*Zindagi Yaatna Ka Safar Hai*

by Roja on May 06, 2007, 03:48:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1585 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Pyar jalta hua ek ghar hai yahan
Zindagi yaatna ka safar hai yahan

Hum andhere main kab se gire lad rahe
Aap kehte hai din-dopehar hai yahan

Khandaron main kisse ab pukare, kaho?
Her tarah ek murda nagar hai yahan

aadmi ki jagah saap-hi-saap hai
Das na le ye baharon ko darr hai yahan

Ab kisii per bhi humko barosa nahi
Mitra bhi shatru ka guptchar hai yahan

Roja
[/color][/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Safar zindagi ka kate by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Zindagi ka safar... by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~ZINDAGI KA SAFAR~~~ by vitasta in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Allama Iqbaal..Ek Nazar aur Hazaar Zindagi ka safar by @kaash in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 06, 2007, 06:23:38 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB ROJA,AAP NE BAHUT ACHA LIKHA HAI

SAFAR ZINDAGI KA MANZIL
PAR RUKHTA NAHI
BAS THIKHANA BADALTA REHTA HAI
SIRF MANZIL MEIN HI TO KHUSHI MILTI HAI
SAFAR MEIN GHAM KA SAATH TO BANA REHTA HAI
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2007, 02:33:55 AM »
Reply with quote
Thanks Khwaishji.. Usual Smile
Logged
TeraKuttaGharKaNaGhaatKa
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2007, 08:41:10 AM »
Reply with quote
bohaat khoob ..aapka andaz-e-bayaan bohaat khass hai roja.. keep it up !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2007, 08:42:40 AM »
Reply with quote
Nice Roja and khwaish..
Logged
vitasta
Guest
«Reply #5 on: May 29, 2007, 03:10:59 AM »
Reply with quote
bahut khoob!! Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: July 07, 2007, 02:05:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Nice Roja and khwaish..


Thanks pooja di
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2007, 02:09:48 AM »
Reply with quote
Gira hai aksar sambalkar aadmi
Reh gaya khud main simatkar aadmi
Aaj apne hi Watan main dekhiye
Ho gaya ghar se beghar aadmi..

Peet peeche woh chahe kuch bhi kahe
Wah-wah karta hai muh per aadmi
Aaj phir zindagi ke bhoj se
Karta-katra gira tootkar aadmi

Lakh tokaron ke bhavjood bhi yahan
Sambala kab khakar tokar aadmi
Bas nahi chalta kisii ka kismat per
Varna likha khud muqaddar aadmi

Suna hai Zindagi chaar din ki hai "Roja"
Kyu bitaye isko rokar aadmi?

[/color][/size]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2007, 01:43:45 AM »
Reply with quote
Roja dono hi poems bahoot hi achi likhi hai... good job !!

Adami ko adami ki pahchan nahi rahi
Dilo mai wo pyar ki baat nahi rahi

Jhooth, swarth ka raj hai ab charo taraf
Such aor sankaar ki wo baat nahi rahi

Maar kar insaan ko insaan, ab pragati samjhata hai
Sath sath chalne ki wo baat nahi rahi

Hai tanha her koi ajj dunia mai jahan dekhon
Char deewari mai wo ghar wali baat nahi rahi

Adami ko adami ki pahchan nahi rahi
Dilo mai wo pyar ki baat nahi rahi
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: July 19, 2007, 04:18:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Roja dono hi poems bahoot hi achi likhi hai... good job !!

Adami ko adami ki pahchan nahi rahi
Dilo mai wo pyar ki baat nahi rahi

Jhooth, swarth ka raj hai ab charo taraf
Such aor sankaar ki wo baat nahi rahi

Maar kar insaan ko insaan, ab pragati samjhata hai
Sath sath chalne ki wo baat nahi rahi

Hai tanha her koi ajj dunia mai jahan dekhon
Char deewari mai wo ghar wali baat nahi rahi

Adami ko adami ki pahchan nahi rahi
Dilo mai wo pyar ki baat nahi rahi


Yes Pooja di... aaj kal kuch aisa hi hogaya hai aadmi.. :?
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 19, 2007, 04:22:22 PM »
Reply with quote
Kaise-kaise manzar dikhata aadmi
Aadmi ko dekho satata aadmi..

Fakt pet ki aag bhujane vaste
Bhoj aadmi ka utata aadmi..

Zulm kaho ya ki kaho majboori
Ser aadmi ke aage jukata aadmi..

Rishon ki ye khatas hi toh hai jo
Neecha aadmi ko dikhata aadmi..

Jaathi, Dharam, Bhasha, Serhad ke naam
Aadmi se aadmi ko ladata aadmi..

Ab ye baat kahi nazar nahi aati, "Roja"
Aadmi ke hi kaam, aata aadmi..

 Puzzled !
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: July 22, 2007, 02:57:04 AM »
Reply with quote
Bun-bun ke bar-bar naya jhaal zindagi
Chalti rahi hai kaisi-kaisi chaal zindagi

Koton ke neeche phir se dalalon ke jund main
Aakar khadi hai aapki dalaal zindagi

Hum path-path ki bhi chal jante hai yaar
Kyu le ke chal rahe ho dal-dal zindagi

Bhola nahi hai waqt ki samajhe na aapko
Aane do waqt kheench lengi khaal zindagi

Ye haat khoon se sane kehte hai cheek-cheek
Kii aapne kisii ki phir halaal zindagi

Ab pativruta ka swaang bhar rahi hai gaav main
Ganga naha ke aapki chinaal zindagi..

 :?:
[/color][/size]
Logged
paani
Guest
«Reply #12 on: July 23, 2007, 06:15:35 AM »
Reply with quote
Bhaut hi khoob Roja ji....
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: August 09, 2007, 03:39:08 PM »
Reply with quote
Zindagi maut ke saye main pal rahi
Ruh her ek yaron yahan jal rahi

Tarasti hi sada roshni ke liye
Aansoo barsati shamo-saher dal rahi

Sab aman chahte hai hamesha yahan
Bath shaitan ko ye magar khal rahi

Aa gaya waqt ab jaag ye aadmi
Usko berbad kar aankh jo jal rahi

Aur koyee likhe teri taqdeer kyu
Kisliye rasm ye aaj tak chal rahi

Aa bata de unhe, tu bhi kya cheez hai
Jo nigahe tujhe aaj tak chal rahi

Bath aisi "roja" na karti kabhi
Jante gar yahan kya hawa chal rahi..
[/color][/size]

Ruh : aatma
Shamo-saher = shaam aur subah
Aman : shanti
rasm : reeti, riwaj
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:43:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer