Yeh nazm kuch khaas hai..Hm pehle toh main apna naam dalta tha mager aj se 'Khamosh' dala karunga...
Dusri baat yeh ke yeh meri ek udaas dost ko dedicated hai...Allah usse khush rakhe...Aur usse hi kya, tamam dukhi dilon ko, toote bikhre dilon ko dedicated hai...Hamesha khush rakhe Allah sabhi ko..Ameen..
Ek sandesh dena chahta hoon...Thorra sa waqt iss nazm ko zaroor dijiyega..
Dobara kehta hoon; ek bahaut khaas nazm hai yeh mere liye...
Apne ghirte askhon ko peena seekho,
Harke dobara jeetna seekho,
Koi insaan ke dokhe se toot na jana doston,
Main kehta hoon ghirke utna seekho,
Iss khubsoorat zindagi ko jeena seekho…
Hai yeh ek nayab tofa Allah ka,
Isse istamal karna seekho,
Jo tumhe na mile woh tumhara kabhi tha hi nahin,
Iss haqeeqat ko khud main basana seekho,
Iss haseen zindagi ko jeena seekho…
Waise toh kayi log chorr jaenge tumhe zindagi main,
Aise musafiron ko bhoolna seekho,
Manta hoon ke asan nahin ateet ko bhoolna,
Mager dil se koshish karna seekho,
Iss badalti zindagi main zindagi ko jeena seekho…
Mat gawao apni mohobat unke peeche jo tumhe nahin chahte,
Jo tumhe mohobat karte hai unke saath rehna seekho,
Manta hai ‘Khamosh’ ke asar chorr jata hai pehla pyaar,
Mager jo tumpe mare; usse apnana seekho,
Manlo baat aur aur bhool jao apne ateet ko,
Har nayi raah par ek nayi shuruwat karna seekho,
Musafir toh ate jate rahenge raah-e-zindagi main,
Dokhe bazon ko bhool; har naye musafir ko dil main jagah dena seekho,
Allah ne tumhare liye bhi koi na koi banaya hoga,
Uss haseen hamsafar ko talash karna seekho,
‘Khamosh’ toh muskuraega ab se zindagi main,
Tum saab doston se bhi darkhwast karta hai,
Iss khubsoorat zindagi ko jeena seekho…
~Rahim~