ZARRAA - dasht dekha hai gulsitaaN dekha

by zarraa on September 09, 2013, 02:39:34 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2273 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
dasht dekha hai gulsitaaN dekha
saare aalam ko be-imaaN dekha 


(dasht = wilderness)

 
azm har hote naa-tawaaN dekha
har jatan jaate raayegaaN dekha


(azm = resolve, naa-tawaan = weak, jatan = effort, raayegaan = futile)


jitna waaiz ko sargaraaN dekha
utna rindoN ko meherbaaN dekha


(waaiz = preacher / advisor, sargaraaN = arrogant / haughty, rindoN = drunk people / carefree)


is ujarhti huee si bastee ke
paasbaanoN ko shaadmaaN dekha


(paasbaanoN = guardians / protectors, shaadmaaN = happy / mirthful


gul-e-khandaaN pe ro raha hai chaman
usne hai mausam-e-khizaaN dekha


(gul-e-khandaaN = blooming flowers)


raunak-e-raahguzar roz barhe
ik naya roz laa-makaaN dekha


(laa-makaaN = homeless)


aabla-pa koyee to tha guzra
pa ka giriyaaN sa ik nishaaN dekha


(aabla-pa = one with blisters on feet, giriyaaN = weeping)


dikh raha aaeene meiN jo chehra
yaad aata naheeN kahaaN dekha



jaam haathoN meiN pee naheeN sakte
baar isse bhi kya garaaN dekha


(baar = burden, garaaN = heavy)


gul hi gul khil wahaaN wahaaN uth’the
hum ne tujh ko jahaaN jahaaN dekha



tere mizhgaaN ke kham hi dekha kiye
haay ghamzaa tera kahaaN dekha


(mizhgaaN = eyelashes, kham = curves, ghamzaa = amourous glance)


baat tab tak lagee raqeeb ki sach
kehte jab tak tujhe n haaN dekha



ek dooje se yooN theeN ummeedeiN
ek ranjish ko darmiyaaN dekha


(ranjish = unpleasantness)


ghar ki veeraaniyoN se oob gaye
ja ke baazaar meiN makaaN dekha



ooNchee ooNchee imaaratoN ke makeeN
n zameeN dekhi aasmaaN dekha


(makeeN = residents)


jitna dekha bahaut hai dekh liya
maana zyaada naheeN jahaaN dekha



khaar “zarraa” chunooN to log kaheiN
koyee aisa n gul-fishaaN dekha


(khaar = thorns, gul-fishaaN = one who is scattering flowers)

-   ZARRAA
[/size][/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumko dekha hai dekha hai jab se by tushar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dekha… by maya01 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dekha Aaj Jab Tujhko Dekha......... by Nikhaar in Ghazals « 1 2  All »
Jidhar Bhi Dekha GairoN Ko Dekha ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha (zarraa) by zarraa in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 09, 2013, 02:52:48 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah Waah.........

Kya Kehne Zarraa Ji...Bahut bahut khoooob...

Har Ek Ashaar Lajawaab...Dil Se Daad..


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2013, 02:54:41 AM »
Reply with quote
Bahut hi achhi ghazal hai Zarra saheb . Kaise tareef karoon . Har sher meyaari aur khubsurat hai . Aisa khubsurat kalaam parh kar kuchh seekhne ko milta hai . aapka bahut shukriya aur dili mubarakbaad is khubsurat kalaam par . Mere pasandeeda in ashaar par khusoosi daad qubool kijye .

is ujarhti huee si bastee ke
paasbaanoN ko shaadmaaN dekha

Raunak-e-raahguzar roz barhe
ik naya roz laa-makaaN dekha

aabla-pa koyee to tha guzra
pa ka giriyaaN sa ik nishaaN dekha

jaam haathoN meiN pee naheeN sakte
baar isse bhi kya garaaN dekha

khaar “zarraa” chunooN to log kaheiN
koyee aisa n gul-fishaaN dekha
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2013, 03:32:18 AM »
Reply with quote
क्या बात है बहुत ही खूब.
dasht dekha hai gulsitaaN dekha
saare aalam ko be-imaaN dekha 


(dasht = wilderness)

 
azm har hote naa-tawaaN dekha
har jatan jaate raayegaaN dekha


(azm = resolve, naa-tawaan = weak, jatan = effort, raayegaan = futile)


jitna waaiz ko sargaraaN dekha
utna rindoN ko meherbaaN dekha


(waaiz = preacher / advisor, sargaraaN = arrogant / haughty, rindoN = drunk people / carefree)


is ujarhti huee si bastee ke
paasbaanoN ko shaadmaaN dekha


(paasbaanoN = guardians / protectors, shaadmaaN = happy / mirthful


gul-e-khandaaN pe ro raha hai chaman
usne hai mausam-e-khizaaN dekha


(gul-e-khandaaN = blooming flowers)


raunak-e-raahguzar roz barhe
ik naya roz laa-makaaN dekha


(laa-makaaN = homeless)


aabla-pa koyee to tha guzra
pa ka giriyaaN sa ik nishaaN dekha


(aabla-pa = one with blisters on feet, giriyaaN = weeping)


dikh raha aaeene meiN jo chehra
yaad aata naheeN kahaaN dekha



jaam haathoN meiN pee naheeN sakte
baar isse bhi kya garaaN dekha


(baar = burden, garaaN = heavy)


gul hi gul khil wahaaN wahaaN uth’the
hum ne tujh ko jahaaN jahaaN dekha



tere mizhgaaN ke kham hi dekha kiye
haay ghamzaa tera kahaaN dekha


(mizhgaaN = eyelashes, kham = curves, ghamzaa = amourous glance)


baat tab tak lagee raqeeb ki sach
kehte jab tak tujhe n haaN dekha



ek dooje se yooN theeN ummeedeiN
ek ranjish ko darmiyaaN dekha


(ranjish = unpleasantness)


ghar ki veeraaniyoN se oob gaye
ja ke baazaar meiN makaaN dekha



ooNchee ooNchee imaaratoN ke makeeN
n zameeN dekhi aasmaaN dekha


(makeeN = residents)


jitna dekha bahaut hai dekh liya
maana zyaada naheeN jahaaN dekha



khaar “zarraa” chunooN to log kaheiN
koyee aisa n gul-fishaaN dekha


(khaar = thorns, gul-fishaaN = one who is scattering flowers)

-   ZARRAA
[/size][/size]
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #4 on: September 09, 2013, 03:51:27 AM »
Reply with quote
Umda kalaam aur umda ashaar ! Meanings last me likhen to zyada acha rahe baaki jaisa thik lage.  Dheron daad kubool karen!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: September 09, 2013, 09:24:44 AM »
Reply with quote
ye ghazal yaa motyon kee ladee hai dheron daad

dasht dekha hai gulsitaaN dekha
saare aalam ko be-imaaN dekha 

(dasht = wilderness)

 
azm har hote naa-tawaaN dekha
har jatan jaate raayegaaN dekha

(azm = resolve, naa-tawaan = weak, jatan = effort, raayegaan = futile)


jitna waaiz ko sargaraaN dekha
utna rindoN ko meherbaaN dekha

(waaiz = preacher / advisor, sargaraaN = arrogant / haughty, rindoN = drunk people / carefree)


is ujarhti huee si bastee ke
paasbaanoN ko shaadmaaN dekha

(paasbaanoN = guardians / protectors, shaadmaaN = happy / mirthful


gul-e-khandaaN pe ro raha hai chaman
usne hai mausam-e-khizaaN dekha

(gul-e-khandaaN = blooming flowers)


raunak-e-raahguzar roz barhe
ik naya roz laa-makaaN dekha

(laa-makaaN = homeless)


aabla-pa koyee to tha guzra
pa ka giriyaaN sa ik nishaaN dekha

(aabla-pa = one with blisters on feet, giriyaaN = weeping)


dikh raha aaeene meiN jo chehra
yaad aata naheeN kahaaN dekha


jaam haathoN meiN pee naheeN sakte
baar isse bhi kya garaaN dekha

(baar = burden, garaaN = heavy)


gul hi gul khil wahaaN wahaaN uth’the
hum ne tujh ko jahaaN jahaaN dekha


tere mizhgaaN ke kham hi dekha kiye
haay ghamzaa tera kahaaN dekha

(mizhgaaN = eyelashes, kham = curves, ghamzaa = amourous glance)


baat tab tak lagee raqeeb ki sach
kehte jab tak tujhe n haaN dekha


ek dooje se yooN theeN ummeedeiN
ek ranjish ko darmiyaaN dekha

(ranjish = unpleasantness)


ghar ki veeraaniyoN se oob gaye
ja ke baazaar meiN makaaN dekha


ooNchee ooNchee imaaratoN ke makeeN
n zameeN dekhi aasmaaN dekha

(makeeN = residents)


jitna dekha bahaut hai dekh liya
maana zyaada naheeN jahaaN dekha


khaar “zarraa” chunooN to log kaheiN
koyee aisa n gul-fishaaN dekha

(khaar = thorns, gul-fishaaN = one who is scattering flowers)

-   ZARRAA

Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: September 09, 2013, 09:47:27 AM »
Reply with quote
wah wah bohut khub dear
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: September 09, 2013, 10:16:30 AM »
Reply with quote
dasht dekha hai gulsitaaN dekha
saare aalam ko be-imaaN dekha 


gul-e-khandaaN pe ro raha hai chaman
usne hai mausam-e-khizaaN dekha


dikh raha aaeene meiN jo chehra
yaad aata naheeN kahaaN dekha



ek dooje se yooN theeN ummeedeiN
ek ranjish ko darmiyaaN dekha


jitna dekha bahaut hai dekh liya
maana zyaada naheeN jahaaN dekha



-   ZARRAA
[/size][/size]

Wah wah wah Zarra jee
eik se eik badhkar ashaar
eik aala aur umda peshkash
bahut bahut mubarakbaad aur quoted ashaar par khususi daad
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: September 09, 2013, 10:20:10 AM »
Reply with quote
bhai jaan bahut waqt baad aapko padhne ka mauka mila, aur yakeen maaniye saaheb "it was everything to wait for if not more" maza aa gaya,meri dili mubaraqbaad aur ek rau qubool farmaiye...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #9 on: September 09, 2013, 01:23:45 PM »
Reply with quote
dikh raha aaeene meiN jo chehra
yaad aata naheeN kahaaN dekha


ghar ki veeraaniyoN se oob gaye
ja ke baazaar meiN makaaN dekha

WAAH WAAH ZARRA JI AAPKI LIKHAI QABIL E TAREEF HAI ,
UMDA KALAAM ALA KHYAAL SE LABREZ

Applause
Applause
Applause
Applause
Applause
Applause
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #10 on: September 09, 2013, 01:41:29 PM »
Reply with quote
dili daad, bas waaaah hi waaah
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: September 09, 2013, 02:26:20 PM »
Reply with quote

Khwaahish ji .... Bahaut bahaut shukriya apka ki apne itni inaayat ata ki ....

Waah Waah Waah Waah.........

Kya Kehne Zarraa Ji...Bahut bahut khoooob...

Har Ek Ashaar Lajawaab...Dil Se Daad..


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #12 on: September 09, 2013, 02:29:18 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: September 09, 2013, 03:14:38 PM »
Reply with quote

Janaab Hassan sahab .... Aadaab ..... Apki hauslafzaayee par kis qadar mashkoor o mamnoon hoon aur apki zarranawaazee ka kis qadar qarzdaar hooN .... bayaan naheen kar pa raha ..... bas tah e dil se apka laakh baar shukriya ada kar raha hooN .... Duaon ke saath .... Zarraa

Bahut hi achhi ghazal hai Zarra saheb . Kaise tareef karoon . Har sher meyaari aur khubsurat hai . Aisa khubsurat kalaam parh kar kuchh seekhne ko milta hai . aapka bahut shukriya aur dili mubarakbaad is khubsurat kalaam par . Mere pasandeeda in ashaar par khusoosi daad qubool kijye .

is ujarhti huee si bastee ke
paasbaanoN ko shaadmaaN dekha

Raunak-e-raahguzar roz barhe
ik naya roz laa-makaaN dekha

aabla-pa koyee to tha guzra
pa ka giriyaaN sa ik nishaaN dekha

jaam haathoN meiN pee naheeN sakte
baar isse bhi kya garaaN dekha

khaar “zarraa” chunooN to log kaheiN
koyee aisa n gul-fishaaN dekha
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: September 09, 2013, 04:14:11 PM »
Reply with quote
क्या बात है बहुत ही खूब.

Shukriya Ravindera ji
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:02:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer