ZINDAGEE KA KHEL.................

by ranjana on May 02, 2006, 06:53:15 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3888 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
zindagi ka khel.........

bahut purani yaad ko aaj hamne yaad karke dekha hai..........

teri har baat ko awaz bana kar dekha hai...........

sisak raha hai aaj dil fir mera tute, adhure armano se.......

aaj unhi armano ko khali pade "samaye' main saja kar dekha hai.........

likhta raha hai mera dil na jane tere liye kya, kya........

par khali pade is kagaz ko "nazro' se bhar kar dekha hai......

bhar lu tujh ko apni baho main ........

bas isi waqt ke intazar mein apni" umar "ko dhalte maine dekha hai.........

har pal , har saans mein saath hai tu............

bas isi khayal ko apni "zindgi ka khel " bana ke dekha hai..........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: May 02, 2006, 10:41:52 AM »
Reply with quote
good one Ranju.......

zindgi ke khel mai kabhi hhar hai kahbi hai jeet
rahun mai tera bankar issi mai hai meri jeet
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: May 02, 2006, 11:33:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
good one Ranju.......

zindgi ke khel mai kabhi hhar hai kahbi hai jeet
rahun mai tera bankar issi mai hai meri jeet



thanks Vikas............

haan zindgee ka khel hai yah kabhi haar ,kabhi jeet.
tu mujhse dur .aprichit , fir bhi man mein preet......
hai itna malum ki tu hai har saans mein..
basa hua aise man mein jaise ek  sangeet...........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: May 02, 2006, 11:59:15 AM »
Reply with quote
Guud one again Ranju

Zindgi se humne payar to nahi tha
jeene ka koi bahana to nahi tha
adhron tere ko chum sakun aisa koi
irada to nahi tha........

mil kar chalun do kadam sath tere
man mahi humsafar banne ka
koi irada toh nahi tha......

kuch to teri batoo mai aiy mere jaana
nahi to tere saathi banne ka
koi irada toh nahi tha.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2006, 05:43:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Guud one again Ranju

Zindgi se humne payar to nahi tha
jeene ka koi bahana to nahi tha
adhron tere ko chum sakun aisa koi
irada to nahi tha........

mil kar chalun do kadam sath tere
man mahi humsafar banne ka
koi irada toh nahi tha......

kuch to teri batoo mai aiy mere jaana
nahi to tere saathi banne ka
koi irada toh nahi tha.......




tune jo diya saath hamara
jeevan mein phool khil gaye...
mila jo tere haatho ka sahara.....
bahkate bahkte ham sambhal gaye.......
dekha jo tune pyari nazaro se hame......
teri nazaro main ham kho gaye........
tum jo bane prerna mere geeto ke ......
toh tere pyar ke saath mere geet bhi mahak gaye..........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2006, 06:28:57 AM »
Reply with quote
Mahak gayi mere saanse teri saanso se
dil mai kasak uthi teri chaht se
labon pe koi geet aaya tere aane se...
mere zindgi mai aayi bahar tere aanse se......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2006, 07:46:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Mahak gayi mere saanse teri saanso se
dil mai kasak uthi teri chaht se
labon pe koi geet aaya tere aane se...
mere zindgi mai aayi bahar tere aanse se......


aisa lagata hai dabe pawan fir....
zindgee ke andhiyaare main tum aao ho.
beete din mere virah vedana ke
yun bahar ban ke mujh per tum chhaye ho...........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2006, 08:49:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
Mahak gayi mere saanse teri saanso se
dil mai kasak uthi teri chaht se
labon pe koi geet aaya tere aane se...
mere zindgi mai aayi bahar tere aanse se......


aisa lagata hai dabe pawan fir....
zindgee ke andhiyaare main tum aao ho.
beete din mere virah vedana ke
yun bahar ban ke mujh per tum chhaye ho...........


dil chahta hai tum yun hi likhti raho
aur mai ban bawara yun hi phadta rahun..
geet tum gungunati raho mai yun hi sunta rahu..
aaye zindgi ki aakhiri shaam meri
aur mai tumhe yun hi takta rahun......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2006, 02:30:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
Mahak gayi mere saanse teri saanso se
dil mai kasak uthi teri chaht se
labon pe koi geet aaya tere aane se...
mere zindgi mai aayi bahar tere aanse se......


aisa lagata hai dabe pawan fir....
zindgee ke andhiyaare main tum aao ho.
beete din mere virah vedana ke
yun bahar ban ke mujh per tum chhaye ho...........


dil chahta hai tum yun hi likhti raho
aur mai ban bawara yun hi phadta rahun..
geet tum gungunati raho mai yun hi sunta rahu..
aaye zindgi ki aakhiri shaam meri
aur mai tumhe yun hi takta rahun......





jaise nadi ki rawanee laharo se hai.......
waise mere geeto ki kahani tumse hai......
yun hi har pal hamara saath rahe........
fir chahe zindgee ki subah ya shaam rahe.....
bas hamaari har saans pyar ke geeto ke naam rahe
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: May 04, 2006, 05:37:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
Quote from: "ranjana"
Quote from: "vikas2210"
Mahak gayi mere saanse teri saanso se
dil mai kasak uthi teri chaht se
labon pe koi geet aaya tere aane se...
mere zindgi mai aayi bahar tere aanse se......


aisa lagata hai dabe pawan fir....
zindgee ke andhiyaare main tum aao ho.
beete din mere virah vedana ke
yun bahar ban ke mujh per tum chhaye ho...........


dil chahta hai tum yun hi likhti raho
aur mai ban bawara yun hi phadta rahun..
geet tum gungunati raho mai yun hi sunta rahu..
aaye zindgi ki aakhiri shaam meri
aur mai tumhe yun hi takta rahun......





jaise nadi ki rawanee laharo se hai.......
waise mere geeto ki kahani tumse hai......
yun hi har pal hamara saath rahe........
fir chahe zindgee ki subah ya shaam rahe.....
bas hamaari har saans pyar ke geeto ke naam rahe



Ranju Nice one..........

tumse milna baate karna bada accha lagta hai
kaya hai yeh kyun hai yeh
par jo bhi ha
bada accha lagta hai......(n/m)
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 04, 2006, 06:28:35 AM »
Reply with quote
maine pahle bhi ek baar kasam khayee thee....
zindgee pahle bhi sharmyee thee.......kumhalyee thee.
aur yeh wada kiya tha apne aap se
fir kabhi pyar ke geet nahi gaauangi...
kisi ne pukara bhi toh aage bad jaauangi
koi darwaza agar khula bhi toh palat jaauangi.
fir tere kampate hottho ki suni hansee
zindgee fir pyar ka jaal bunti rahi -bunti rahi
dur rahi tujhe , magar meri tanha raaten  tera khwab chunti rahi...
barf pighalee mere dil ki ......
aur dil mein ek shola sa lahra hi gaya ....
teri chupchaap nighaon ko sulagate paate..
meri bezaar tabiyat ko bhi pyar aa hi gaya............{n/m}
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #11 on: May 04, 2006, 07:02:52 AM »
Reply with quote
good Ranju.

zindgi ki har shaam ho tere sang
yehi aarzoo hai
zindgi mai tere naa aaye kahi ki gum
yehi aarzu hai

tu rahe mere sang har sunn
bas ab yehi arman hai.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 04, 2006, 08:54:07 AM »
Reply with quote
jhuki jhuki palko ka bayan hai.
ise kya naam de?
dur tak gahri khamoshi hai ...
ise kya naam de.?

pyar ka iqarar yun to.
kar liya hai hamne tumne,
kahne ko kuch fir hile hain lab .
kya ise naam de...........?n/m
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #13 on: May 04, 2006, 09:18:46 AM »
Reply with quote
meri badrang zindgi mai
tere paayr ke do bolon ne
phoolo ke rang bhar diye
jane kahan gayi jo ek
maut ki jo gandh(smell) thi mere charo our
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: May 04, 2006, 09:56:01 AM »
Reply with quote
ek umar asi bhi milti hai
jo sirf tumhare liye hoti hai,
tab koi aur nahi hota.
bas ek jeevan hota hai.
jo sirf tumahre liye hota hai..

ek awaz asi bhi aati hai,
jo sirf tumhe bulati hai
tab aur koi nahi hota
bas ek pal hota hai.........
jo sirf tumhe jagata hai........

kuch samjhe vikas ji............. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer