zindagi ki kitaab meiN hum ne - ZARRAA

by zarraa on May 25, 2013, 05:17:45 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2528 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
zindagi inqalaab meiN hum ne
ki basar izteraab meiN hum ne

(izteraab = restlessness)


jo n maayoosiyoN meiN guzre the
din guzaare itaab meiN hum ne

(itaab = anger)


yaar apna sa koyee dhooNdh liya
kisi khaanaa-kharaab meiN hum ne

(khaanaa-kharaab = wretched)


baat apni bhi haashiyoN pe likhi
zindagi ki kitaab meiN hum ne

(haashiyoN = margins)


hai khafaa hum se kaafila saara
dasht dekha saraab meiN hum ne

(dasht = desert, saraab = mirage)


hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne

(sabzah = greenery)


daad par fan luta diya saaraa
bhool kar di hisaab meiN hum ne


mat gira zulf rukh pe yooN bhi tujhe
bas hai paaya naqaab meiN hum ne

(rukh = face)


ishq khud se tha so wo sharmaaye
jab kaha dekha khwaab meiN hum ne


dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

(uriyaaN = naked)


chaaNdnee raat aur hasrateiN chand
gharq kar deeN sharaab meiN hum ne

(gharq = drown)


kya imaarat ke qad se kaam humeiN
dekha aalam habaab meiN hum ne

(aalam = world, habaab = bubble)


rind the kaun the tamaashaayee
jaanaa maqtal ke baab meiN hum ne

(rind = free spirited, maqtal = place of slaughter, baab = door gate)


kya sazaa doge kar rakheeN haiN jamaa
mastiyaaN har azaab meiN hum ne

(azaab = punishment)


baat cherhee dawaa ki “zarraa” se
dard paaya jawaab meiN hum ne


- ZARRAA
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 25, 2013, 05:25:38 PM »
Reply with quote
waah waaah zarra lajwaab kalaam pesh kiya hai apne
ek rau to banta hai
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2013, 05:33:04 PM »
Reply with quote
zindagi inqalaab meiN hum ne
ki basar izteraab meiN hum ne

(izteraab = restlessness)


jo n maayoosiyoN meiN guzre the
din guzaare itaab meiN hum ne

(itaab = anger)


yaar apna sa koyee dhooNdh liya
kisi khaanaa-kharaab meiN hum ne

(khaanaa-kharaab = wretched)


baat apni bhi haashiyoN pe likhi
zindagi ki kitaab meiN hum ne

(haashiyoN = margins)


hai khafaa hum se kaafila saara
dasht dekha saraab meiN hum ne

(dasht = desert, saraab = mirage)


hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne

(sabzah = greenery)


daad par fan luta diya saaraa
bhool kar di hisaab meiN hum ne


mat gira zulf rukh pe yooN bhi tujhe
bas hai paaya naqaab meiN hum ne

(rukh = face)


ishq khud se tha so wo sharmaaye
jab kaha dekha khwaab meiN hum ne


dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

(uriyaaN = naked)


chaaNdnee raat aur hasrateiN chand
gharq kar deeN sharaab meiN hum ne

(gharq = drown)


kya imaarat ke qad se kaam humeiN
dekha aalam habaab meiN hum ne

(aalam = world, habaab = bubble)


rind the kaun the tamaashaayee
jaanaa maqtal ke baab meiN hum ne

(rind = free spirited, maqtal = place of slaughter, baab = door gate)


kya sazaa doge kar rakheeN haiN jamaa
mastiyaaN har azaab meiN hum ne

(azaab = punishment)


baat cherhee dawaa ki “zarraa” se
dard paaya jawaab meiN hum ne


- ZARRAA

waa waa bohat bohat khubsurat ghazal,...........bohat bohat c daad aik rau ke saath,............
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2013, 05:53:32 PM »
Reply with quote
zindagi inqalaab meiN hum ne
ki basar izteraab meiN hum ne

(izteraab = restlessness)


jo n maayoosiyoN meiN guzre the
din guzaare itaab meiN hum ne

(itaab = anger)


yaar apna sa koyee dhooNdh liya
kisi khaanaa-kharaab meiN hum ne

(khaanaa-kharaab = wretched)


baat apni bhi haashiyoN pe likhi
zindagi ki kitaab meiN hum ne

(haashiyoN = margins)


hai khafaa hum se kaafila saara
dasht dekha saraab meiN hum ne

(dasht = desert, saraab = mirage)


hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne

(sabzah = greenery)


daad par fan luta diya saaraa
bhool kar di hisaab meiN hum ne


mat gira zulf rukh pe yooN bhi tujhe
bas hai paaya naqaab meiN hum ne

(rukh = face)


ishq khud se tha so wo sharmaaye
jab kaha dekha khwaab meiN hum ne


dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

(uriyaaN = naked)


chaaNdnee raat aur hasrateiN chand
gharq kar deeN sharaab meiN hum ne

(gharq = drown)


kya imaarat ke qad se kaam humeiN
dekha aalam habaab meiN hum ne

(aalam = world, habaab = bubble)


rind the kaun the tamaashaayee
jaanaa maqtal ke baab meiN hum ne

(rind = free spirited, maqtal = place of slaughter, baab = door gate)


kya sazaa doge kar rakheeN haiN jamaa
mastiyaaN har azaab meiN hum ne

(azaab = punishment)


baat cherhee dawaa ki “zarraa” se
dard paaya jawaab meiN hum ne


- ZARRAA



gr8888888888888 ghazal ,sir but still lengthy
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2013, 06:32:39 PM »
Reply with quote
Zarra sahib, bahut khubsurat ghazal hai, meyaari ashaar se murassa.
Bahut bahut mubarakbaad. Isi tarah Bazm ki rounaq barhaate rahye.
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #5 on: May 25, 2013, 06:47:54 PM »
Reply with quote
BOHUT KHUB ZARAA JI BOHUT UMDA GHAZAL WAAAH
Logged
NeelamJ
Guest
«Reply #6 on: May 25, 2013, 07:01:22 PM »
Reply with quote
zindagi inqalaab meiN hum ne
ki basar izteraab meiN hum ne

(izteraab = restlessness)


jo n maayoosiyoN meiN guzre the
din guzaare itaab meiN hum ne

(itaab = anger)


yaar apna sa koyee dhooNdh liya
kisi khaanaa-kharaab meiN hum ne

(khaanaa-kharaab = wretched)


baat apni bhi haashiyoN pe likhi
zindagi ki kitaab meiN hum ne

(haashiyoN = margins)


hai khafaa hum se kaafila saara
dasht dekha saraab meiN hum ne

(dasht = desert, saraab = mirage)


hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne

(sabzah = greenery)


daad par fan luta diya saaraa
bhool kar di hisaab meiN hum ne


mat gira zulf rukh pe yooN bhi tujhe
bas hai paaya naqaab meiN hum ne

(rukh = face)


ishq khud se tha so wo sharmaaye
jab kaha dekha khwaab meiN hum ne


dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

(uriyaaN = naked)


chaaNdnee raat aur hasrateiN chand
gharq kar deeN sharaab meiN hum ne

(gharq = drown)


kya imaarat ke qad se kaam humeiN
dekha aalam habaab meiN hum ne

(aalam = world, habaab = bubble)


rind the kaun the tamaashaayee
jaanaa maqtal ke baab meiN hum ne

(rind = free spirited, maqtal = place of slaughter, baab = door gate)


kya sazaa doge kar rakheeN haiN jamaa
mastiyaaN har azaab meiN hum ne

(azaab = punishment)


baat cherhee dawaa ki “zarraa” se
dard paaya jawaab meiN hum ne


- ZARRAA


Very nice creation, ZARRAA
Logged
rahul sengar
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2013, 07:17:59 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2013, 07:23:49 PM »
Reply with quote
dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

chaaNdnee raat aur hasrateiN chand
gharq kar deeN sharaab meiN hum ne

ye do ashaar mujhe khoob bhaaye.

Kya baat hai Zarra saheb
ek se ek umda ashaar..
dil daad qubool farmaayen



Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2013, 08:10:33 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Awesome zarra ji. behad umda kalaam se nawaaza hai aapne. har sher bahut bahut khoob hai. bahut pyaare ehsaas aur khayalath se saji hai aapki yeh ghazal. dili mubarakbad ko qubool kare
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2013, 09:31:04 PM »
Reply with quote

Zarra Sahaab Aadaab....!



Janab Aap jaise umdaa shayaroN ki itni gair hazeri bazm ko ronaq ko kam karti hai... Ummid hai aap humari baat samjheN ho... Usual Smile


Waise itni umdaa kalaam ke saath aaye haiN aapke ke shikayat ka koi chance hi nahi rakha aapne... Usual Smile
Behad khoob kalaam kahi hai janab.. bade hi gehre aur pur asar ashaar rahe... behad khoob.. Usual Smile

Is umda kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile




yaar apna sa koyee dhooNdh liya
kisi khaanaa-kharaab meiN hum ne


Behad zalim sher kaha hai janab bahut umdaa daad daad daad...


(khaanaa-kharaab = wretched)


baat apni bhi haashiyoN pe likhi
zindagi ki kitaab meiN hum ne


Bahut khoob daad... Usual Smile

(haashiyoN = margins)


hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne


Yeh bhi behad umdaa sher raha janab daad...

(sabzah = greenery)


daad par fan luta diya saaraa
bhool kar di hisaab meiN hum ne


Kya kahne janab.. bahut khoob



ishq khud se tha so wo sharmaaye
jab kaha dekha khwaab meiN hum ne


WaaH waaH janab behad gazab daad ... shayari ki zubaaN ho gayi behad khoob..


dard-e-dil ho hi phir gaye uriyaaN
laakh rak’kha hijaab meiN hum ne

(uriyaaN = naked)

Bahut khoob daad...



kya imaarat ke qad se kaam humeiN
dekha aalam habaab meiN hum ne


Laa jawaab janab daad...

(aalam = world, habaab = bubble)

baat cherhee dawaa ki “zarraa” se
dard paaya jawaab meiN hum ne



WaaH waaH laa jawaaab Maqta bhi raha hai janab daad daad daad...

- ZARRAA

Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #11 on: May 25, 2013, 10:25:01 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Zarra sabab,
Bahut umda ghazal kahi hai aapne.Urdu ke difficult words ke meaning likhne se aik aam reader ko aapki ghazal ko sakjhne me aasaani hogi.Really very nice.Khass taur pe aapka ye sher bahut pasand aaya-

hum ko sabzah babool meiN bhi mila
khaar paaye gulaab meiN hum ne
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #12 on: May 25, 2013, 11:23:46 PM »
Reply with quote
Har ek lafz.. har ek sher lajawab.. bahut bahut umda... sach kahu maza aa gaya padh ke.. bahut khubsurat peshkash.. Usual Smile
Applause Applause Applause
Logged
Tuhina
Guest
«Reply #13 on: May 26, 2013, 02:19:15 AM »
Reply with quote
Zarra   sahiba  aapke   khayal ,  shabd  aur  urdu  bhasha  pe  pakad   lajavaab   hai  ,   dheron      badhaiyan   aapko .......   
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #14 on: May 26, 2013, 03:43:34 AM »
Reply with quote
bahut bahut umda kalaam!
bahut achhi behr aur bahut achhe ehsasaat! umda ashaar!
dheron daad!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:59:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer