Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi "Khwaish"

by khwaish on April 19, 2010, 10:44:41 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 14204 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Insaan Kayi Baar Apni Zindagi Se,Kuch Yuh Pareshaan Ho jaata Hai Ke Chaah Kar Bhi Usse Koi Nayi Raah Nazar Nahi Aati Aur Iss Duniya Mein Shayad Hi koi Aisa Insaan Ho,Jo Yeh keh sake Ke Mujhe Kisi Baat Ka Koi Gham Nahi Yaa Apni Zindagi Se Koi Shikayat Nahi..Iss Nazm Mein Ek Aise Insaan Ka Zikr Kar Raha Hoon Jo khud Se Yeh Baat Kehta Hai Ke Zindagi Khud mujhe Badalte waqt Ke saath Jeena Sikhati Hai..Iss Nazm Ko Zaroor Padhiyega..

Zindagi Ko kaise Jeena Hai
Yeh Zindagi Khud Mujhe Seekha Gayi..

Auron Ko Rota Dekh,Yeh Aankhein Bhi Ro Padhti Thi
Ab To Aadat Hi Nahi Rone Ki,
Aankhon Ko Yeh pathar Sa Bana Gayi..

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...

Yahan Dard Hi Dard Ki Dawa Hai!!
Yeh Haqeeqat Hai,
Haqeeqat Se Yeh roobaroo Karwa Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...

Jisse Hum Apna Maante Hai
Usse Khud Se Door Jaate Dekh Kabhi Alwida Nahi Keh Paate
Par Ab To Tanhaiyon Se Yeh Dosti karwa Gayi

Zindagi khud Mujhe Jeena Seekha Gayi....

Kuch Benaam Si Lakeeron Ko
Kaagaz Par Utaarta Raha!!
Hairaan Hoon, Apne Hi jazbaaton ko Yeh Shayari Bana Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...

Doston se Waffa Ki umeede Naa Rahi Ab!!
Guzarte Hue Daur ke Saath-Saath,
Badalte Hue Waqt Ki Tasveer Dikha gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi....

Duniya Ke Iss Bazaar Mein,
Koi Gham Ka Khareedaar Nahi!!!
Yeh Aaj Ke Duniya Ki Sachai Hai Jo Mere Rooh Mein Sama Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi....

"Khwaish" Chaahe Kuch Bhi Ho,Har Haal Mein Muskuraana Zaroori Hai!!
Zinda Rehne ka Jazba Bhi Ek Aag Ki Tarah Hai,
Jo Mere Nas-Nas Mein Laga Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi.....


                   ~~~~~Khwaish~~~~~



Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: April 19, 2010, 03:11:17 PM »
Reply with quote
Wah...Bas kya kahoun main tariff main...Yeh nazm mere dil main sama gayi...bahaut khoob...kuch lines toh bahaut hi sunder hai...Tanhayi se dosti..wah..shayad mere liye hi likha hai...bahaut ache... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2010, 03:49:23 PM »
Reply with quote
Iss nazm ki taarif kya karu....zindagi ki sachaayi ko byaan karti aapki ye nazm kai anjaane swaalon k jwaab de gayi......sach kha aapne...zinda rehna bhi ek jazba hai...bas ye jazba har shakhs mein kayam rahe.....bas zindagi tanha basar na ho.....ho sakein toh tanhaiyon se zindagi ki dosti mat karvaiyega khwaish ji.... Usual Smile.........itni acchi nazm k liye dhero taaliyan........
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause....................
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #3 on: April 19, 2010, 09:49:03 PM »
Reply with quote
bahot khoob khwaish sahaab,..

Yahan Dard Hi Dard Ki Dawa Hai!!
Yeh Haqeeqat Hai,
Haqeeqat Se Yeh roobaroo Karwa Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...


Kuch Benaam Si Lakeeron Ko
Kaagaz Par Utaarta Raha!!
Hairaan Hoon, Apne Hi jazbaaton ko Yeh Shayari Bana Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...

Doston se Waffa Ki umeede Naa Rahi Ab!!
Guzarte Hue Daur ke Saath-Saath,
Badalte Hue Waqt Ki Tasveer Dikha gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi....

Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 19, 2010, 11:54:48 PM »
Reply with quote
Bhut hi khoob ...........kya bolon ....  Applause Clapping Smiley Thumbs UP hello2 icon_salut

bilcul sach hai

Jindgi khud jeena sikha hi deti hai
Roti hui ankhon ko bi hansa deti hai
Zara bi kafa na ho eh jindgi jeene vale
Tokar kha ke b yeh chalna sikha hi deti hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2010, 05:40:20 AM »
Reply with quote
Bahut hi achchhi peshkash Khwaish Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2010, 05:41:33 AM »
Reply with quote
Nice response Ghouri Ji N  Neel Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2010, 06:01:09 AM »
Reply with quote
Bahut umda poem likhi hai Khwaish ji. Padhkar kuchh sochne majboor ho gaya. Haqeeqat bayaan ki hai aapne. Bahot khoob.

Duniya Ke Iss Bazaar Mein,
Koi Gham Ka Khareedaar Nahi!!!
Yeh Aaj Ke Duniya Ki Sachai Hai Jo Mere Rooh Mein Sama Gayi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 20, 2010, 07:21:46 AM »
Reply with quote
Wah...Bas kya kahoun main tariff main...Yeh nazm mere dil main sama gayi...bahaut khoob...kuch lines toh bahaut hi sunder hai...Tanhayi se dosti..wah..shayad mere liye hi likha hai...bahaut ache... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Teh Dil Se Shukriya Bhai Rahim!!!

Aapne Apna Waqt Diya,Iss Nazm Ke Ehsaas Ko Samjha..

Aapka Bahut Bahut Shukriya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 20, 2010, 09:47:57 AM »
Reply with quote
Iss nazm ki taarif kya karu....zindagi ki sachaayi ko byaan karti aapki ye nazm kai anjaane swaalon k jwaab de gayi......sach kha aapne...zinda rehna bhi ek jazba hai...bas ye jazba har shakhs mein kayam rahe.....bas zindagi tanha basar na ho.....ho sakein toh tanhaiyon se zindagi ki dosti mat karvaiyega khwaish ji.... Usual Smile.........itni acchi nazm k liye dhero taaliyan........
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause....................

Inn Der Saari taaliyon ke Liye Teh Dil Se shukriya Pooja..

Aapne Iss Nazm ke Dard Ko Sahi Maayne Mein Samjha..

Aapne Apna Waqt Diya..Aap Ka Teh Dil se Shukriya Pooja..

Aage Bhi Yuhi Saath Dete Rahiye.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 20, 2010, 02:52:12 PM »
Reply with quote
bahot khoob khwaish sahaab,..

Yahan Dard Hi Dard Ki Dawa Hai!!
Yeh Haqeeqat Hai,
Haqeeqat Se Yeh roobaroo Karwa Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...


Kuch Benaam Si Lakeeron Ko
Kaagaz Par Utaarta Raha!!
Hairaan Hoon, Apne Hi jazbaaton ko Yeh Shayari Bana Gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi...

Doston se Waffa Ki umeede Naa Rahi Ab!!
Guzarte Hue Daur ke Saath-Saath,
Badalte Hue Waqt Ki Tasveer Dikha gayi

Zindagi Khud Mujhe Jeena Seekha Gayi....



Bahut Bahut Shukriya Nazar Saheb Aapka.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 21, 2010, 09:52:15 AM »
Reply with quote
Bhut hi khoob ...........kya bolon ....  Applause Clapping Smiley Thumbs UP hello2 icon_salut

bilcul sach hai

Jindgi khud jeena sikha hi deti hai
Roti hui ankhon ko bi hansa deti hai
Zara bi kafa na ho eh jindgi jeene vale
Tokar kha ke b yeh chalna sikha hi deti hai

Bahut Bahut Shukriya Neelji.. Usual Smile

Aapne Bhi Bahut Khoob Likha.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 21, 2010, 10:10:14 AM »
Reply with quote
Bahut hi achchhi peshkash Khwaish Ji

Bahut bahut Shukriya Rajeshji.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 22, 2010, 08:42:34 AM »
Reply with quote
Bahut umda poem likhi hai Khwaish ji. Padhkar kuchh sochne majboor ho gaya. Haqeeqat bayaan ki hai aapne. Bahot khoob.

Duniya Ke Iss Bazaar Mein,
Koi Gham Ka Khareedaar Nahi!!!
Yeh Aaj Ke Duniya Ki Sachai Hai Jo Mere Rooh Mein Sama Gayi

Riyaz Ji Aapne Iss Nazm Ko Baariki Se Padha,Iss Ehsaas Ko Samjha,teh Dil se Aapka Shukriya Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: April 23, 2010, 02:00:56 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Khwaish DostClapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Ek baar phir se apni shayari ke zariye Zindagi ki talkh haqeeqat se rubru karwa diya aapne.... BOhot hi Khoob !!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:17:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer