Zindgi ko azmana chahti hu...

by brokenbyluv on October 22, 2010, 06:07:52 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5580 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #15 on: October 23, 2010, 11:02:00 AM »
Reply with quote
Gar rehte tum merre liye mehez ek ajnabi,
tou tumhare diye ehsaso ko main yu lafzo mein na utarti,

tumhari doori se milti agar khushi mujhe,
tou raato k sannato mein main tumhe kabhi na pukarti,

tum tou apni hasti mitane ki baat karte ho,
naa lutati apna dil tumpe tou aaj khudse yu kabhi na haarti,

tumhare har faisle ko maine pathar ki lakir samjha,
keh sakti apni baat tumse tou apne jazbaato ko khamoshi se na maarti,

humne mhbt ki hai tou majburiya tou nasib hai hamara,
per tum aane ka wada jo na karte tou main tumhari raah na nihaarti ,

jo hua hamara muqadar tha per ya jaan lo gar na karti mhbt tumse,
tou tumhare diya ansuo se main apna chehra kabhi na nikhaarti.........

Bahutttttttttt khoob Geetji..

Just Tooooooooooooo Goooood!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AZMANA by yasir_sensitive in Shayri for Khumar -e- Ishq
azmana by manoj. in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sona Chahti hu***** by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Main Kya chahti hun? by deepika_divya in Miscellaneous Shayri
****Nahi chahti mai**** by jannatjahan in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
brokenbyluv
Guest
«Reply #16 on: October 23, 2010, 11:04:38 AM »
Reply with quote
Shukriya ji.........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #17 on: October 23, 2010, 11:57:19 AM »
Reply with quote
Brokenbyluv...

Jitne hi naazo aur mhbt se nawaza tha tune mujhe,
utna hi gum aur taklif tune merri zindgi mein bhar di hai,

merre ajnabi main tou chal rahi thi virano mein hi,
tune aake merri zindgi aur bechain kar di hai,

apni raahe khud banana chahti hu main,
terri kami ne mujhe phir kamzor banaya hai,

kyun karta raha mhbt k bade bade wade,
jab ki tu ek bhi nibha nhi paya hai,

waise bhi koi makaam haasil nhi kiya hai maine,
jo main ab kuch gawa saku,

per merri maa hi merri zindgi hai,
kaash ye baat main tujhko kabhi bata saku,

maine bahut dukh diya hai sabhi apno ko,
mhbt ki khaatir nazar andaaz kiya hai unke sapno ko,

mujhe maaf karna merre ajnabi main tujhe bhulana chahti hu,
aaj pehli baar mhbt k bina bhi zindgi ko azmana chahti hu.........

GEET...

Geetji, Kuch Instant likh Raha Hoon..
Umeed Karta Hoon Pasand Aaye Aapko..

Main Tanha Ro Loon Par tujhe Kabhi Dikhaai Na De
Main Tujhe Awaaz Doon Par tujhe Sunaai naa De..

Khatawaar Bhi Main Hoon Aur kasoorvaar Bhi Main!!!
Jo chaahe kehle Par Apni Ruswaai Naa De..

Ishq kiya To Hai par Nibhaana Bhool Gaya!!!
Eh khuda Mujhe Kabhi Jag-Hasaai naa De...

Tere Har lafz Mujhse Ab Bahut Kuch Kehta Hai!!!
Sharminda Naa Ho Jaau, Itni Inn Lafzo Mein Gehraai Naa De

Mere Khwaab Aaane Ki tarah Toot Gaye Hai Par Gham Nahi!!!
Par Toote Khwaabo ki Duniya Mujhe Phir Dikhaai Naa De.

Mujhe To Aadat Hai Bhari Mehfil mein GumsuUm Rehne ki
Par Dua Hai Meri tujhe Kabhi khuda Tanhaai Naa De...

Agar Ishq Karna Naseebo Ki baat Hai To Haan Mujhe Ishq naseeb hua
Par Eh Khuda Ishq Ke Baad Phir Yuh Dard-e-Judaai Naa De...

Mujhe Bhool Jaana Hi Behtar Hai Zindagi Ke liye!!!
Jis Rishte Ki koi Buniyaad nahi,Uss Rishte ka Phir koi mol Bhi Nahi..
Bas Guzaarish Hai Khuda Tujhse, Aisi Khudaai Naa De...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #18 on: October 23, 2010, 01:29:30 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likheya hai hale te maafi chawangi khwaish ji laut k zarur jawab dawangi...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #19 on: October 23, 2010, 01:36:57 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likheya hai hale te maafi chawangi khwaish ji laut k zarur jawab dawangi...

Thankyou Soooooooooooooooo much Geetji..

Tuade jawaab da Intezaar zaroor Rahega... icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #20 on: October 23, 2010, 09:25:29 PM »
Reply with quote
I have no words Geet ji.. kitni aasaani se aap itni gehri baat keh gaye.. yahi khoobsurti hoti hai aapke lekhni ki ki aap bahut bahut khoobsurti se apne ehsaason kp pesh karti hain.. bahut sundar rachna hai... sach kahun to mujhe taarif ke liye words nahi mil rahe hain.. I am speechless...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #21 on: October 23, 2010, 09:28:10 PM »
Reply with quote
kahaan hain aap Shihab ji.. bas aap paas mil jaayen to aapke haathon ko chum loon jin haathon ne itne khobsurat alfaaz likhe hain... sahi kehta hoon main .. shabdon ke jadugar hain aap.. dil jeet lete hain apni jaadugari se... bahut bahut umda likha hai aapne... touching touching type ka .. bahut bahut khoob janaab...!!!

Gar  Mili Hain  Taqlifein  Aur  Bechainiyan Aapko
To Dard-o-Gham Humne B Nahi Hain Kam Sahen.

Yeh  Aur  Baat  Hai Ki  Aapne  Kar Diya  Ashkaar
Aur Hum  Bas  Chup  The ,  Aur  Chup Hi Rahen.

Kaash Ilzaam Lagaane  Se  Pahle Dekh Lete  Aap
Ki Kaisi Majburyon Mein  Hum Bhi To Hain Giren.

Humari To Kismat Mein Hi Hai  Paakar Kho Dena
Phir  Aapse  Kyun  Aur  Kis  Liye  Koi  Gila Karen.

Har Baar Maana Hai Aur  Aaj Bhi  Maanege Hum
Jo Bhi Aapki Aur Se  Hain-e-Dilbar Faisle Rahen

Gar Meri  Doorei  Se  Hi Aapko  Khushi  Milti Hai
To Khuda Abhi Hi  Meri  Hasti Ko  Khatam Karen

Kya Hua Gar Ujhad Gayi Meri  Duniya To Sanam
Dua Hai Yeh  Ki Aapki Humesha Sanwarti Rahen.

Bas Dukh Rahega  Hume, To Sirf Is Baat Ka  , Ki
Hum Aapke Liye Ajnabi The Or Ajnabi Hi Rahen.

Logged
Intezar
Guest
«Reply #22 on: October 23, 2010, 09:47:52 PM »
Reply with quote
Bahut hi achha likha hai Shihab sahab aapne bahut hi umda... !

na kar gham is baat ka ki tu ab bhi ajnabi raha uske liye
kuch wakt de use dekh lena wo tujhe jaroor pehchan jaayega...

Unhe bhi aajma lene de khud ko ek baar tere bagair “Shihab”
Yakeenan tera dard ek roz unhe tujh tak jaroor kheench laayega… !

Intezar !

veenavarsha
Guest
«Reply #23 on: October 24, 2010, 02:01:10 AM »
Reply with quote
sadiyo se chali aa rahi, kahnai fir dohra gayi
 kisi ko intezar to kisi ko bewafai thama gayi
kuch ki majboori,kuch ki kamzori kahi gayi
kuch ki khushi, kuch ka sitam aur raah badal gayi
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #24 on: October 24, 2010, 05:08:52 AM »
Reply with quote

Gar  Mili Hain  Taqlifein  Aur  Bechainiyan Aapko
To Dard-o-Gham Humne B Nahi Hain Kam Sahen.

Yeh  Aur  Baat  Hai Ki  Aapne  Kar Diya  Ashkaar
Aur Hum  Bas  Chup  The ,  Aur  Chup Hi Rahen.

Kaash Ilzaam Lagaane  Se  Pahle Dekh Lete  Aap
Ki Kaisi Majburyon Mein  Hum Bhi To Hain Giren.

Humari To Kismat Mein Hi Hai  Paakar Kho Dena
Phir  Aapse  Kyun  Aur  Kis  Liye  Koi  Gila Karen.

Har Baar Maana Hai Aur  Aaj Bhi  Maanege Hum
Jo Bhi Aapki Aur Se  Hain-e-Dilbar Faisle Rahen

Gar Meri  Doorei  Se  Hi Aapko  Khushi  Milti Hai
To Khuda Abhi Hi  Meri  Hasti Ko  Khatam Karen

Kya Hua Gar Ujhad Gayi Meri  Duniya To Sanam
Dua Hai Yeh  Ki Aapki Humesha Sanwarti Rahen.

Bas Dukh Rahega  Hume, To Sirf Is Baat Ka  , Ki
Hum Aapke Liye Ajnabi The Or Ajnabi Hi Rahen.

shihab.....dil me uthte ankahe se jazbaat ye majburiyan ye tadap ye kuch paake kho dene ka dardwo bechaini jo inn sabke sath hum jite hain..uspe jab ye feel karen k jiske liye ye sab kiya wahi hume na samjh pa raha ho..to kaisa lagta hai bas wahi feel dil me utar gai hai... ek bht hi practical and real poem from ur side..ise poem nahin kah sakte ye apne aap me tumhari bebasi dikha rahi hai.....

sach me ek laajawaab peshkash from ur side...
God bless u re...and ur love...hope jo bhi problms hain sab solve ho jayen......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #25 on: October 24, 2010, 05:12:01 AM »
Reply with quote
Gar rehte tum merre liye mehez ek ajnabi,
tou tumhare diye ehsaso ko main yu lafzo mein na utarti,

tumhari doori se milti agar khushi mujhe,
tou raato k sannato mein main tumhe kabhi na pukarti,

tum tou apni hasti mitane ki baat karte ho,
naa lutati apna dil tumpe tou aaj khudse yu kabhi na haarti,

tumhare har faisle ko maine pathar ki lakir samjha,
keh sakti apni baat tumse tou apne jazbaato ko khamoshi se na maarti,

humne mhbt ki hai tou majburiya tou nasib hai hamara,
per tum aane ka wada jo na karte tou main tumhari raah na nihaarti ,

jo hua hamara muqadar tha per ya jaan lo gar na karti mhbt tumse,
tou tumhare diya ansuo se main apna chehra kabhi na nikhaarti.........

geet geet geet.......ufffffff kya kahun main har ek lafz chubhta hua..itna gussaa itna pyaar itna dard itni tadap.....
har ek lafz me ye samaye hain itna k bas padhte jao aur mehsus karte jao ise....
har dua kubul ho tumhari aur har khushi pao tum....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #26 on: October 24, 2010, 05:17:23 AM »
Reply with quote

Geetji, Kuch Instant likh Raha Hoon..
Umeed Karta Hoon Pasand Aaye Aapko..

Main Tanha Ro Loon Par tujhe Kabhi Dikhaai Na De
Main Tujhe Awaaz Doon Par tujhe Sunaai naa De..

Khatawaar Bhi Main Hoon Aur kasoorvaar Bhi Main!!!
Jo chaahe kehle Par Apni Ruswaai Naa De..

Ishq kiya To Hai par Nibhaana Bhool Gaya!!!
Eh khuda Mujhe Kabhi Jag-Hasaai naa De...

Tere Har lafz Mujhse Ab Bahut Kuch Kehta Hai!!!
Sharminda Naa Ho Jaau, Itni Inn Lafzo Mein Gehraai Naa De

Mere Khwaab Aaane Ki tarah Toot Gaye Hai Par Gham Nahi!!!
Par Toote Khwaabo ki Duniya Mujhe Phir Dikhaai Naa De.

Mujhe To Aadat Hai Bhari Mehfil mein GumsuUm Rehne ki
Par Dua Hai Meri tujhe Kabhi khuda Tanhaai Naa De...

Agar Ishq Karna Naseebo Ki baat Hai To Haan Mujhe Ishq naseeb hua
Par Eh Khuda Ishq Ke Baad Phir Yuh Dard-e-Judaai Naa De...

Mujhe Bhool Jaana Hi Behtar Hai Zindagi Ke liye!!!
Jis Rishte Ki koi Buniyaad nahi,Uss Rishte ka Phir koi mol Bhi Nahi..
Bas Guzaarish Hai Khuda Tujhse, Aisi Khudaai Naa De...

excellent reply khwaish ji....aap to mastam mast ho ji.....itna pyara likhta hai koi...kuch lines jo mujhe chhu gai ya mere dil ki baat hain wo ye hain

Tere Har lafz Mujhse Ab Bahut Kuch Kehta Hai!!!
Sharminda Naa Ho Jaau, Itni Inn Lafzo Mein Gehraai Naa De

Agar Ishq Karna Naseebo Ki baat Hai To Haan Mujhe Ishq naseeb hua
Par Eh Khuda Ishq Ke Baad Phir Yuh Dard-e-Judaai Naa De...

Mujhe Bhool Jaana Hi Behtar Hai Zindagi Ke liye!!!
Jis Rishte Ki koi Buniyaad nahi,Uss Rishte ka Phir koi mol Bhi Nahi..
Bas Guzaarish Hai Khuda Tujhse, Aisi Khudaai Naa De...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #27 on: October 24, 2010, 05:18:25 AM »
Reply with quote
Bahut hi achha likha hai Shihab sahab aapne bahut hi umda... !

na kar gham is baat ka ki tu ab bhi ajnabi raha uske liye
kuch wakt de use dekh lena wo tujhe jaroor pehchan jaayega...

Unhe bhi aajma lene de khud ko ek baar tere bagair “Shihab”
Yakeenan tera dard ek roz unhe tujh tak jaroor kheench laayega… !

Intezar !

intezar ji as usual u r excellent......mastam mast
Logged
Intezar
Guest
«Reply #28 on: October 24, 2010, 05:35:10 AM »
Reply with quote
Pehle to Shukriya ada karta hun main Kasak ji ka... bahut bahut shukriya Kasak ji... !

Intezar !

intezar ji as usual u r excellent......mastam mast
Logged
Intezar
Guest
«Reply #29 on: October 24, 2010, 05:35:36 AM »
Reply with quote
doston... maine aap logon ki dua mein kuch likha hai agar pasand na aaye to bura mat maanana please... !

dono the kisi galat fahmi ke shikaar yaaron
khud se zaada tha ek dusre par yakeen yaaron,

mushkil tha dono ka ek dusre ke bina reh paana
phir bhi kiya kubul ek dusre ki khaatir juda ho jaana,

ek ne raah sochi tanha jeene ki to dusre ko bhi tanha kar gaya,
lagaate lagaate ilzaam ek dusro par wakt jaane kahaan gujar gaya,

ye hasrat liye dono tanha jeete rahe ki koi aakar manaa jaye use
ab to fakat ye dekhna baaki reh gaya ki  kaun manaayega kab kise,

aye khuda badi shiddat se mangi hai kar kubul aaj Dua Intezar ki,
mita kar gile shikwe tu aur majboot kar de buniyaad is pyaar ki..!

Intezar !

Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:05:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer