ZARRAA --- DOSTEE KE SAFAR MEIN AAYAA HOON

by zarraa on May 05, 2014, 01:18:31 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1570 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
hazireen-e-mehfil ko tasleem-o-aadaab. ek arsey ke baad is bazm ki khidmat meiN aayaa hooN....ghair maujoodgee ki koyee safaayee naheeN dooNga, bas kuchh haalaat aise the ki behad chaahne par bhi haazir n ho sakaa, par yahaaN n aane ki kamee bhi baraabar mehsoos hotee rahee...bas aap sab se maazrat chaahooNga ... aur ek taazaa koshish pesh karne ki ijaazat bhi...duaoN ke saath... zarraa


dostee ke safar meiN aayaa hooN

dushmanoN ki nazar meiN aayaa hooN



phir teree rehguzar meiN aayaa hooN

muddatoN baad ghar meiN aayaa hooN

 

har qadam us ke naqsh-e-paa* paaooN

kaisee mushkil dagar meiN aayaa hooN

 

koyee ab baat tak naheeN kartaa

bas teree baat bhar meiN aayaa hooN

 

tere kooche se bas guzarna hai

kitne lambe safar meiN aayaa hooN

 

aaj charchaa hai har taraf teraa

aaj maiN bhi khabar meiN aayaa hooN

 

haNs n gham-naame* par mere maiN hi

soorat-e-naamabar* meiN aayaa hooN

 

n tabassum* sa surkh lab pe rahaa

ashq sa chashm-e-tar* meiN aayaa hooN

 

deep aaNgan ka ban sakaa n teraa

maah ban baam-o-dar* meiN aayaa hooN

 

raat bhar aas ne jagaa ke rakhaa

phir fareb-e-sahar meiN aayaa hooN

 

shauq-e-parwaaz* ban ke ai saiyyaad

dekh har baal-o-par* meiN aayaa hooN

 

aah par meree haNsne waaloN suno

aag bhar kar jigar meiN aayaa hooN

 

ab to chiddh kar meraa junooN bhi kahe

kyooN is aashuftaa-sar* meiN aayaa hooN

 

daad bhi mil rahee hai tohmat si

bazm-e-ahl-e-hunar* meiN aayaa hooN

 

“zarraa” ruswaa kahaaN kahaaN n huwa

jab se tere asar meiN aayaa hooN

 

-          ZARRAA

 

*

naqsh-e-paa = footprints

gham-naame = message of sorrow

naamabar = messenger

tabassum = smile

chashm-e-tar = wet eyes

baam-o-dar = terrance and door

shauq-e-parwaaz = passion for flying

baal-o-par = feather and wing

aashuftaa-sar = mad headed

bazm-e-ahl-e-hunar = gathering of skilled people
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 05, 2014, 02:04:35 AM »
Reply with quote
beautiful beautiful dheron daad ek rau bhee
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 05, 2014, 02:25:47 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
bohut umda waaaaaahhhhhhhhhhh keep writing
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2014, 03:29:47 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Daad qabool karein,,,bahut khoob.
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #4 on: May 05, 2014, 10:35:32 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Hee Umdah. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Surindar.N  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sanchit
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2014, 12:13:17 PM »
Reply with quote
Bahut khoob kaha aapne... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2014, 12:19:36 PM »
Reply with quote
Khubsurat ghazal ki tareef karna bhi bahut mushkil hota hai. Hamesha ki tarah aapka kalaam khubsurat hai . Zyada din ghair moujoodgi mahsoos hone lagti hai . Guzarish hai ki apne kalaam se nawate rahye.
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #7 on: May 05, 2014, 12:41:53 PM »
Reply with quote
zarraa sahab.... ghazal ka ek ek sher kamaal hai.... aapse guzarish hai ki ab jaiyega nahin.... hamen aise hi khubsurat ghazalen sunate rahiyega.... bahut khub.....

 Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: May 05, 2014, 05:58:54 PM »
Reply with quote
beautiful beautiful dheron daad ek rau bhee

Shukriya Saini sahab
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2014, 07:33:44 PM »
Reply with quote
hazireen-e-mehfil ko tasleem-o-aadaab. ek arsey ke baad is bazm ki khidmat meiN aayaa hooN....ghair maujoodgee ki koyee safaayee naheeN dooNga, bas kuchh haalaat aise the ki behad chaahne par bhi haazir n ho sakaa, par yahaaN n aane ki kamee bhi baraabar mehsoos hotee rahee...bas aap sab se maazrat chaahooNga ... aur ek taazaa koshish pesh karne ki ijaazat bhi...duaoN ke saath... zarraa


dostee ke safar meiN aayaa hooN

dushmanoN ki nazar meiN aayaa hooN

main ne pahle hi kaha tha mujh se dosti mangi padd sakti hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

phir teree rehguzar meiN aayaa hooN

muddatoN baad ghar meiN aayaa hooN

subha ka bhhoola.................. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

har qadam us ke naqsh-e-paa* paaooN

kaisee mushkil dagar meiN aayaa hooN

 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard meri chaal chalo ge to apni chaal bhi bhhool jaao ge!

koyee ab baat tak naheeN kartaa

bas teree baat bhar meiN aayaa hooN

  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

tere kooche se bas guzarna hai

kitne lambe safar meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

aaj charchaa hai har taraf teraa

aaj maiN bhi khabar meiN aayaa hooN

badnaam hue to kya hua naam nahin hua Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

haNs n gham-naame* par mere maiN hi

soorat-e-naamabar* meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

n tabassum* sa surkh lab pe rahaa

ashq sa chashm-e-tar* meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

deep aaNgan ka ban sakaa n teraa

maah ban baam-o-dar* meiN aayaa hooN

  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

raat bhar aas ne jagaa ke rakhaa

phir fareb-e-sahar meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

shauq-e-parwaaz* ban ke ai saiyyaad

dekh har baal-o-par* meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

aah par meree haNsne waaloN suno

aag bhar kar jigar meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ab to chiddh kar meraa junooN bhi kahe

kyooN is aashuftaa-sar* meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

daad bhi mil rahee hai tohmat si

bazm-e-ahl-e-hunar* meiN aayaa hooN

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

“zarraa” ruswaa kahaaN kahaaN n huwa

jab se tere asar meiN aayaa hooN

  Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

-          ZARRAA

 

*

naqsh-e-paa = footprints

gham-naame = message of sorrow

naamabar = messenger

tabassum = smile

chashm-e-tar = wet eyes

baam-o-dar = terrance and door

shauq-e-parwaaz = passion for flying

baal-o-par = feather and wing

aashuftaa-sar = mad headed

bazm-e-ahl-e-hunar = gathering of skilled people


Mr Particle mujhe chhup-chhupa kar bura kah gay phir bhi ek rau deti hoon iss buraai per mere icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower! [/color] rau ke liye intezar kar lo
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: May 05, 2014, 10:53:59 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
bohut umda waaaaaahhhhhhhhhhh keep writing

Shukriya Jeet ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: May 06, 2014, 12:56:50 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Daad qabool karein,,,bahut khoob.

Shukriya Ravi ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: May 06, 2014, 01:25:34 PM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Hee Umdah. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Surindar.N  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Bahaut bahaut shukriya Surindarn ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 06, 2014, 03:49:47 PM »
Reply with quote
hazireen-e-mehfil ko tasleem-o-aadaab. ek arsey ke baad is bazm ki khidmat meiN aayaa hooN....ghair maujoodgee ki koyee safaayee naheeN dooNga, bas kuchh haalaat aise the ki behad chaahne par bhi haazir n ho sakaa, par yahaaN n aane ki kamee bhi baraabar mehsoos hotee rahee...bas aap sab se maazrat chaahooNga ... aur ek taazaa koshish pesh karne ki ijaazat bhi...duaoN ke saath... zarraa


dostee ke safar meiN aayaa hooN

dushmanoN ki nazar meiN aayaa hooN



phir teree rehguzar meiN aayaa hooN

muddatoN baad ghar meiN aayaa hooN

 

har qadam us ke naqsh-e-paa* paaooN

kaisee mushkil dagar meiN aayaa hooN

 

koyee ab baat tak naheeN kartaa

bas teree baat bhar meiN aayaa hooN

 

tere kooche se bas guzarna hai

kitne lambe safar meiN aayaa hooN

 

aaj charchaa hai har taraf teraa

aaj maiN bhi khabar meiN aayaa hooN

 

haNs n gham-naame* par mere maiN hi

soorat-e-naamabar* meiN aayaa hooN

 

n tabassum* sa surkh lab pe rahaa

ashq sa chashm-e-tar* meiN aayaa hooN

 

deep aaNgan ka ban sakaa n teraa

maah ban baam-o-dar* meiN aayaa hooN

 

raat bhar aas ne jagaa ke rakhaa

phir fareb-e-sahar meiN aayaa hooN

 

shauq-e-parwaaz* ban ke ai saiyyaad

dekh har baal-o-par* meiN aayaa hooN

 

aah par meree haNsne waaloN suno

aag bhar kar jigar meiN aayaa hooN

 

ab to chiddh kar meraa junooN bhi kahe

kyooN is aashuftaa-sar* meiN aayaa hooN

 

daad bhi mil rahee hai tohmat si

bazm-e-ahl-e-hunar* meiN aayaa hooN

 

“zarraa” ruswaa kahaaN kahaaN n huwa

jab se tere asar meiN aayaa hooN

 

-          ZARRAA

 

*

naqsh-e-paa = footprints

gham-naame = message of sorrow

naamabar = messenger

tabassum = smile

chashm-e-tar = wet eyes

baam-o-dar = terrance and door

shauq-e-parwaaz = passion for flying

baal-o-par = feather and wing

aashuftaa-sar = mad headed

bazm-e-ahl-e-hunar = gathering of skilled people


Waah Waah Waah Waah Waah......

Kya Kehne Zarraa Ji...Bahut Bahut Khooooob...!!!!

Har Ek Sher lajawaaab...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: May 06, 2014, 07:44:49 PM »
Reply with quote

Mr Particle mujhe chhup-chhupa kar bura kah gay phir bhi ek rau deti hoon iss buraai per mere icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower! [/color] rau ke liye intezar kar lo

MR PARTICLE  aap ka rau haazir hai icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:19:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer