Zindgi ko azmana chahti hu...

by brokenbyluv on October 22, 2010, 06:07:52 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 5609 times)
haan
Guest
«Reply #45 on: October 28, 2010, 06:13:11 PM »
Reply with quote
BAHUT HI KHOOB SURAT ANDAAZ ME AAPNE APNA KALAAM KAHA HAI! .
KIS KIS KE SEENE ME LI DARD NE ANGRAI YE KABHI DEKHA HAI !!
DAAD JANAAB ..DAAD..
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AZMANA by yasir_sensitive in Shayri for Khumar -e- Ishq
azmana by manoj. in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sona Chahti hu***** by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Main Kya chahti hun? by deepika_divya in Miscellaneous Shayri
****Nahi chahti mai**** by jannatjahan in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
haan
Guest
«Reply #46 on: October 28, 2010, 06:23:37 PM »
Reply with quote
JANAB SHIHAB SAHAB YE REPLY AAPKE LIYE HI HAI ..BAHUT KHOOB AAPNE KALAAM KAHA HAI ...REHAN
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #47 on: October 29, 2010, 10:57:16 AM »
Reply with quote
Waise To Maafi Chaunga Brokenbyluv Ji
Yeh Jaante Hue Bhi Maine Yahan Likha Ki Aap
Ek Thread Mein Kisi Ek Ke Saath Hi Likhte Hain
Par Main Bhi Majbur Tha Apne Waade Se So Likhna Parha Khair

  

Bas Ik  Tujhey Hi  Yaad  Subho Shaam Kiya Hai
Iske Siwa Na Aey Dilbar Aur Koi Kaam Kiya Hai.

Tanhaiyon Mein B Tanha  Nahi Rehta Hun Main
Jab Se Khud  Ko  Tujh  Mein  Inqisam  Kiya Hai.
 
Dard-o-Gham Sehne Waale Tum  Akele Hi Nahi
Humne  Bhi  To  Bechainyon Ka Jaam  Piya Hai.

Yeh Aur  Baat  Hai , Ki Tumne Kiye Gile Shiqwe
Or Humne Khamosh Rehkar Hi Ehtram Kiya Hai
 
Dil Ne To  Chaaha Ki Karlun Izhaar ,Magar Tere
Roothne Ke Dar Ne  Hauslon Ko Kham Kiya Hai.
 
Gar Nahi Main , Mehaz  Ek Ajnabi Tere Liye To
Phir Q Nahi Ab Tak Mujhey Koi Naam Diya Hai.

 


Kyun is kadar sar-e-aam tu jhuth keheta hai,
jane kabse tujhe apni zindgi k naam se nawaza hai,

kisi aur ko aane ki ijazat nhi di maine,
sirrf terri aahat se khola apne dil ka darwaza hai,

merra har lafz terre hi naam se saja rahega merre ajnabi,
terre sang bitaye har lamhe ki yad aaj bhi iss dil mein taaza hai,

Neymato mein khuda ne tujhe merre nasib mein likh diya,
terre sajde mein sir jhuka k maine khuda k tohfe ko lihaaza hai,

jald hi bandhish humse mu mod legi aur taqdir hamari kadi jod degi,
abhi zara khamosh rahu aur terre intezar karu yahi is waqt ka takaaza hai.........


 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #48 on: October 31, 2010, 06:01:55 AM »
Reply with quote
Shukriya shihab ji..
Logged
Yaash
Guest
«Reply #49 on: October 31, 2010, 06:07:25 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause

aisi bhi kya beqarari ki aaram kabhi na ho
kisi ajnabi se aisa bhi salaam kabhi na ho

har pal intezaar mein takti hai nigahein
aisa to dil ka koi mehmaan kabhi na ho

dil ke kaagaz par ashqon se likhi hai gazal
mohabbat mein aisa koi paigaam kabhi na ho

un bholi nigahon ne ghayal kiya hai dil ko
masoomiyat se aisa katl-e-aam kabhi na ho

"ham pyar karte hai unse" keh bhi nahin paate
kisi ki chahat ka aisa imtihaan kabhi na ho

hamen to andheron ki aadat ho chali thi
kisi bhi dil mein koi roshandaan kabhi na ho

                N/M
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #50 on: November 01, 2010, 10:20:11 AM »
Reply with quote
Lo aaj mein bhee zindagi ko aazmaana chahti hu
Jo bhee ho challange sab sweekaarnaa chahti hu

Mile he jo bhi avsar unhein samajhna chahti hu
Ek baar firse khel zindzgi ka khelna chahti hu
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #51 on: November 01, 2010, 05:31:01 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

aisi bhi kya beqarari ki aaram kabhi na ho
kisi ajnabi se aisa bhi salaam kabhi na ho

har pal intezaar mein takti hai nigahein
aisa to dil ka koi mehmaan kabhi na ho

dil ke kaagaz par ashqon se likhi hai gazal
mohabbat mein aisa koi paigaam kabhi na ho

un bholi nigahon ne ghayal kiya hai dil ko
masoomiyat se aisa katl-e-aam kabhi na ho

"ham pyar karte hai unse" keh bhi nahin paate
kisi ki chahat ka aisa imtihaan kabhi na ho

hamen to andheron ki aadat ho chali thi
kisi bhi dil mein koi roshandaan kabhi na ho

                N/M


Bahut khoob bahut shukriya yaash ji share karne k liye...
Logged
shiba
Guest
«Reply #52 on: December 02, 2010, 12:03:00 PM »
Reply with quote
Muhabbat, Gussa, Aur Majburi
Yeh Teeno Hume Aapke Is Kalaam Mein
Nazar Bhi Aaye Aur Mahsoos Bhi Hue
Bahut Achha Likha Hai Brokenbyluv Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #53 on: December 04, 2010, 08:40:12 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya shiba ji...
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer