zarraa ... chalo kar le kashish zamaana kuchh aur

by zarraa on July 21, 2017, 05:17:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1244 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
humeiN chaahta hai banaana kuchh aur
chalo kar le koshish zamaana kuchh aur

hamaari haqeeqat humeiN hi pata
magar chhap raha hai fasaana kuchh aur

kade imtihaaN haNs ke deNge magar
ye har baat pe aazmaana kuchh aur

mohabbat meiN sood-o-ziyaaN* dekh mat
kamaana kuchh aur aur gaNwaana kuchh aur

sar aaNkhoN pe rakhte the ehsaaN tera
magar dil pe guzra jataana kuchh aur

gile jo karo to na aise karo
gila ho koyee aur taana kuchh aur

ye ho hum se bhi ya na un se bhi ho
bataana hai kuchh aur jataana kuchh aur

sukooN ye kisi bhi mahal meiN kahaaN
tere tinkoN ka aashiyaana kuchh aur

zareeye masarrat* ke yooN to bahaut
kishor* ik tera gungunaana kuchh aur

piyeNge naheeN "zarraa" kal se sharaab
karo to karo ab bahaana kuchh aur

- zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
masarrat = pleasure
kishor = the great singer kishor kumar
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: July 22, 2017, 04:43:37 AM »
Reply with quote
humeiN chaahta hai banaana kuchh aur
chalo kar le koshish zamaana kuchh aur

hamaari haqeeqat humeiN hi pata
magar chhap raha hai fasaana kuchh aur

kade imtihaaN haNs ke deNge magar
ye har baat pe aazmaana kuchh aur

mohabbat meiN sood-o-ziyaaN* dekh mat
kamaana kuchh aur aur gaNwaana kuchh aur

sar aaNkhoN pe rakhte the ehsaaN tera
magar dil pe guzra jataana kuchh aur

gile jo karo to na aise karo
gila ho koyee aur taana kuchh aur

ye ho hum se bhi ya na un se bhi ho
bataana hai kuchh aur jataana kuchh aur

sukooN ye kisi bhi mahal meiN kahaaN
tere tinkoN ka aashiyaana kuchh aur

zareeye masarrat* ke yooN to bahaut
kishor* ik tera gungunaana kuchh aur

piyeNge naheeN "zarraa" kal se sharaab
karo to karo ab bahaana kuchh aur

- zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
masarrat = pleasure
kishor = the great singer kishor kumar
kyaa baat hai, Rau ke saath dheron daad.
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:05:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer