ZARRAA --- zindagi tujh ko hi nazar ki hai

by zarraa on June 16, 2013, 01:27:08 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2216 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #15 on: June 17, 2013, 04:24:54 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Zarra ji,
Bahut umdaa ghazal kahi hai aapne.Dili Mubarakbaad qabool kijiye.

Sudhir ji ... Apka tah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #16 on: June 17, 2013, 04:41:58 PM »
Reply with quote
सुन्दरतम आदरणीया  ज़ारा जी //हार्दिक बधाई आपको  sunny

Ram ji ... pasand karne ke liye apka tah e dil se shukriya ada karta hoon
Logged
laaiba
Guest
«Reply #17 on: June 17, 2013, 05:26:47 PM »
Reply with quote
waah khubsurat kalaam ,...........bohat c daad,..............
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #18 on: June 17, 2013, 05:37:00 PM »
Reply with quote
chaaheiN jis tar’ha bhi basar ki hai
zindagi tujh ko hi nazar ki hai


dar pe tere n jo guzar paayee
zindagi sarf idhar-udhar ki hai

(sarf = spend)


hum ne kya-kya n khud se uzr kiye
tab to ja kar kaheeN guzar ki hai

(uzr = excuses/pretext)


qaabiz-e-arsh haiN ke khaak-nasheeN
hum ko auroN ne hi khabar ki hai

(qaabiz-e-arsh = occupant of the sky, khaak-nasheeN = dust dweller)


zulf ki chhaaNv ho ke qabr ki dhool
haisiyat bas pate hi bhar ki hai


zeest kaamil n raayegaaN guzri
kharch yooN naap-tol kar ki hai

(zeest = life, kaamil = accomplished, raayegaaN = futile)


dar-ba-dar hona hai naseeb bhi kuchh
aarzoo ki bhi tere dar ki hai


manziloN se to kab ke haiN bezaar
justajoo bas kisi safar ki hai

(bazaar = disgusted, justajoo = quest)


ab to mar kar hi chain aayega
ye thakan bhi to umr bhar ki hai


hum haiN tohmat uthaane waaloN meiN
kya inaayat ye apne sar ki hai

(tohmat = false accusations/slander, inaayat = kindness/favour)


ho tagaaful ka gair se kya gila
qadr khud ki kaho kidhar ki hai

(tagaaful = neglect)


wo n hum hi shifa ke the haqdaar
bhool ismeiN n chaaragar ki hai

(shifa = healing, chaaragar = one who treats)


apne sarmaaye laala-o-gul the
chaah unheiN laala-o-guhar ki hai

(sarmaaye = capaital/wealth, laala-o-gul = red tulips & flowers, laala-o-guhar = red gems & pearls)


ye maraasim ke daag rak’kho sahej
saaree pooNjee ye zeest bhar ki hai

(maraasim = relationship, zeest = life)


do saza do sabak n “zarraa” ko
har khataa jaan-boojh-kar ki hai


- ZARRAA


sir, gr88888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 , mind blowing, marvelous, outstanding its a real fragrance of a perfect ghazal--------rau is due because i have already given to mr qadeer it was pending.

zindabaad---zindabaad
Logged
aqsh
Guest
«Reply #19 on: June 17, 2013, 08:36:39 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah zarraa ji. bahut hi khoob kalaam se nawaza hai aapne. behad umda khayaal rahe. aapko hamari hazaron dili daad qubool ho.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #20 on: June 17, 2013, 09:05:19 PM »
Reply with quote
wah wah wah, bahut hi khoob, wah wah

jasbir singh

Apka bahaut bahaut shukriya Jasbir ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #21 on: June 18, 2013, 12:01:51 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob zarra sahab..dhero daad..happy9

ye aashar khaas rahe..

qaabiz-e-arsh haiN ke khaak-nasheeN


hum ko auroN ne hi khabar ki hai

manziloN se to kab ke haiN bezaar
justajoo bas kisi safar ki hai

bahut bahut khoob zarra sahab..dhero daad..happy9


Pasand karne ka bahaut bahaut shukriya Nashwani ji

ye aashar khaas rahe..

qaabiz-e-arsh haiN ke khaak-nasheeN
hum ko auroN ne hi khabar ki hai

manziloN se to kab ke haiN bezaar
justajoo bas kisi safar ki hai




Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #22 on: June 18, 2013, 02:07:19 AM »
Reply with quote

Bhupinder ji ....apka 1000 shukriya Usual Smile thank you !!

Bahut Khoob aur 1000 daad..........................
ab to mar kar hi chain aayega
ye thakan bhi to umr bhar ki hai


hum haiN tohmat uthaane waaloN meiN
kya inaayat ye apne sar ki hai"

Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #23 on: June 18, 2013, 02:40:31 AM »
Reply with quote
bahut hee naayaab aur beshqeematee kalaam dheron daad

Itni dariyadili se daad dekar hauslazfzaayee karne ka bahaut bahaut shukriya Saini sahab !!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #24 on: June 18, 2013, 02:51:49 AM »
Reply with quote
bade dinoN baad kisi ko urdu-arabic lafzon ka istemaal karte dekh raha huN, mujhe ghazal pasand aayi saaheb, par matla haasil-e-ghazal laga, vo alag hi class hai.... yunhi likhte rahiye saaheb aur bazm ko roshan karte rahiye...!!

Taish ji .... Apke khayaal bade dilchasp aur naye lagte hain, jinhein aap khule dil se bayaan karte hain ...  chaahein apke qalaam mein hon ya apki daad mein ...: bahaut achchha lagta hai .... Janaab waqt dene ka, gaur karne ka aur ise kisi laayak smajhne ka bahaut bahaut shukriya !
Logged
sbechain
Guest
«Reply #25 on: June 18, 2013, 03:21:03 AM »
Reply with quote
chaaheiN jis tar’ha bhi basar ki hai
zindagi tujh ko hi nazar ki hai
janab aisi qurbani ki zaroorat nahin hai
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
dar pe tere n jo guzar paayee
zindagi sarf idhar-udhar ki hai
kyon mere dar pe kaante bichheye hue the ya honey comb hai ya koi bala ya aseb ka pahra hai . tumhari fitrat hi kud idhar udhar karne ki hai. mere laakh mana karne pe bhi kabhi meri baat maana hai Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
(sarf = spend)


hum ne kya-kya n khud se uzr kiye
tab to ja kar kaheeN guzar ki hai
haan pretend saari zindagi ki hai. mujh se to roz hi karte ho. khuda se daro aur sahi rasta akhtiyaar karo khud ko hi dhokha de rahe ho mera kya Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
(uzr = excuses/pretext)


qaabiz-e-arsh haiN ke khaak-nasheeN
hum ko auroN ne hi khabar ki hai
kuch baato.n pe jab tak khud se tasdeeq na karo yaqeen na karo. warna budd gumaani ka khdsha rahta hai Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
(qaabiz-e-arsh = occupant of the sky, khaak-nasheeN = dust dweller)


zulf ki chhaaNv ho ke qabr ki dhool
haisiyat bas pate hi bhar ki hai
hasiyat to insaan ke aamaal mein chhupi hui hai ye to bahu samjhne wale aur yaqeen karne wale pe hai icon_flower icon_flower icon_flower

zeest kaamil n raayegaaN guzri
kharch yooN naap-tol kar ki hai
kifaayat shari zaroori hai aur zindagi mein discipline to bahut zaroori hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
(zeest = life, kaamil = accomplished, raayegaaN = futile)


dar-ba-dar hona hai naseeb bhi kuchh
aarzoo ki bhi tere dar ki hai
ab iss sher pe tabsira munasib nahin agar ye khuda ki baat hai to phir main ye kahoo.n gi gi agar khuda razi hai to ye aarzi takleef koi maani nahin rakhti mere liye icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

manziloN se to kab ke haiN bezaar
justajoo bas kisi safar ki hai
haan main bhi yehi sochti hoon safar jab tak acha ghuzar jaaye shukr hai khuda ka kyon ki ye duniya to mere liye manzil nahin hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
(bazaar = disgusted, justajoo = quest)


ab to mar kar hi chain aayega
ye thakan bhi to umr bhar ki hai
kise pata baad maut ke kya hoga. gabra kar kahte hain ki mar jaayein ge mar ke bhi chain na aaya to kidhar jaaye ge icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

hum haiN tohmat uthaane waaloN meiN
kya inaayat ye apne sar ki hai
ye ilzaam nahin bohtaan hai mere sra pe main muaf nahin karoo.n gi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
(tohmat = false accusations/slander, inaayat = kindness/favour)


ho tagaaful ka gair se kya gila
qadr khud ki kaho kidhar ki hai
haan ji suna hai na ghar ki murgi daal baraabar Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
(tagaaful = neglect)


wo n hum hi shifa ke the haqdaar
bhool ismeiN n chaaragar ki hai
bander wali haalat hai tumhaari jabhi marham lagaao use kured kar phir zakhm haraa kar dete ho Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
(shifa = healing, chaaragar = one who treats)


apne sarmaaye laala-o-gul the
chaah unheiN laala-o-guhar ki hai
mujhe sirf gulab pasand hain-tumhaari information wrong hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
(sarmaaye = capaital/wealth, laala-o-gul = red tulips & flowers, laala-o-guhar = red gems & pearls)


ye maraasim ke daag rak’kho sahej
saaree pooNjee ye zeest bhar ki hai
per aaj kal rishte bhi kanzor ho chuke hain icon_silent icon_silent icon_silent
(maraasim = relationship, zeest = life)


do saza do sabak n “zarraa” ko
har khataa jaan-boojh-kar ki hai
tum ne ghalti qabool ki iss se badi baat kya hai
icon_flower icon_flower icon_flower
- ZARRAA

ek rau deti hoon zarra....!

zarra ji main 7 sher se zayada kisi ghazal mein comments nahin karti hoo.n chahe wo koi bhi likhe. aap ka her kalaam bahut lamba hota hai per pahli baar mujhe ye bahut acha lag to main ne comments kiya. guzaarish ye hai ki aainda agar aap 7 sher se hi saji ghazal likhein to acha hoga mujhe kaafi waqt laga is pe tabsira karne mein kyon ki ye ghazal mijhe kaafiiiiiii pasand aai .aap bahut khoob likhte ho
icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #26 on: June 18, 2013, 04:24:11 AM »
Reply with quote
waah! behad umda ashaar! daad!
waah! behad umda ashaar! daad!

Kaash ji ... Apki meherbaanee .... Shukriya !
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #27 on: June 18, 2013, 06:17:50 PM »
Reply with quote

sir, gr88888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 , mind blowing, marvelous, outstanding its a real fragrance of a perfect ghazal--------rau is due because i have already given to mr qadeer it was pending.

zindabaad---zindabaad

now accept the rau,sir
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #28 on: June 18, 2013, 08:34:12 PM »
Reply with quote
waah khubsurat kalaam ,...........bohat c daad,..............

Laaiba ji ... Apka bahaut bahaut shukriya !!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #29 on: June 18, 2013, 11:04:45 PM »
Reply with quote

sir, gr88888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 8888888888888888888888888888888888888888888888888 , mind blowing, marvelous, outstanding its a real fragrance of a perfect ghazal--------rau is due because i have already given to mr qadeer it was pending.

zindabaad---zindabaad

Janaab MB ji ... Dost apne jis mohabbat jis dariyadilee se apni daad ka anmol tohfa is khaaksaar ki jholi mein daala, usse kis qadar mamnoon hoon bayaan ke bahaar hai !!! Aur rau dene ke liye aapne dobaara laut kar aane ki zehmat uthaayee, bas apki nawazish aur inaayat hai .... Tah e dil se sar jhukakar apki daad ka shukriya ada karta hoon .... dua ke saath ....zarraa
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:19:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer