Mirza Nazar
Aghaaz ae Shayar
Rau: 3
Offline
Waqt Bitaya:12 hours and 3 minutes.
Posts: 45 Member Since: Mar 2016
|
|
|
Laakh soch kar samajh na paaye, Zindagi aakhir hai kyaa? Koi to hoga? jo samjhaaye, Zindagi aakhir hai kyaa? Ab kaise bhala koi jiye is benaam se naam ko, Naam se hai zindagi pr kisi ko na samjh aaye, Koi to hoga? Jo samjhaaye, Zindagi aakhir hai kyaa? Laakh soch kar samajh na paaye, Zindagi aakhir hai kyaa?
Kehne ko to kaal bada hai, Jine ke liye bus pal pada hai, Pal pal karke isko bhar de, Ye zindagi ka ghada hai, Kabhi zindagi hai is pal me, Pr nahi wo aane waale kal me, Jo bhi hai wo hai is pal me, Guzar gaya to hai ek kal me, Kal ka kyaa karega bande, Karega jo bhi kar is pal me, Kyaa bus hai itni aashaaye, Koi to hoga? Jo samjhaaye,
Har ek kal me koi aata hai, Jo naa aaya wo laata hai, Kuch na kuch wo sikhlaata hai, Firse gum wo ho jaata hai, Kabhi kabhi jahan hota hai, Kabhi koi, kahan hota hai? Ye samajh bhi kambakht tab aati, Jab saath koi nahi hota hai, Kyaa ye hai karti wafaaye? Koi to hoga? Jo samjhaaye,
Matlab ki baat ko samjhe wo, Kisi se jiska matlab ho, Na samjhe wo bus baat ka matlab, Jis baat ka koi matlab ho, Ujaale ho to saath jahan hai, Andhere me saaya to ho! Na saath khud ka saaya deta hai, Jahan chaaya andhera ho, Kyaa yahi hai, jo hai balaaye? Koi to hoga? Jo samjhaaye,
Kisi ko dard pata hota hai, Par hota nahi ehsaas hai, Kisi ko khushiyaa pata hoti hai, Par hoti nahi wo paas hai, Gila karte hai sabhi, sabhi se, Jo bhi hai wo aas hai, Ab Kaise kisi ko pata chale, Kisko kiski pyaas hai? Tawakko utha do sabhi se, Kyaa hai sahi ye salaaye? Koi to hoga jo samjhaaye
Ye zindagi aakhir hai kya? Laakh soch kar samajh na paaye, Koi to hoga? Jo samjhaaye.
|