoon,Aap Hamesha Saath de..Teh Dils se shukriya Pooja. notworthy icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 08, 2009, 05:56:49 PM »
Reply with quote

Applause  Applause  Applause  waaah waaah waaah
sach mei khwaish ji bohut achey se aapne zindgi mei jo paristithiyaan (situation) aati hain unmei kis tarike se apne aapko sambhal kar rakhna chaahiye kis tarike se zindgi ko ek alag najar se dekhna chaahiye b-khubi aapne apni poetry mei likha hai 


Bahut Bahut Shukriya Bhawna,Aapne iss poetry Ke Ehsaaas Ko Bakhoobi samjha,Yeh Jaankar Bahut khushi Hui..Umeed Karta Hoon,Aap Yuhi Hamesha Saath Dete Rahoge..Teh Dil se Shukriya Bhawna..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:53:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer