Suresh Jee Aadaab...!
WaaH waaH waaH waaH jee waaH kia kahne jee... behad khoobsurat aur umdaa khayaaloN ko khoob lafz diye haiN jee aapne... Bade hi gehre aur khoob ashaar huye haiN sabhi...
Har ashaar qabil e tareef hai jee... behad umdaa khayaalaat bayaaN kiye hai aapne... Is khoob aur umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...
इंसान कभी बुरे नहीं हालात बुरे होते हैं
दिल से होते हैं साफ़ जो लोग खरे होते हैं
Kia kahne jee bahut khoob achcha matla kaha hai daad...
रह-ए-तलब में ना हो परेशां ज़ुल्फो की तरहा
लोग सच से नहीं अफवाहों से डरे होते हैं
WaaH waaH waaH Lajawaab sher kaha hai jee behad khoob...
दर्द किसी का होता नहीं महसूस सिर्फ़ उन्हें
ज़िंदा होकर भी जिनके ज़मीर मरे होते हैं
Kia kahne behad khoob jee...
ज़रा सी बात पे हो जाते हैं संजीदा यारो
यक़ीनन वो दिल मोहब्बत से भरे होते हैं
WaaH jee waaH kia kahne jee bade hi tajurbe ki baat kahi hai behad khoob daad daad daad...
हंसते खेलते ही ज़िंदगी को बिताना सीखो
पेड़ वही महकते हैं जो पत्तों से हरे होते हैं
Kia baat jee bahut khoob...
न उलझो ज़िंदगी की हर मौज-ए-तूफ़ान से तुम
कुछ हादसे इंसान की समझ से परे होते हैं
Wallaah kia kahne bahut khoob jee... kafi shayarana sifat hai aap behad khoob...
मनाते हैंजश्न मुंसिफ के साथ मुज़रिम रुज़ -ए-हश्र
आजकल एब़ भी 'सरु 'आतिश में निखरे होते हैं
Bahut khoob jee.. achcha maqta raha daad...
Insaan kabhi bure nahin halaat bure hote hain
Dil se hote hain saaf jo log khare hote hain
Rah-e-talab mein na ho pareshan zulfon ki tarha
Log sach se nahin afwahon se dare hote hain
Dard kisi ka hota nahin mehsoos sirf unhen
Zinda hokar bhi jinke zameer mare hote hain
Zara si baat pe ho jate hain sajeeda yaaro
Yakeenan vo dil mohabbat se bhare hote hain
Hanste- khelte hi zindagi ko bitana seekho
Peid wahi mehakate hain jo patton se hare hote hain
Na uljho zindagi ki har mauj-e-toofan se tum
Kuch haadse insaan ki samajh se pare hote hain
Manaate hain jashn munsif ke saath muzrim roz-e-hashr
Aa jkal aib bhi ‘saru’ aatish se nikhre hote hain