Zindgi mein sab kuch mila...Geet...

by brokenbyluv on June 04, 2011, 04:55:07 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2433 times)
brokenbyluv
Guest
Reply with quote




Zindgi mein sab kuch mila bs sachi mhbt na mili,
dhokhe bahut mile per sachi chahat na mili,

chalti rahi dil ki raah ka musafir banke,
na aaj tak manzil mili na do pal ko raaht mili,

sahare bahut mile safar mein raahi bahut mile,
jiska hath tham zindgi guzar saku aesi ulfat na mili,

rishte bante gye waqt guzarta gya,
kisise dil na mila tou kisise hasrat na mili,

guzri hu kayi hausla todne wale makamo se,
jo bhi mila kamzor hi mila kisise taqat na mili,

humsafar k liye sajdo mein maine bhi sar kam nhi jhukaya,
kabhi nasib ki razamandi to kabhi allah ki ijazat na mili,

uper wale se shiqayat tou tab karu jab khud pe aetbar raha ho,
ab kya kahu ya khuda sab diya tune bus mhbt mein hi inayat na mili,

dil ka kona kona khula raha merre maula terre aage,
tune har dafa kaha phir terri us shakhs se adat na mili,

khuli ankho mein khuabo k mehel banati rahi,
merre khuabo ko aaj tak khushiyo ki jannat na mili,

o merre khuda zindgi mein sab kuch mila..
bus sachi chahat na mili sachi mhbt na mili.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nakami aur barbaadi k siwa kuch na mila by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
Ae zindgi...Geet... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
Merri zindgi tumhari hai...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ZINDGI SE JO MILA..........kASH by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Tum na aao zindgi mein ab gila kuch bhi nahi....... by satay in Shayri for Khumar -e- Ishq
sarfira
Guest
«Reply #1 on: June 04, 2011, 08:04:45 PM »
Reply with quote
mujhe jitna mila mai utne ka hakdaar tha
……aye uparwale tujhse mujhe koi gila nahi
kaise karta shikayat koi tujhse
……jo na tha naseeb me ek wahi to mila nahi!!


bht saddy post hai ji…
bht khub
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #2 on: June 05, 2011, 03:22:30 AM »
Reply with quote
Gr8 Sir Ji Gr8 Dil Ko chu Gayi...........
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #3 on: June 05, 2011, 05:25:30 AM »
Reply with quote
bht bht khoob geet ji...
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2011, 09:42:08 PM »
Reply with quote
excellent work Geet ji!!!

dekhiye isse apne gum par wah-wahi na samajhiyega
gum ka ilaazto nahi, hamari taraf se hausle ke roop mein davayi samajhiyega

agar yun hi mil jaati sachi muhabbat
to Ranjha, Punno aur Farhaad jinda hote
magar na to unhein koyi pehchanta aur na hi unki koi baat karta


gum ke zariye mashhoor ho gaye hain to kya
iss baat ka kya gum karein ke hum tujh se door ho agye hain
to humse juda hoke bhi khush hai yeh badi baat hai 
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2011, 05:38:01 PM »
Reply with quote
mujhe jitna mila mai utne ka hakdaar tha
……aye uparwale tujhse mujhe koi gila nahi
kaise karta shikayat koi tujhse
……jo na tha naseeb me ek wahi to mila nahi!!


bht saddy post hai ji…
bht khub

Bahut khoob aur bahut shukriya ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2011, 05:39:09 PM »
Reply with quote
Gr8 Sir Ji Gr8 Dil Ko chu Gayi...........

Maafi chahungi sanjeev ji main sir nhi madam hu,khair apka bahut shukriya..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: June 08, 2011, 05:40:50 PM »
Reply with quote
Gr8 Sir Ji Gr8 Dil Ko chu Gayi...........

Maafi chahungi sanjeev ji main sir nhi madam hu,khair apka bahut shukriya..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2011, 05:43:07 PM »
Reply with quote
bht bht khoob geet ji...

Shukriya priya ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: June 08, 2011, 05:44:31 PM »
Reply with quote
excellent work Geet ji!!!

dekhiye isse apne gum par wah-wahi na samajhiyega
gum ka ilaazto nahi, hamari taraf se hausle ke roop mein davayi samajhiyega

agar yun hi mil jaati sachi muhabbat
to Ranjha, Punno aur Farhaad jinda hote
magar na to unhein koyi pehchanta aur na hi unki koi baat karta


gum ke zariye mashhoor ho gaye hain to kya
iss baat ka kya gum karein ke hum tujh se door ho agye hain
to humse juda hoke bhi khush hai yeh badi baat hai 


Bahut khubsurat aur bahut sach kaha nikki ji apne bahut bahut shukriya apna waqt dene k liye..
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: June 09, 2011, 08:24:41 AM »
Reply with quote




Zindgi mein sab kuch mila bs sachi mhbt na mili,
dhokhe bahut mile per sachi chahat na mili,

chalti rahi dil ki raah ka musafir banke,
na aaj tak manzil mili na do pal ko raaht mili,

sahare bahut mile safar mein raahi bahut mile,
jiska hath tham zindgi guzar saku aesi ulfat na mili,

rishte bante gye waqt guzarta gya,
kisise dil na mila tou kisise hasrat na mili,

guzri hu kayi hausla todne wale makamo se,
jo bhi mila kamzor hi mila kisise taqat na mili,

humsafar k liye sajdo mein maine bhi sar kam nhi jhukaya,
kabhi nasib ki razamandi to kabhi allah ki ijazat na mili,

uper wale se shiqayat tou tab karu jab khud pe aetbar raha ho,
ab kya kahu ya khuda sab diya tune bus mhbt mein hi inayat na mili,

dil ka kona kona khula raha merre maula terre aage,
tune har dafa kaha phir terri us shakhs se adat na mili,

khuli ankho mein khuabo k mehel banati rahi,
merre khuabo ko aaj tak khushiyo ki jannat na mili,

o merre khuda zindgi mein sab kuch mila..
bus sachi chahat na mili sachi mhbt na mili.........


               NA HO RANJ KI HAI TERI DOAO.N MEIN BAHUT ASAR .
               RAKHTA HAI KHUDA APNE HAR BANDE KI KHABAR.
               KI MILE GAA THUJ KO BHI AISA HUMSAFAR DEKHNA,
               HO GI SHAMAA KI BHI NAZAR USPER DEKHNA.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
annu_genis
Guest
«Reply #11 on: June 10, 2011, 06:29:52 AM »
Reply with quote
Geet ...har baar ki tarah simple n superb, keep posting n tk care!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: June 12, 2011, 01:59:17 PM »
Reply with quote
thanks to u too Geet ji,

zindagi haathon se ret ki taraf fisal gayi aur pata bhi na chala
hum intzaar karte rahe kissi khaas ke aane ka
aur usse hamara pata hi na mila

suna tha baharein aati hain zindagi mein pyar se
bahut koshish ki isse dhondne ki
magar ...ye kambakht PYAR humein kissi jagah bhi na mila.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: June 12, 2011, 07:16:00 PM »
Reply with quote

              NA HO RANJ KI HAI TERI DOAO.N MEIN BAHUT ASAR .
               RAKHTA HAI KHUDA APNE HAR BANDE KI KHABAR.
               KI MILE GAA THUJ KO BHI AISA HUMSAFAR DEKHNA,
               HO GI SHAMAA KI BHI NAZAR USPER DEKHNA.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Apki duao ka tahe dil se shukriya adil ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #14 on: June 12, 2011, 07:23:40 PM »
Reply with quote
Geet ...har baar ki tarah simple n superb, keep posting n tk care!!

Thnx a tone annu ji..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:54:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.837 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer