ZINDAGI AUR KHWAAB

by tabassum shakeel on August 22, 2006, 04:49:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2115 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usake udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya

dost meri ek titali bhi to thi
jisake rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo titali muskurai ud gai

meri muththi me bahut se juganu the
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muththi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi

ek chidiya roz gana gati thi
har subah khidaki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahati thi
par meri aawaz us jaisi na thi

ek patang udati falak me door thi
uskaa thin thin dolna achcha laga
dor usaki thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur ro di main

chahaten poori nahi ho paati hain
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #1 on: November 20, 2006, 08:07:30 AM »
Reply with quote
har zindagi hi dekhiye to vanvas aaj hai
sab apni sarzameeno se door ja pade
yaad e watan liye sab hi yahaan tanha se ji rahe
kuchh raam hain akele kahinseeta bhi saath hai
vanvaas to lekin phirbhi vanvas hai
hai rizq aisi cheez hame le jahaan na jaae
ham pe khuda raham rahe jo na ye karaae
sab bhagaten isake liye dar se bedar aaj
ghar hai jahan vo khali pade door ham rahe
ham zindagi bhi kaat rahe soch ke ye bas
jaise hi moqa hamk mila ham bhi jaaen ghar
par jab bhi gae ghar ye laga ye nahi tha ghar
ham door rahe itna ki ye badal gaya
saaron ka baat karne ka tareeqa badal gaya
sabne hi hai ye maan liya ham yahaan nahi
aur ham to ab yahaan ke rahe na vahaan ke ham
ab sochate hain konse ghar ko jaae ham
ae zindagi mazaaq na kar thak chuke hain ham
ham ko kahin ka tu bhi kar ki thak chuke hain ham
pardes hi ko des bana itna pyar de
yaad e watan ko dil se mere ab nikal de

Logged
djpaddystudio7
Guest
«Reply #2 on: November 21, 2006, 07:02:08 PM »
Reply with quote
bahut khoob


meri zindagi ik khwaab hai
naa jaane kitni lambi yeh raat hai
na jaane kitni hi karvate main badaltaa hoon
par kabhi bhi is gehri neend se nahin jaag paataa hoon
Logged
shama ghai
Guest
«Reply #3 on: October 07, 2010, 02:07:24 AM »
Reply with quote
yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usake udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya

dost meri ek titali bhi to thi
jisake rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo titali muskurai ud gai

meri muththi me bahut se juganu the
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muththi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi

ek chidiya roz gana gati thi
har subah khidaki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahati thi
par meri aawaz us jaisi na thi

ek patang udati falak me door thi
uskaa thin thin dolna achcha laga
dor usaki thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur ro di main

chahaten poori nahi ho paati hain
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 03:36:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer