zulf-e-siyah ki baat ... zarraa

by zarraa on August 25, 2013, 06:28:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1689 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
zulf-e-siyah ki baat ke dast-e-hinaa ki baat
jo baat dard ki hai wahi hai dawaa ki baat

(zulf-e-siyah = black hair, dast-e-hinaa = hands decorated with mehdi)


aise the wo aur aise kabhi un ke karam the
daur-e-jafaa meiN aam hai mehr-o-wafaa ki baat

(jafaa = oppression, mehr = favour)


thukraa chukaa hooN husn-e-do-aalam maiN baarahaa
karna n mere aage par us shokh-adaa ki baat

(husn-e-do-aalam = the beauty of the 2 worlds, baarahaa = repeatedly)


jeene ki chaah kam thi ye maanaa mareez meiN
niklee tabeeb ke bhi n lab se shifaa ki baat

(tabeeb = doctor, shifa = healing)


ye bhi hai baat kya ke n karte ho baat tum
kis ne kaha ke karni hi hogi duaa ki baat


sehraa meiN mujh se milne wo aaye to dopahar
karne ko apne baagh ki baad-e-sabaa ki baat

(sehraa = desert, baad-e-sabaa = morning breeze)


chheeno fughaaN ka haq to n mujh dil-figaar se
maine hi maanaa maanee thi us bewafaa ki baat

(fughaaN = lamentation, dil-figaar = mournful / melancholic)


haaN sach hai teergee hi faqat taahat-e-nazar
par kaan-o-kaan phail rahee hai shamaa ki baat

(teergee = darkness, taahat-e-nazar = everywhere  that the eyes can see)


maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat

(maqtal = place of slaughter, kusht-o-khooN = blood shed / mass murder, aab-o-hawaa  = climate)


- ZARRAA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haseen Chehraa Siyah Zulfein....! by sharmaarunkumar in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
SIYAH PHOOL ..... by faiiz_76 in Shayri-E-Dard
zulf by bharary in English
raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile ... Zarraa by zarraa in Shairi - E - Zindagi
ZULF-E-PAREESHAAN .. ZARRAA by zarraa in Shayri for Dard -e- Judai
Miru;;;;
Guest
«Reply #1 on: August 25, 2013, 08:48:42 AM »
Reply with quote
Good one............. Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #2 on: August 25, 2013, 08:50:38 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: August 25, 2013, 11:19:23 AM »
Reply with quote
bohut khub likha hai apne
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 25, 2013, 01:53:43 PM »
Reply with quote


dil meiN mareez ke bhi thi jeene ki chaah kam
aayee tabeeb ke bhi n lab par shifaa ki baat

haaN sach hai teergee hi faqat taahat-e-nazar
par kaan-o-kaan phail rahee hai shamaa ki baat

maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat

WAISE TO HAR ASHAAR KA MAZAA APNA HI HAI ,LEKIN YE CHAND ASHAAR MUJHE BEHAD PASAND AYAE ..BOHUT KHOOB ZABARDAST.


ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: August 25, 2013, 02:41:30 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob. is classical andaaz ke liye tah e dil se daad .
zail ke ashaar khusoosi taur par qabil e tareef hain :


thukraa chukaa hooN husn-e-do-aalam maiN baarahaa
karna n mere aage par us shokh-adaa ki baat


sehraa meiN mujh se milne wo aaye to dopahar
karne ko apne baagh ki baad-e-sabaa ki baat


haaN sach hai teergee hi faqat taahat-e-nazar
par kaan-o-kaan phail rahee hai shamaa ki baat


maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat

Logged
nashwani
Guest
«Reply #6 on: August 25, 2013, 02:59:03 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Zabardast..bemisaal..laajawab peshkash hai zarraa jee..Dhero dhero daad iss behatareen peshkash par..happy9
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #7 on: August 25, 2013, 03:41:40 PM »
Reply with quote
lajawaab bas waaah hi waah - ek rau ke saath...
jeene ki chaah kam thi ye maanaa mareez meiN
niklee tabeeb ke bhi n lab se shifaa ki baat
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: August 25, 2013, 11:18:15 PM »
Reply with quote
Good one............. Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Pasand karne ka shukriya Miraj ji
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: August 25, 2013, 11:26:18 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Zarraaji
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: August 26, 2013, 12:39:09 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut umda zarra saheb
gahre khayalaat sanjoye hue ek nihayat umda peshkash..
aur in ashaaron pe khususi daad

sehraa meiN mujh se milne wo aaye to dopahar
karne ko apne baagh ki baad-e-sabaa ki baat

thukraa chukaa hooN husn-e-do-aalam maiN baarahaa
karna n mere aage par us shokh-adaa ki baat

maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: August 26, 2013, 01:40:29 AM »
Reply with quote
bahut khoob

Shukriya Nandbahu ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: August 26, 2013, 12:17:51 PM »
Reply with quote
bohut khub likha hai apne


Apka bahaut bahaut shukriya Sahill bhai
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: August 26, 2013, 01:03:01 PM »
Reply with quote

dil meiN mareez ke bhi thi jeene ki chaah kam
aayee tabeeb ke bhi n lab par shifaa ki baat

haaN sach hai teergee hi faqat taahat-e-nazar
par kaan-o-kaan phail rahee hai shamaa ki baat

maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat

WAISE TO HAR ASHAAR KA MAZAA APNA HI HAI ,LEKIN YE CHAND ASHAAR MUJHE BEHAD PASAND AYAE ..BOHUT KHOOB ZABARDAST.


ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause

Sahal ji .. apne jis dariyadilee se daad di us ka main tah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: August 26, 2013, 01:48:38 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob. is classical andaaz ke liye tah e dil se daad .
zail ke ashaar khusoosi taur par qabil e tareef hain :


thukraa chukaa hooN husn-e-do-aalam maiN baarahaa
karna n mere aage par us shokh-adaa ki baat


sehraa meiN mujh se milne wo aaye to dopahar
karne ko apne baagh ki baad-e-sabaa ki baat


haaN sach hai teergee hi faqat taahat-e-nazar
par kaan-o-kaan phail rahee hai shamaa ki baat


maqtal meiN kusht-o-khooN ki n “zarraa” karooN agar
to kya idhar-udhar ki aur aab-o-hawaa ki baat



Hassan sahab .... Apki hausla afzaaee aur rehnumaayee se bada saahas aur sukoon milta hai ... Apka tah e dil se shukrguzaar hoon sahab !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:30:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer